Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Judai Shayari

āshob-e-judā.ī kyā kahiye anhonī bāteñ hotī haiñ

āñkhoñ meñ añdherā chhātā hai jab ujyālī rāteñ hotī haiñ

āshob-e-judāī kyā kahiye anhonī bāteñ hotī haiñ

āñkhoñ meñ añdherā chhātā hai jab ujyālī rāteñ hotī haiñ

Aarzu Lakhnavi
  • Share this
  • Critique

patte TuuT ga.e Daalī se ye kaisī rut aa.ī

maalā ke manke bikhre haiñ de ga.e yaar judā.ī

patte TuT gae Dalī se ye kaisī rut aaī

malā ke manke bikhre haiñ de gae yar judāī

Wasif Ali Wasif
  • Share this
  • Critique

phir dard-e-judā.ī jhagḌā na rahe koī

ham naam tirā le kar mar jaa.eñ to achchhā ho

phir dard-e-judāī jhagḌā na rahe koī

hum nam tirā le kar mar jaeñ to achchhā ho

Fana Bulandshahri
  • Share this
  • Critique

zab.h kartī hai judā.ī mujh ko us sub.h-e-vasl

ḳhvāb se chauñk ai mo.azzin vaqt hai takbīr

zabh kartī hai judāī mujh ko us subh-e-wasl

ḳhwāb se chauñk ai moazzin waqt hai takbīr

Arsh Gayavi
  • Share this
  • Critique

judā.ī meñ ye dhaḌkā thā ki aañch un par na aa jaaye

bujhā.ī āñsuoñ se ham ne āh-e-ātishīñ barsoñ

judāī meñ ye dhaḌkā thā ki aañch un par na aa jaye

bujhāī āñsuoñ se hum ne āh-e-ātishīñ barsoñ

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

barq aksar ye kahnā yaad aatā hai mujhe

tinke chunvāne lagī ham se judā.ī aap

barq aksar ye kahnā yaad aatā hai mujhe

tinke chunwāne lagī hum se judāī aap

Hasrat Mohani
  • Share this
  • Critique

idhar to āñkhoñ meñ aañsū udhar ḳhayāl meñ vo

baḌe maze se kaTī zindagī judā.ī meñ

idhar to āñkhoñ meñ aañsū udhar ḳhayāl meñ wo

baḌe maze se kaTī zindagī judāī meñ

Qaisar Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

ḳhuub tambīh karnā ai judā.ī mujhe

gar kisī se phir kabhī qasd āshnā.ī karūñ

ḳhub tambīh karnā ai judāī mujhe

gar kisī se phir kabhī qasd āshnāī karūñ

Ehsanullah Khan Bayan
  • Share this
  • Critique

aah milte phir judā.ī

vaah kyā ḳhuub āshnā.ī

aah milte phir judāī

wah kyā ḳhub āshnāī

Meer Muhammad Bedar
  • Share this
  • Critique

agar ek pal ho judā.ī terī

to sahrā mujhe saarā ghar-bār ho

agar ek pal ho judāī terī

to sahrā mujhe sarā ghar-bār ho

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

sitam karte mil kar to phir lutf thā

judā.ī meñ kyā āzmāyā mujhe

sitam karte mil kar to phir lutf thā

judāī meñ kyā āzmāyā mujhe

Benazir Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

vasl ain duurī hai be-ḳhudī zarūrī hai

kuchh bhī kah nahīñ saktā mājrā judā.ī

wasl ain durī hai be-ḳhudī zarūrī hai

kuchh bhī kah nahīñ saktā mājrā judāī

Aziz Safipuri
  • Share this
  • Critique

judā.ī meñ na aanā thā na aa.ī

mujhe zālim qazā ne maar Daalā

judāī meñ na aanā thā na aaī

mujhe zālim qazā ne mar Dalā

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

mohabbat meñ judā.ī mazā 'muztar' na jaane duuñ

vo bulbul huuñ ki gul pā.ūñ to pattā darmiyāñ rakkhūñ

mohabbat meñ judāī mazā 'muztar' na jaane duñ

wo bulbul huñ ki gul pāūñ to pattā darmiyāñ rakkhūñ

Muztar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

judā.ī meñ lab ḳhushk haiñ chashm tar haiñ

idhar bhī shah-e-bahr-o-bar dekh lenā

judāī meñ lab ḳhushk haiñ chashm tar haiñ

idhar bhī shah-e-bahr-o-bar dekh lenā

Akbar Warsi Meerthi
  • Share this
  • Critique

allāh-re tārīkī-e-ḳhurshīd-e-judā.ī

hai sub.h meñ apnī shab-e-daijūr sūrat

allāh-re tārīkī-e-ḳhurshīd-e-judāī

hai subh meñ apnī shab-e-daijūr sūrat

Aasi Ghazipuri
  • Share this
  • Critique

maza meñ dam bharā vāris sachchī āshnā.ī

ye kyā ma.alūm thā ham ko ki ġham hogā judā.ī

maza meñ dam bharā wāris sachchī āshnāī

ye kyā malūm thā hum ko ki ġham hogā judāī

Fida Warsi
  • Share this
  • Critique

rahe barī tā-qayūdāt se

ise band-e-ġham se rihā.ī rahe

rahe barī tā-qayūdāt se

ise band-e-ġham se rihāī rahe

Benazir Shah Warsi
  • Share this
  • Critique

gar milūñ to tund-ḳhū ho gāliyāñ dete ho tum

duur rahne se satātī hai judā.ī aap

gar milūñ to tund-ḳhū ho gāliyāñ dete ho tum

dur rahne se satātī hai judāī aap

Kishan Singh Arif
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now