dāvar-e-hashr ye hai hashr meñ armāñ mujh ko
badle jannat ke mile kūcha-e-jānāñ mujh ko
dāwar-e-hashr ye hai hashr meñ armāñ mujh ko
badle jannat ke mile kūcha-e-jānāñ mujh ko
jannat hai us baġhair jahannam se bhī zubūñ
dozaḳh bahisht haigī agar yaar saath hai
jannat hai us baġhair jahannam se bhī zubūñ
dozaḳh bahisht haigī agar yar sath hai
sāz-o-sāmāñ haiñ merī ye be-sar-o-sāmāniyāñ
bāġh-e-jannat se bhī achchhā hai ye vīrāna mirā
sāz-o-sāmāñ haiñ merī ye be-sar-o-sāmāniyāñ
bāġh-e-jannat se bhī achchhā hai ye wīrāna mirā
gulshan-e-jannat kī kyā parvā hai ai rizvāñ unheñ
haiñ jo mushtāq-e-bahisht-e-jāvedān-e-kū-e-dost
gulshan-e-jannat kī kyā parwā hai ai rizwāñ unheñ
haiñ jo mushtāq-e-bahisht-e-jāwedān-e-kū-e-dost
jis kī hasrat hai mujhe miltā nahīñ vo māh-rū
ai falak hūrān-e-jannat le ke āḳhir kyā karūñ
jis kī hasrat hai mujhe miltā nahīñ wo māh-rū
ai falak hūrān-e-jannat le ke āḳhir kyā karūñ
milā kyā hazrat-e-ādam ko phal jannat se aane kā
na kyuuñ us ġham se siina chaak ho gandum ke daane kā
milā kyā hazrat-e-ādam ko phal jannat se aane kā
na kyuñ us ġham se sina chaak ho gandum ke dane kā
tum ho sharīk-e-ġham to mujhe koī ġham nahīñ
duniyā bhī mire vāste jannat se kam nahīñ
tum ho sharīk-e-ġham to mujhe koī ġham nahīñ
duniyā bhī mere wāste jannat se kam nahīñ
mubārak zāhidoñ ko phir bāġh-e-ḳhuld 'kausar'
na jannat mere qābil hai na maiñ jannat ke qābil huuñ
mubārak zāhidoñ ko phir bāġh-e-ḳhuld 'kausar'
na jannat mere qābil hai na maiñ jannat ke qābil huñ
jazba-e-ishq meñ jannat kī tamannā kaisī
ye bulandī to mirī gard-e-safar hotī hai
jazba-e-ishq meñ jannat kī tamannā kaisī
ye bulandī to mirī gard-e-safar hotī hai
dar-e-'vāris' pe hai 'bedam' kā bistar
tirī jannat tujhe rizvāñ mubārak
dar-e-'wāris' pe hai 'bedam' kā bistar
tirī jannat tujhe rizwāñ mubārak
haram hai jā-e-adab kaam degī jannat meñ
farishto taaq se botal zarā uThā denā
haram hai jā-e-adab kaam degī jannat meñ
farishto taq se botal zarā uThā denā
vo ai 'sīmāb' kyuuñ sar-gashta-e-tasnīm-o-jannat ho
mayassar jis ko sair-e-tāj aur jamunā kā sāhil hai
wo ai 'sīmāb' kyuñ sar-gashta-e-tasnīm-o-jannat ho
mayassar jis ko sair-e-tāj aur jamunā kā sāhil hai
vahāñ to hazrat-e-zāhid tumheñ achchhoñ se nafrat thī
yahāñ jannat meñ ab kis muñh se tum lene ko huur aa.e
wahan to hazrat-e-zahid tumhein achchhon se nafrat thi
yahan jannat mein ab kis munh se tum lene ko hur aae
vafādārī kī sūrat meñ jafā-kārī kā naqshā tū
ye nairañg-e-mohabbat hai ki aisā maiñ huuñ vaisā tū
wafadari ki surat mein jafa-kari ka naqsha tu
ye nairang-e-mohabbat hai ki aisa main hun waisa tu
butoñ ke liye sab jale aag meñ
jahannam pe jannat fidā ho ga.ī
butoñ ke liye sab jale aag meñ
jahannam pe jannat fidā ho gaī
us dudh ka ḳhuda kare kasa hamein nasib
jannat mein panj-tan ki jo bahti hai ju-e-shir
us dudh ka KHuda kare kasa hamein nasib
jannat mein panj-tan ki jo bahti hai ju-e-shir
ḳhudā rakkhe ajab kaif-e-bahār-e-kū-e-jānāñ hai
ki dil hai jalva-sāmāñ to nazar jannat-ba-dāmāñ hai
KHuda rakkhe ajab kaif-e-bahaar-e-ku-e-jaanan hai
ki dil hai jalwa-saman to nazar jannat-ba-daman hai
jaisī chāhe koshisheñ kar vā.iz-e-bātin-ḳharāb
tere rahne ko to jannat meñ makāñ miltā nahīñ
jaisi chahe koshishen kar waiz-e-baatin-KHarab
tere rahne ko to jannat mein makan milta nahin
hameñ nisbat hai jannat se ki ham bhī nasl-e-ādam haiñ
hamārā hissa 'rāqim' hai iram meñ hauz-e-kausar meñ
hamein nisbat hai jannat se ki hum bhi nasl-e-adam hain
hamara hissa 'raqim' hai iram mein hauz-e-kausar mein
aur haiñ jin ko hai ḳhabt-e-ishq-e-hūrān-e-jināñ
ham ko saudā-e-havā-e-gulshan-e-jannat nahīñ
