patte TuuT ga.e Daalī se ye kaisī rut aa.ī
maalā ke manke bikhre haiñ de ga.e yaar judā.ī
patte TuT gae Dalī se ye kaisī rut aaī
malā ke manke bikhre haiñ de gae yar judāī
phir dard-e-judā.ī kā jhagḌā na rahe koī
ham naam tirā le kar mar jaa.eñ to achchhā ho
phir dard-e-judāī kā jhagḌā na rahe koī
hum nam tirā le kar mar jaeñ to achchhā ho
zab.h kartī hai judā.ī mujh ko us kī sub.h-e-vasl
ḳhvāb se chauñk ai mo.azzin vaqt hai takbīr kā
zabh kartī hai judāī mujh ko us kī subh-e-wasl
ḳhwāb se chauñk ai moazzin waqt hai takbīr kā
judā.ī meñ ye dhaḌkā thā ki aañch un par na aa jaaye
bujhā.ī āñsuoñ se ham ne āh-e-ātishīñ barsoñ
judāī meñ ye dhaḌkā thā ki aañch un par na aa jaye
bujhāī āñsuoñ se hum ne āh-e-ātishīñ barsoñ
barq kā aksar ye kahnā yaad aatā hai mujhe
tinke chunvāne lagī ham se judā.ī aap kī
barq kā aksar ye kahnā yaad aatā hai mujhe
tinke chunwāne lagī hum se judāī aap kī
idhar to āñkhoñ meñ aañsū udhar ḳhayāl meñ vo
baḌe maze se kaTī zindagī judā.ī meñ
idhar to āñkhoñ meñ aañsū udhar ḳhayāl meñ wo
baḌe maze se kaTī zindagī judāī meñ
ḳhuub sī tambīh karnā ai judā.ī tū mujhe
gar kisī se phir kabhī qasd āshnā.ī kā karūñ
ḳhub sī tambīh karnā ai judāī tū mujhe
gar kisī se phir kabhī qasd āshnāī kā karūñ
aah milte hī phir judā.ī kī
vaah kyā ḳhuub āshnā.ī kī
aah milte hī phir judāī kī
wah kyā ḳhub āshnāī kī
agar ek pal ho judā.ī terī
to sahrā mujhe saarā ghar-bār ho
agar ek pal ho judāī terī
to sahrā mujhe sarā ghar-bār ho
sitam karte mil kar to phir lutf thā
judā.ī meñ kyā āzmāyā mujhe
sitam karte mil kar to phir lutf thā
judāī meñ kyā āzmāyā mujhe
vasl ain duurī hai be-ḳhudī zarūrī hai
kuchh bhī kah nahīñ saktā mājrā judā.ī kā
wasl ain durī hai be-ḳhudī zarūrī hai
kuchh bhī kah nahīñ saktā mājrā judāī kā
judā.ī meñ na aanā thā na aa.ī
mujhe zālim qazā ne maar Daalā
judāī meñ na aanā thā na aaī
mujhe zālim qazā ne mar Dalā
mohabbat meñ judā.ī kā mazā 'muztar' na jaane duuñ
vo bulbul huuñ ki gul pā.ūñ to pattā darmiyāñ rakkhūñ
mohabbat meñ judāī kā mazā 'muztar' na jaane duñ
wo bulbul huñ ki gul pāūñ to pattā darmiyāñ rakkhūñ
judā.ī meñ lab ḳhushk haiñ chashm tar haiñ
idhar bhī shah-e-bahr-o-bar dekh lenā
judāī meñ lab ḳhushk haiñ chashm tar haiñ
idhar bhī shah-e-bahr-o-bar dekh lenā
allāh-re tārīkī-e-ḳhurshīd-e-judā.ī
hai sub.h meñ apnī shab-e-daijūr kī sūrat
allāh-re tārīkī-e-ḳhurshīd-e-judāī
hai subh meñ apnī shab-e-daijūr kī sūrat
maza meñ dam bharā vāris kī sachchī āshnā.ī kā
ye kyā ma.alūm thā ham ko ki ġham hogā judā.ī kā
maza meñ dam bharā wāris kī sachchī āshnāī kā
ye kyā malūm thā hum ko ki ġham hogā judāī kā
rahe tū barī tā-qayūdāt se
ise band-e-ġham se rihā.ī rahe
rahe tū barī tā-qayūdāt se
ise band-e-ġham se rihāī rahe
gar milūñ to tund-ḳhū ho gāliyāñ dete ho tum
duur rahne se satātī hai judā.ī aap kī
gar milūñ to tund-ḳhū ho gāliyāñ dete ho tum
dur rahne se satātī hai judāī aap kī
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere