naala fariyād aah aur zaarī
aap se ho sakā so kar dekhā
nala fariyād aah aur zarī
aap se ho sakā so kar dekhā
minnat o ājizī o zaarī o aah
tere aage hazār kar dekhā
minnat o ājizī o zarī o aah
tere aage hazār kar dekhā
uḌ sakeñ barsāt meñ kis tarah jugnū be-shumār
josh-e-giriyā meñ sharar-afshāñ jo dil aksar na ho
uD saken barsat mein kis tarah jugnu be-shumar
josh-e-giriya mein sharar-afshan jo dil aksar na ho
shab mirā shor-e-girya sun ke kahā
maiñ to is ġhul meñ so nahīñ saktā
shab mera shor-e-girya sun ke kaha
main to is ghul meñ so nahin sakta
abhī ai josh-e-girya tū ne ye sochā nahīñ shāyad
mohabbat kā chaman minnat-kash-e-shabnam nahīñ hotā
abhi ai josh-e-girya tu ne ye socha nahin shayad
mohabbat ka chaman minnat-kash-e-shabnam nahin hota
Duubī jaatī hai naav hastī kī
mauj-e-giryā kā zor relā hai
Dubi jati hai naw hasti ki
mauj-e-girya ka zor rela hai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere