milā hai jo muqaddar meñ raqam thā
zahe qismat mire hisse meñ ġham thā
mila hai jo muqaddar mein raqam tha
zahe qismat mere hisse mein gham tha
jo miTā hai tere jamāl par vo har ek ġham se guzar gayā
huiiñ jis pe terī navāzisheñ vo bahār ban ke sañvar gayā
jo miTa hai tere jamal par wo har ek gham se guzar gaya
huin jis pe teri nawazishen wo bahaar ban ke sanwar gaya
mahsūs ye huā mujhe ehsās-e-ġham ke saath
maiñ us ke dam ke saath huuñ vo mere dam ke saath
mahsus ye hua mujhe ehsas-e-gham ke sath
main us ke dam ke sath hun wo mere dam ke sath
dekhiye ab ke ġham se jī merā
na bachegā bachegā kyā hogā
dekhiye ab ke ġham se jī merā
na bachegā bachegā kyā hogā
shab-e-ġham kis ārām se sau ga.e ham
fasāna tirī yaad kā kahte kahte
shab-e-gham kis aaram se sau gae hum
fasana teri yaad ka kahte kahte
maiñ vo saaf hī na kah duuñ jo hai farq mujh meñ tujh meñ
tirā dard dard-e-tanhā mirā ġham ġham-e-zamāna
main wo saf hi na kah dun jo hai farq mujh mein tujh mein
tera dard dard-e-tanha mera gham gham-e-zamana
rakhte haiñ dushmanī bhī jatāte haiñ pyaar bhī
haiñ kaise ġham-gusār mire ġham-gusār bhī
rakhte hain dushmani bhi jatate hain pyar bhi
hain kaise gham-gusar mere gham-gusar bhi
rakhā na ab kahīñ kā dil-e-be-qarār ne
barbād kar diyā ġham-e-be-iḳhtiyār ne
rakha na ab kahin ka dil-e-be-qarar ne
barbaad kar diya gham-e-be-iKHtiyar ne
ba-sad nā-murādī murād apnī 'kāmil'
kisī kā ġham-e-mo'tabar allāh allāh
ba-sad na-muradi murad apnī 'kaamil'
kisi ka gham-e-mo'tabar allah allah
miT jaa.e apnī hastī-e-mauhūm ġham hai kyā
ho dil ko tirā ġham koī ho ho na ho na ho
miT jae apni hasti-e-mauhum gham hai kya
ho dil ko tera gham koi ho ho na ho na ho
maiñ talḳhī-e-hayāt se ghabrā ke pī gayā
ġham kī siyāh raat se ghabrā ke pī gayā
main talKHi-e-hayat se ghabra ke pi gaya
gham ki siyah raat se ghabra ke pi gaya
āḳhir ġham-e-hayāt ke mātam se fā.ida
ġham zindagī ke saath ḳhusī zindagī ke saath
aaKHir gham-e-hayat ke matam se faida
gham zindagi ke sath KHusi zindagi ke sath
na kar nāsehā zabt-e-ġham kī nasīhat
ki hai sabr dushvār jān-e-hazīñ par
na kar naseha zabt-e-gham ki nasihat
ki hai sabr dushwar jaan-e-hazin par
duniyā ke har ik ġham se behtar hai ġham-e-jānāñ
sau sham.a bujhā kar ham ik sham.a jalā leñge
duniya ke har ek gham se behtar hai gham-e-jaanan
sau shama bujha kar hum ek shama jala lenge
vo aañkh mere liye nam hai kyā kiyā jaa.e
use bhī aaj mirā ġham hai kyā kiyā jaa.e
wo aankh mere liye nam hai kya kiya jae
use bhi aaj mera gham hai kya kiya jae
tere ġham ne ye din dikhāyā mujhe
ki mujh se hī āḳhir chhuḌāyā mujhe
tere gham ne ye din dikhaya mujhe
ki mujh se hi aaKHir chhuDaya mujhe
jo dil ho jalva-gāh-e-nāz is meñ ġham nahīñ hotā
jahāñ sarkār hote haiñ vahāñ mātam nahīñ hotā
jo dil ho jalwa-gah-e-naz is mein gham nahin hota
jahan sarkar hote hain wahan matam nahin hota
bas vahī paatā hai aish-e-zindagī
jis ko ġham meñ mubtalā kartā hai ishq
bas wahi pata hai aish-e-zindagi
jis ko gham mein mubtala karta hai ishq
nahīñ hotī vafā kī manzileñ āsāñ kabhī us par
mohabbat meñ jo hastī āshnā-e-ġham nahīñ hoti
nahin hoti wafa ki manzilen aasan kabhi us par
mohabbat mein jo hasti aashna-e-gham nahin hoti
dil gayā raunaq-e-hayāt ga.ī
ġham gayā saarī kā.enāt ga.ī
dil gaya raunaq-e-hayat gai
gham gaya sari kaenat gai
kabhī vartā-e-ġham meñ dil ko Dubo kar kabhī ḳhuun pī kar kabhī ḳhuun ro kar
bahul kuchh abhī abpnī rūdād-e-ġham ko isī tarah rañgīñ banānā paḌegā
kabhi warta-e-gham mein dil ko Dubo kar kabhi KHun pi kar kabhi KHun ro kar
bahul kuchh abhi abpni rudad-e-gham ko isi tarah rangin banana paDega
kuchh rahā bhī hai bīmār-e-ġham meñ
ab davā ho to kis kī davā ho
kuchh raha bhi hai bimar-e-gham mein
ab dawa ho to kis ki dawa ho
ġham-e-jānāñ ġham-e-ayyām ke sāñche meñ Dhaltā hai
ke ik ġham dūsre kā chāragar hai ham na kahte the
gham-e-jaanan gham-e-ayyam ke sanche mein Dhalta hai
ke ek gham dusre ka chaaragar hai hum na kahte the
sarf-e-ġham ham ne naujavānī kī
vaah kyā ḳhuub zindagānī kī
sarf-e-gham hum ne naujawani ki
wah kya KHub zindagani ki
ġham se nāzuk zabt-e-ġham kī baat hai
ye bhī dariyā hai magar Thahrā huā
gham se nazuk zabt-e-gham ki baat hai
ye bhi dariya hai magar Thahra hua
aur kuchh ġham nahīñ ġham ye hai
aap mil kar judā ho ga.e
aur kuchh gham nahin gham ye hai
aap mil kar juda ho gae
furqat meñ tire ġham-o-alam ne
tanhā mujhe pā ke maar Daalā
furqat mein tere gham-o-alam ne
tanha mujhe pa ke mar Dala
zamāna hech hai apnī nazar meñ
zamāne kī ḳhushī kyā aur ġham kyā
zamana hech hai apni nazar mein
zamane ki KHushi kya aur gham kya
pī bhī luuñ to āḳhir rañg-e-ruḳh ko kyā karūñ
soz-e-ġham ko kyā kisī unvāñ chhupā saktā huuñ maiñ
pi bhi lun to aaKHir rang-e-ruKH ko kya karun
soz-e-gham ko kya kisi unwan chhupa sakta hun main
kyā in aahoñ se shab-e-ġham muḳhtasar ho jaa.e gī
ye seh sehar hone kī bāteñ hainñ sehar ho jaa.e gī
kya in aahon se shab-e-gham muKHtasar ho jae gi
ye seh sehar hone ki baaten hainn sehar ho jae gi
kiye mujh pe ehsāñ ġham-e-yār ne
hamesha ko nīchī nazar ho ga.ī
kiye mujh pe ehsan gham-e-yar ne
hamesha ko nichi nazar ho gai
kyā ġham jo TuuuT jaa.en jigar jaañ kaleja dil
per terī chaah kī na tamannā shikast ho
kya gham jo TuuT jaen jigar jaan kaleja dil
per teri chah ki na tamanna shikast ho
jo ġham meñ masarrat kī ghulne ko hue paidā
bad-baḳht vo kyā jāneñ ḳhud ġham kī masarrat ko
jo gham mein masarrat ki ghulne ko hue paida
bad-baKHt wo kya jaanen KHud gham ki masarrat ko
vo majnūñ kī tasvīr par pūchhnā
tirī kis ke ġham meñ ye sūrat huī
wo majnun ki taswir par puchhna
teri kis ke gham mein ye surat hui
kaun rahtā hai tere ġham ke sivā
is dil-e-ḳhānumāñ-ḳharāb ke beach
kaun rahta hai tere gham ke siwa
is dil-e-KHanuman-KHarab ke beach
umr guzre isī kashmakash meñ mirī
ġham satātā rahe ḳhuuñ rulātā rahe
umr guzre isi kashmakash mein meri
gham satata rahe KHun rulata rahe
ishq meñ tere koh-e-ġham sar pe liyā jo ho so ho
aish-o-nishāt-e-zindagī chhoḌ diyā jo ho so ho
ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
aish-o-nishat-e-zindagi chhoD diya jo ho so ho
tamavvuj bahr-e-ġham kā dekhte ho
habāb-e-dil hai dariyā-dil hamārā
tamawwuj bahr-e-gham ka dekhte ho
habab-e-dil hai dariya-dil hamara
na pūchho pata 'akbar'-e-ġham-zada kā
kahīñ hogā thāme jigar dekh lenā
na puchho pata 'akbar'-e-gham-zada ka
kahin hoga thame jigar dekh lena
aaj unke dāman per ashk mere Dhalte haiñ
ġham ke tez-rū dhāre rāste badalte haiñ
aaj unke daman per ashk mere Dhalte hain
gham ke tez-ru dhaare raste badalte hain
ġham-e-jānāñ ko jān-e-jāñ banā le dekh dīvāne
ġham-e-jānāñ se baḌh kar aur koī ġham nahīñ hotā
ġham-e-jānāñ ko jān-e-jāñ banā le dekh dīwāne
ġham-e-jānāñ se baḌh kar aur koī ġham nahīñ hotā
maiñ rahīn-e-dard sahī magar mujhe aur chāhiye kyā 'jigar'
ġham-e-yār hai mirā shefta maiñ farefta ġham-e-yār par
main rahin-e-dard sahi magar mujhe aur chahiye kya 'jigar'
gham-e-yar hai mera shefta main farefta gham-e-yar par
banāyā mujhe ġham ne tasvīr-e-yās
unheñ rahm is haal par bhī nahīñ
banaya mujhe gham ne taswir-e-yas
unhen rahm is haal par bhi nahin
surūr-o-kaif kā naġhma ġham-o-andoh kā nauha
tilism-e-zīst kī sargam kabhī kuchh hai kabhī kuchh hai
surur-o-kaif ka naghma gham-o-andoh ka nauha
tilism-e-zist ki sargam kabhi kuchh hai kabhi kuchh hai
dāġh-e-dil siine meñ aahoñ se numāyāñ karnā
ham se sīkhe shab-e-ġham koī charāġhāñ karnā
dagh-e-dil sine mein aahon se numayan karna
hum se sikhe shab-e-gham koi charaghan karna
ġham-e-furqat hai khāne ko shab-e-ġham hai taḌapne ko
milā hai ham ko vo jiinā ki marnā is ko kahte haiñ
gham-e-furqat hai khane ko shab-e-gham hai taDapne ko
mila hai hum ko wo jina ki marna is ko kahte hain
āh-o-fuġhāñ hai shor hai naala hai dard hai
ġham hai alam hai yaas hai lab per hañsī kahāñ
aah-o-fughan hai shor hai nala hai dard hai
gham hai alam hai yas hai lab per hansi kahan
kūche meñ tire ai jān-e-ġhazal ye raaz khulā ham par aa kar
ġham bhī to ināyat hai terī ham ġham kā mudāvā bhuul ga.e
kuche mein tere ai jaan-e-ghazal ye raaz khula hum par aa kar
gham bhi to inayat hai teri hum gham ka mudawa bhul gae
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere