Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Girya-o-Zari Shayari

naala fariyād aah aur zaarī

aap se ho sakā so kar dekhā

nala fariyād aah aur zarī

aap se ho sakā so kar dekhā

Khwaja Meer Dard
  • Share this
  • Critique

minnat o ājizī o zaarī o aah

tere aage hazār kar dekhā

minnat o ājizī o zarī o aah

tere aage hazār kar dekhā

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

uḌ sakeñ barsāt meñ kis tarah jugnū be-shumār

josh-e-giriyā meñ sharar-afshāñ jo dil aksar na ho

uD saken barsat mein kis tarah jugnu be-shumar

josh-e-giriya mein sharar-afshan jo dil aksar na ho

Raza Firangi Mahali
  • Share this
  • Critique

shab mirā shor-e-girya sun ke kahā

maiñ to is ġhul meñ so nahīñ saktā

shab mera shor-e-girya sun ke kaha

main to is ghul meñ so nahin sakta

Ehsanullah Khan Bayan
  • Share this
  • Critique

abhī ai josh-e-girya ne ye sochā nahīñ shāyad

mohabbat chaman minnat-kash-e-shabnam nahīñ hotā

abhi ai josh-e-girya tu ne ye socha nahin shayad

mohabbat ka chaman minnat-kash-e-shabnam nahin hota

Aziz Warsi Dehlvi
  • Share this
  • Critique

dikhātā itnī to tāsīr giryā-e-yāqūb

dayār-e-misr meñ añdhe kuveñ ubar jaate

dikhata itni to tasir girya-e-yaqub

dayar-e-misr mein andhe kuwen ubar jate

Aseer Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

Duubī jaatī hai naav hastī

mauj-e-giryā zor relā hai

Dubi jati hai naw hasti ki

mauj-e-girya ka zor rela hai

Sulaiman Shikoh Gardner
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now