Font by Mehr Nastaliq Web

Ghar Shayari

more piyā ghar aa.e

ai sakhī more piyā ghar aa.e

more piya ghar aae

ai ri sakhi more piya ghar aae

Amir Khusrau

ham ko yaañ dar-dar phirāyā yaar ne

lā-makāñ meñ ghar banāyā yaar ne

hum ko yan dar-dar phiraya yar ne

la-makan mein ghar banaya yar ne

Shah Niyaz Ahmad Barelvi

na to apne ghar meñ qarār hai na tirī galī meñ qayām hai

tirī zulf-o-ruḳh farefta kahīñ sub.h hai kahīñ shaam hai

na to apne ghar mein qarar hai na teri gali mein qayam hai

teri zulf-o-ruKH ka farefta kahin subh hai kahin sham hai

Bedam Shah Warsi

kis ghar meñ kis hijāb meñ ai jaañ nihāñ ho tum

ham raah dekhte haiñ tumhārī kahāñ ho tum

kis ghar mein kis hijab mein ai jaan nihan ho tum

hum rah dekhte hain tumhaari kahan ho tum

Shah Akbar Danapuri

DhūñDhte haiñ aap se us ko pare

shaiḳh sāhib chhoḌ ghar, bāhar chale

DhūñDhte haiñ aap se us ko pare

shaiḳh sāhib chhoḌ ghar, bāhar chale

Khwaja Meer Dard

saayā koī maiñ apne paikar se nikālūñ

tanhā.ī batā kaise tujhe ghar se nikālūñ

saya koi main apne hi paikar se nikalun

tanhai bata kaise tujhe ghar se nikalun

Muzaffar Warsi

kal aate aate mire ghar gaye raqīb ke paas

huzūr aap kah deñ ye chaal hai ki nahīñ

kal aate aate mere ghar gaye raqib ke pas

huzur aap hi kah den ye chaal hai ki nahin

Josh Malihabadi

ajab e.ajāz hai terī nazar

ke ham bhūle haiñ rasta apne ghar

ajab eajaz hai teri nazar ka

ke hum bhule hain rasta apne ghar ka

Wasif Ali Wasif

tark-e-hastī se mirī ḳhāna-badoshī miT ga.ī

lā-makāñ pahuñchā to ghar apnā nazar aane lagā

tark-e-hasti se meri KHana-badoshi miT gai

la-makan pahuncha to ghar apna nazar aane laga

Muztar Khairabadi

juġhrāfi.e ne kaaT diye rāste mire

tārīḳh ko gila hai ki maiñ ghar nahīñ gayā

jughrafie ne kaT diye raste mere

tariKH ko gila hai ki main ghar nahin gaya

Muzaffar Warsi

Thaharnā dil meñ kuchh behtar na jaanā

bhare ghar ko unhoñ-ne ghar na jaanā

Thaharna dil mein kuchh behtar na jaana

bhare ghar ko unhon-ne ghar na jaana

Muztar Khairabadi

mujhī se pūchte ho meñ batlā duuñ ki tum kyā ho

tajallī tūre-sīnā mere ghar ujālā ho

mujhi se puchte ho mein hi batla dun ki tum kya ho

tajalli ture-sina ki mere ghar ka ujala ho

Bedam Shah Warsi

apne hāthoñ mehñdī lagā.ī maañg bhī maiñ ne dekho sajā.ī

aa.e piyā ghar rim-jhim barse jaao batā do sāvan ko

apne hathon mehndi lagai mang bhi main ne dekho sajai

aae piya ghar rim-jhim barse jao bata do sawan ko

Abdul Hadi Kavish

dekh kar ka.abe ko ḳhālī maiñ ye kah kar aa gayā

aise ghar ko kyā karūñgā jis ke andar nahīñ

dekh kar kabe ko KHali main ye kah kar aa gaya

aise ghar ko kya karunga jis ke andar tu nahin

Muztar Khairabadi

tumhāre ghar se ham nikle ḳhudā ke ghar se tum nikle

tumhīñ īmān se kah do ki kāfir ham haiñ tum ho

tumhaare ghar se hum nikle KHuda ke ghar se tum nikle

tumhin iman se kah do ki kafir hum hain ya tum ho

Raqim Dehlvi

kaun ghar hai ki ai jaañ nahīñ kāshāna tirā aur jalva-ḳhana tirā

mai-kada terā hai ka.aba tirā but-ḳhāna tirā sab hai jānāna tirā

kaun sa ghar hai ki ai jaan nahin kashana tera aur jalwa-KHana tera

mai-kada tera hai kaba tera but-KHana tera sab hai jaanana tera

Bedam Shah Warsi

na tum aa.e na apnī yaad ko bhejā mire dil meñ

ye vo ghar hai ki jis ko tum ne rakhā be-makīñ barsoñ

na tum aae na apni yaad ko bheja mere dil mein

ye wo ghar hai ki jis ko tum ne rakha be-makin barson

Muztar Khairabadi

chDh channā ke kar rushnā.ī kaalī raat hijr

shamhā jamāl kamāl sajjan aa ghar baal asāDe

chDh channa ke kar rushnai kali raat hijr di

shamha jamal kamal sajjan di aa ghar baal asaDe

Mian Muhammad Bakhsh

'asar' in sulūkoñ pe kyā lutf hai

phir us be-muravvat ke ghar jā.iye

'asar' in sulukon pe kya lutf hai

phir us be-murawwat ke ghar jaiye

Khwaja Meer Asar

jaan kho baiThegā apnī ye 'nasīr'-e-ḳhasta-dil

us ke pahlū se ab uTh kar ghar ko kyā jaate ho tam

jaan kho baiThega apnī ye 'nasir'-e-KHasta-dil

us ke pahlu se ab uTh kar ghar ko kya jate ho tam

Shah Naseer

maiñe baḳhsī hai tārīkiyoñ ko ziyā aur ḳhud ik tajllī muhtāj huuñ

raushnī dene vaalī ko bhī kam se kam ik diyā chāhiye apne ghar ke liye

maine baKHsi hai tarikiyon ko ziya aur KHud ek tajlli ka muhtaj hun

raushni dene wali ko bhi kam se kam ek diya chahiye apne ghar ke liye

Shakeel Badayuni

man paayā hai us ne dil merā ka.aba hai ghar allāh hai

ab khod ke us ko phikvā de vo but na kahīñ buniyād satī

man paya hai us ne dil mera kaba hai ghar allah ka hai

ab khod ke us ko phikwa de wo but na kahin buniyaad sati

Ghulam Naqshband Sajjad

maiñ ne pūchhā ġhair ke ghar aap kyā karte rahe

hañs ke farmāyā tumhārā rāstā dekhā kiye

main ne puchha ghair ke ghar aap kya karte rahe

hans ke farmaya tumhaara rasta dekha kiye

Maikash Akbarabadi

hameñ hai ghar se ta.alluq ab is qadar baaqī

kabhī jo aa.e to do-din ko mehmāñ tarah

hamein hai ghar se talluq ab is qadar baqi

kabhi jo aae to do-din ko mehman ki tarah

Riyaz Khairabadi

ishq-e-but ka.aba-e-dil meñ hai ḳhudāyā jab se

terā ghar bhī mujhe but-ḳhāna nazar aatā hai

ishq-e-but kaba-e-dil mein hai KHudaya jab se

tera ghar bhi mujhe but-KHana nazar aata hai

Purnam Allahabadi

dil hamārā ki ghar ye terā thā

kyuuñ shikast is makān par aa.ī

dil hamara ki ghar ye tera tha

kyun shikast is makan par aai

Ehsanullah Khan Bayan

ham ne ye tahzīb parindoñ se sīkhī hai

sub.h ko ghar se jaanā shaam ko ghar aa jaanā

hum ne ye tahzib parindon se sikhi hai

subh ko ghar se jaana sham ko ghar aa jaana

Muzaffar Warsi

gor detī hai naved-e-rasm-e-mehmānī mujhe

ghar basāne le chalī hai merī vīrānī mujhe

gor deti hai nawed-e-rasm-e-mehmani mujhe

ghar basane le chali hai meri virani mujhe

Muztar Khairabadi

āñkhoñ meñ tire ghar naqsha nazar aatā hai

ka.abe siyah-poshī putlī se ayaañ kar

aankhon mein tere ghar ka naqsha nazar aata hai

kabe ki siyah-poshi putli se ayan kar di

Muztar Khairabadi

pūchhā maiñ dard se ki batā sahī mujhe

ai ḳhānumāñ-ḳharāb hai tere bhī ghar kahīñ

pūchhā maiñ dard se ki batā sahī mujhe

ai ḳhānumāñ-ḳharāb hai tere bhī ghar kahīñ

Khwaja Meer Dard

na pūchho kyuuñ maiñ ka.abe ke but-ḳhāne chalā aayā

akelā ghar to duniyā ko burā ma.alūm hotā hai

na puchho kyun main kabe ja ke but-KHane chala aaya

akela ghar to duniya ko bura malum hota hai

Muztar Khairabadi

ye kah kar ḳhāna-e-turbat se ham mai-kash nikal bhāge

vo ghar kyā ḳhaak patthar hai jahāñ shīshe nahīñ rahte

ye kah kar KHana-e-turbat se hum mai-kash nikal bhage

wo ghar kya KHak patthar hai jahan shishe nahin rahte

Muztar Khairabadi

kū-ba-kū phirtā huuñ meñ ḳhāna-ḳharāboñ ki tarah

jaise saude tere sar meñ mere ghar ho gayā

ku-ba-ku phirta hun mein KHana-KHarabon ki tarah

jaise saude ka tere sar mein mere ghar ho gaya

Khwaja Haidar Ali Aatish

sāġhar sharāb-e-ishq liyā jo ho so ho

sar ab kaTe ghar luTe fikr kyā jo ho so ho

saghar sharab-e-ishq ka pi hi liya jo ho so ho

sar ab kaTe ya ghar luTe fikr hi kya jo ho so ho

Abdul Hadi Kavish

nahīñ dīn-o-duniyā ka hosh ab huuñ hijr meñ terī jaañ ba-lab

mujhe kaaTe khātā hai apnā ghar idhar rahnā udhar rahā

nahin din-o-duniya ka hosh ab hun hijr mein teri jaan ba-lab

mujhe kaTe khata hai apna ghar na idhar ka rahna udhar ka raha

Shams Sabri

ka.aba ho but-kada ho ki vo kū-e-dost ho

dil terā chāhe jis meñ usī ghar meñ ke

kaba ho but-kada ho ki wo ku-e-dost ho

dil tera chahe jis mein usi ghar mein ja ke pi

Qaisar Warsi

paate nahīñ aap ko kahīñ yaañ

hairān haiñ kis ke ghar ga.e ham

pate nahīñ aap ko kahīñ yañ

hairān haiñ kis ke ghar gae hum

Mir Muhammad Bedar

ḳhayāl-e-yār salāmat tujhe ḳhudā rakkhe

tire baġhair kabhī ghar meñ raushnī na huī

KHayal-e-yar salamat tujhe KHuda rakkhe

tere baghair kabhi ghar mein raushni na hui

Jigar Moradabadi

maiñ apne ghar meñ huuñ ghar se ga.e huoñ tarah

mire sāmne hotā hai tazkira merā

main apne ghar mein hun ghar se gae huon ki tarah

mere hi samne hota hai tazkira mera

Muzaffar Warsi

kahtā hai naala aah se dekheñ to kaun jald

us shoḳh sañg-dil meñ kare hai ghar ki ham

kahta hai nala aah se dekhen to kaun jald

us shoKH sang-dil mein kare tu hai ghar ki hum

Mir Muhammad Bedar

gadā ko kyuuñ na sayyāhī lazzat ho ki hotā hai

nayā daana nayā paanī nayā ik aur ghar paidā

gada ko kyun na sayyahi ki lazzat ho ki hota hai

naya dana naya pani naya ek aur ghar paida

Shah Naseer

aa jā.iyo yaar ghar se jaldī

mat kushta-e-intizār kiijo

aa jaiyo yar ghar se jaldi

mat kushta-e-intizar kijo

Mir Muhammad Bedar

divālī ToḌ kasrat jism se ab judā.ī kar

tajallā dekh vahdat ghar apne roshnā.ī kar

diwali ToD kasrat ki jism se ab judai kar

tajalla dekh wahdat ka ghar apne roshnai kar

Qadir Bakhsh Bedil

vahīñ aa baiThā uTh kar udhar se

milā hai ghar mirā dushman ke ghar se

wahin aa baiTha uTh kar udhar se

mila hai ghar mera dushman ke ghar se

Riyaz Khairabadi

muddatoñ se aarzū ye dil meñ hai

ek din ghar hamāre aa.iye

muddaton se aarzu ye dil mein hai

ek din tu ghar hamare aaiye

Mir Muhammad Bedar

dil apnā mohammad kāshāna banā Daalā

ujḌe hue is ghar ko shāhāna banā Daalā

dil apna mohammad ka kashana bana Dala

ujDe hue is ghar ko shahana bana Dala

Sanjar Ghazipuri

ai shab-e-furqat na aa.ī tujh ko sharm

ġhair ke ghar ke muñh kaalā kiyā

ai shab-e-furqat na aai tujh ko sharm

ghair ke ghar ja ke munh kala kiya

Riyaz Khairabadi

us ko nikāle koī kis taur se

tīr-e-mizha siine meñ ghar kar gayā

us ko nikale koi kis taur se

tir-e-mizha sine mein ghar kar gaya

Khwaja Ruknuddin Ishq

nahīñ suntā nahīñ aatā nahīñ bas merā chaltā hai

nikal ai jaan vo nahīñ ghar se nikaltā hai

nahīñ suntā nahīñ aatā nahīñ bas merā chaltā hai

nikal ai jaan wo nahīñ ghar se nikaltā hai

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

biThā.eñge āñkhoñ meñ dil meñ tujhe ham

pasand aa.e jo tujh ko ghar dekh lenā

biThaenge aankhon mein dil mein tujhe hum

pasand aae jo tujh ko ghar dekh lena

Akbar Warsi Meerthi

Related Tags

Speak Now