aur haiñ jin ko hai ḳhabt-e-ishq-e-hūrān-e-jināñ
hum ko saudā-e-hawā-e-gulshan-e-jannat nahīñ
nasīr-e-ḳhasta-jāñ jannat se is kūche ko kab badle
ba az zill-e-humā hai yaar kī dīvār kā saayā
nasīr-e-ḳhasta-jāñ jannat se is kūche ko kab badle
ba az zill-e-humā hai yar kī dīwār kā sayā
sukūn-e-mustaqil dil be-tamannā shaiḳh kī sohbat
ye jannat hai to is jannat se dozaḳh kyā burā hogā
sukūn-e-mustaqil dil be-tamannā shaiḳh kī sohbat
ye jannat hai to is jannat se dozaḳh kyā burā hogā
ab ijāzat dafn kī ho jaa.e to jannat mile
yaar ke kūche meñ ham ne jā-e-madfan kī talāsh
ab ijāzat dafn kī ho jae to jannat mile
yar ke kūche meñ hum ne jā-e-madfan kī talāsh
bahār aane kī aarzū kyā bahār ḳhud hai nazar kā dhokā
abhī chaman jannat-nazar hai abhī chaman kā patā nahīñ hai
bahār aane kī aarzū kyā bahār ḳhud hai nazar kā dhokā
abhī chaman jannat-nazar hai abhī chaman kā patā nahīñ hai
tirā jaam jām-e-kausar tirā mai-kada hai jannat
mire haal pe karam kar mirī tishnagī bujhā de
tirā jam jām-e-kausar tirā mai-kada hai jannat
mere haal pe karam kar mirī tishnagī bujhā de
ye but jab jahannum meñ Daale ga.e
to phir terī jannat meñ kyā rah gayā
ye but jab jahannum meñ Dale gae
to phir terī jannat meñ kyā rah gayā
tire kūche meñ kyuuñ baiThe faqat is vāste baiThe
ki jab uTTheñge is duniyā se jannat le ke uTTheñge
tere kūche meñ kyuñ baiThe faqat is wāste baiThe
ki jab uTTheñge is duniyā se jannat le ke uTTheñge
ham aise ġharq-e-dariyā-e-gunah jannat meñ jā nikle
tavān-e-latma-e-mauj-e-shafā.at ho to aisī ho
hum aise ġharq-e-dariyā-e-gunah jannat meñ jā nikle
tawān-e-latma-e-mauj-e-shafāat ho to aisī ho
talāsh-e-but meñ mujh ko dekh kar jannat meñ sab bole
ye kāfir kyuuñ chalā aayā musalmānoñ kī bastī meñ
talāsh-e-but meñ mujh ko dekh kar jannat meñ sab bole
ye kāfir kyuñ chalā aayā musalmānoñ kī bastī meñ
chaman-e-sīna-e-pur-dāġh meñ terā jalva
yaar qābil tire gul-gasht ke jannat bhī nahīñ
chaman-e-sīna-e-pur-dāġh meñ terā jalwa
yar qābil tere gul-gasht ke jannat bhī nahīñ
jis din se mere dil ko ābād kiyā tum ne
anvār kī jannat hai kāshāna jise kahiye
jis din se mere dil ko ābād kiyā tum ne
anwār kī jannat hai kāshāna jise kahiye
uTh ke añdherī rātoñ meñ ham tujh ko pukārā karte haiñ
har chiiz se nafrat ham ko huī ham jannat-e-fardā bhuul ga.e
uTh ke añdherī rātoñ meñ hum tujh ko pukārā karte haiñ
har chiz se nafrat hum ko huī hum jannat-e-fardā bhul gae
kyuuñ na dozaḳh bhī ho jannat mujhe jab ḳhud vo kahe
is gunahgār ko le jaao ye maġhfūr nahīñ
kyuñ na dozaḳh bhī ho jannat mujhe jab ḳhud wo kahe
is gunahgār ko le jao ye maġhfūr nahīñ
bāġh-o-bahisht-o-hūr-o-jannat abrāroñ ko kījiye ināyat
hameñ nahīñ kuchh us kī zarūrat aap ke ham dīvāne haiñ
bāġh-o-bahisht-o-hūr-o-jannat abrāroñ ko kījiye ināyat
hameñ nahīñ kuchh us kī zarūrat aap ke hum dīwāne haiñ
hūr-e-jannat un se kuchh baḌh kar sahī
ek dil kyā kyā tamannā kījiye
hūr-e-jannat un se kuchh baḌh kar sahī
ek dil kyā kyā tamannā kījiye
kūcha-e-qātil meñ mujhko ghair kar laa.ī hai ye
jiite jī jannat meñ pahuñchā de qazā aisī to ho
kūcha-e-qātil meñ mujhko ghair kar laī hai ye
jite jī jannat meñ pahuñchā de qazā aisī to ho
'hāmid' rahe ābād sadā shahr-e-nabī kā
jannat se bhī marġhūb madīne kī fazā hai
'hāmid' rahe ābād sadā shahr-e-nabī kā
jannat se bhī marġhūb madīne kī fazā hai
ga.e mai piite hue ālam-e-asrār se ham
mast jannat meñ ga.e ḳhāna-e-ḳhumār se ham
gae mai pite hue ālam-e-asrār se hum
mast jannat meñ gae ḳhāna-e-ḳhumār se hum
हैरत है कि मय-ख़ाने में जाता नहीं ज़ाहिद
जन्नत में मुसलमान से जाया नहीं जाता
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere