ijāzat ho to ham is sham.a-e-mahfil ko bujhā Dāleñ
tumhāre sāmne ye raushnī achchhī nahīñ lagtī
ijazat ho to hum is shama-e-mahfil ko bujha Dalen
tumhaare samne ye raushni achchhi nahin lagti
aap kī majlis-e-ālī meñ alarraġhm raqīb
ba-ijāzat ye gunahgār uThe aur baiThe
aap kī majlis-e-ālī meñ alarraġhm raqīb
ba-ijāzat ye gunahgār uThe aur baiThe
Tuk shikāyat kī ab ijāzat ho
nahīñ ruktī zabān par aa.ī
Tuk shikayat ki ab ijazat ho
nahin rukti zaban par aai
milī sajda kī ijāzat jūñhī pāsbāñ se pahle
mujhe mil ga.ī ḳhudā.ī tere āstāñ se pahle
mili sajda ki ijazat junhi pasban se pahle
mujhe mil gai KHudai tere aastan se pahle
vo aa.e haiñ zarā maiñ baat kar luuñ
ijāzat ai dil-e-dard-āshnā de
wo aae hain zara main baat kar lun
ijazat ai dil-e-dard-ashna de
ab ijāzat dafn kī ho jaa.e to jannat mile
yaar ke kūche meñ ham ne jā-e-madfan kī talāsh
ab ijazat dafn ki ho jae to jannat mile
yar ke kuche mein hum ne ja-e-madfan ki talash
gar ijāzat ho to parvāna kī tarah
sadqa hone ko tumhāre aa.iye
gar ijazat ho to parwana ki tarah
sadqa hone ko tumhaare aaiye
mujhe garm-e-nazzāra dekhā to hañs kar
vo bole ki is kī ijāzat nahīñ hai
mujhe garm-e-nazzara dekha to hans kar
wo bole ki is ki ijazat nahin hai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere