b-tufail-e-dāman-e-murtazā maiñ batāūñ kiyā milā
ki ali mili to nabī mile jo nabī mile to ḳhudā milā
b-tufail-e-daman-e-murtaza main bataun kiya mila
ki ali mili to nabi mile jo nabi mile to KHuda mila
mirī turbat pe ḳhud saaqī ne aa kar ye duā māñgī
ḳhudā baḳhshe bahut achchhī guzārī mai-parastī meñ
meri turbat pe KHud saqi ne aa kar ye dua mangi
KHuda baKHshe bahut achchhi guzari mai-parasti mein
'ayāz' ik besh-qīmat sā tujhe nukta batātā huuñ
tum apne aapko samjho ḳhudā kiyā hai ḳhudā jaane
'ayaz' ek besh-qimat sa tujhe nukta batata hun
tum apne aapko samjho KHuda kiya hai KHuda jaane
ḳhudā se tirā chāhnā chāhtā huuñ
merā chāhnā dekh kyā chāhtā huuñ
KHuda se tera chahna chahta hun
mera chahna dekh kya chahta hun
mujh ko ḳhudā se āshnā koī bhalā karegā kyā
maiñ to sanam-parast huuñ merā koī ḳhudā nahīñ
mujh ko ḳhudā se āshnā koī bhalā karegā kyā
maiñ to sanam-parast huñ merā koī ḳhudā nahīñ
aao ik sajda kareñ ālam-e-madhoshī meñ
log kahte haiñ ki 'sāġhar' ko ḳhudā yaad nahīñ
aao ek sajda karen aalam-e-madhoshi mein
log kahte hain ki 'saghar' ko KHuda yaad nahin
ḳhudā-yā ḳhair karnā nabz bīmār-e-mohabbat kī
ka.ī din se bahut barham mizāj-e-nā-tavānī hai
KHuda-ya KHair karna nabz bimar-e-mohabbat ki
kai din se bahut barham mizaj-e-na-tawani hai
kaam kuchh tere bhī hote terī marzī ke ḳhilāf
haañ magar mere ḳhudā terā ḳhudā koī nahīñ
kaam kuchh tere bhi hote teri marzi ke KHilaf
han magar mere KHuda tera KHuda koi nahin
ishq kī ibtidā bhī tum husn kī intihā bhī tum
rahne do raaz khul gayā bañde bhī tum ḳhudā bhī tum
ishq ki ibtida bhi tum husn ki intiha bhi tum
rahne do raaz khul gaya bande bhi tum KHuda bhi tum
tum mire rone pe hañste ho ḳhudā hañstā rakhe
ye bhī kiyā kam hai ki ro kar to hañsā kartā huuñ mañ
tum mere rone pe hanste ho KHuda hansta rakhe
ye bhi kiya kam hai ki ro kar to hansa karta hun man
mohabbat but-kade meñ chal ke us kā faisla kar de
ḳhudā merā ḳhudā hai yā ye mūrat hai ḳhudā merī
mohabbat but-kade mein chal ke us ka faisla kar de
KHuda mera KHuda hai ya ye murat hai KHuda meri
lekin us ko asar ḳhudā jaane
na huā hogā yā huā hogā
lekin us ko asar ḳhudā jaane
na huā hogā yā huā hogā
ḳhayāl-e-yār salāmat tujhe ḳhudā rakkhe
tire baġhair kabhī ghar meñ raushnī na huī
KHayal-e-yar salamat tujhe KHuda rakkhe
tere baghair kabhi ghar mein raushni na hui
tum salāmat raho qayāmat tak
aur qayāmat ḳhudā kare ki na ho
tum salamat raho qayamat tak
aur qayamat KHuda kare ki na ho
ḳhudā ka shukr hai piyāse ko dariyā yaad kartā hai
musāfir ne farāham kar liyā hai kuuch kā sāmāñ
KHuda ka shukr hai piyase ko dariya yaad karta hai
musafir ne faraham kar liya hai kuch ka saman
un butoñ ke liye ḳhudā na kare
dīn-o-dil yuuñ koī bhī khotā hai
un buton ke liye KHuda na kare
din-o-dil yun koi bhi khota hai
ḳhudā jaane kyā hogā anjām is kā
maiñ be-sabr itnā huuñ vo tund-ḳhū hai
ḳhudā jaane kyā hogā anjām is kā
maiñ be-sabr itnā huñ wo tund-ḳhū hai
koī duniyā meñ nahīñ aayā hamesha ke liye
bas ḳhudā kā naam hī nām-e-ḳhudā rah jā.egā
koi duniya mein nahin aaya hamesha ke liye
bas KHuda ka nam hi nam-e-KHuda rah jaega
yā-ḳhudā 'akbar' kī kashtī ko nikāl
tū hī is beḌe kā khevan-hār hai
ya-KHuda 'akbar' ki kashti ko nikal
tu hi is beDe ka khewan-haar hai
dil diyā jaan dī ḳhudā tū ne
terā ehsān ek ho to kahūñ
dil diya jaan di KHuda tu ne
tera ehsan ek ho to kahun
hameñ ḳhudā ke sivā kuchh nazar nahīñ aatā
nikal ga.e haiñ bahut duur justujū karte
hamein KHuda ke siwa kuchh nazar nahin aata
nikal gae hain bahut dur justuju karte
DhūñDhe asrār-e-ḳhudā dil ne jo añdhā ban kar
rah gayā aap hī pahlū meñ muamma ban kar
DhunDhe asrar-e-KHuda dil ne jo andha ban kar
rah gaya aap hi pahlu mein muamma ban kar
mirā ek sajda to ho chain kā
ḳhudā hī jo Thahrā ḳhud aa jaa.e nā
mera ek sajda to ho chain ka
KHuda hi jo Thahra KHud aa jae na
jis pe terī nazar nahīñ hotī
us kī jānib ḳhudā nahīñ hotā
jis pe teri nazar nahin hoti
us ki jaanib KHuda nahin hota
ḳhudā-hāfiz ab dil kī ḳhud-dāriyoñ kā vo aate nahīñ unko laanā paḌe gā
mohabbat se majbūr huuñ kyā batā.un unheñ kaise kaise manānā paḌe gā
KHuda-hafiz ab dil ki KHud-dariyon ka wo aate nahin unko lana paDe ga
mohabbat se majbur hun kya bataun unhen kaise kaise manana paDe ga
be-ḳhudī gar ho ḳhud to aa ke mile
ai ḳhudā be-ḳhudī ajab shai hai
be-ḳhudī gar ho ḳhud to aa ke mile
ai ḳhudā be-ḳhudī ajab shai hai
aa phañsūñ maiñ butoñ ke daam meñ yuuñ
'dard' ye bhī ḳhudā kī qudrat hai
aa phañsūñ maiñ butoñ ke dam meñ yuñ
'dard' ye bhī ḳhudā kī qudrat hai
tire haat merī fanā baqā tire haath merī sazā jazā
mujhe naaz hai ki tire sivā koī aur merā ḳhudā nahīñ
tere hat meri fana baqa tere hath meri saza jaza
mujhe naz hai ki tere siwa koi aur mera KHuda nahin
to-ko batā.ūñ sun re sakhī-rī murshid piyā kī sūrat kis kī
yahī hai sūrat sher-e-ḳhudā kī bāñkī chitvan kaarī akhiyāñ
to-ko bataun sun re sakhi-ri murshid piya ki surat kis ki
yahi hai surat sher-e-KHuda ki banki chitwan kari akhiyan
tum ḳhafā ho to achchhā ḳhafā ho
ai buto kyā kisī ke ḳhudā ho
tum KHafa ho to achchha KHafa ho
ai buto kya kisi ke KHuda ho
dekhā jo us sanam ko to mahsūs ye huā
jalva ḳhudā kā sūrat-e-insān ho gayā
dekhā jo us sanam ko to mahsūs ye huā
jalwa ḳhudā kā sūrat-e-insān ho gayā
aap ma.ashūq kyā ho ga.e
āshiqoñ ke ḳhudā ho ga.e
aap mashuq kya ho gae
aashiqon ke KHuda ho gae
koī hai momin koī hai tarsā ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
ajab tarah kā hai ye tamāsha ḳhudā kī bāteñ ḳhudā hī jaane
koi hai momin koi hai tarsa KHuda ki baaten KHuda hi jaane
ajab tarah ka hai ye tamasha KHuda ki baaten KHuda hi jaane
na kor bātin ho ai barhaman zarā tū chashm-e-tamīz vā kar
ḳhudā kā banda butoñ ko sajda ḳhudā ḳhudā kar ḳhudā ḳhudā kar
na kor baatin ho ai barhaman zara tu chashm-e-tamiz wa kar
KHuda ka banda buton ko sajda KHuda KHuda kar KHuda KHuda kar
tire kūche kī ho jaaye to achchhā
ḳhudā jaane ye miTTī hai kahāñ kī
tere kuche ki ho jaye to achchha
KHuda jaane ye miTTi hai kahan ki
doī jā ke rañg-e-safā rah gayā
ḳhudī miTte miTte ḳhudā rah gayā
doi ja ke rang-e-safa rah gaya
KHudi miTte miTte KHuda rah gaya
ab to maiñ rāhrauv mulk-e-adam hotā huuñ
tirā har haal meñ hāfiz hai ḳhudā mere bad
ab to main rahrauw mulk-e-adam hota hun
tera har haal mein hafiz hai KHuda mere bad
daulat-e-ishq-e-ḳhudā hāsil ho gar
kuchh nahīñ achchhā digar is kaar se
daulat-e-ishq-e-KHuda hasil ho gar
kuchh nahin achchha digar is kar se
jab ḳhudā se lo lagā.ī jā.egī
phir duā kab koī ḳhālī jā.egī
jab KHuda se lo lagai jaegi
phir dua kab koi KHali jaegi
aap ke faiz se bahr-e-fazl-e-ḳhudā
maujzan maujzan maujzan ho gayā
aap ke faiz se bahr-e-fazl-e-KHuda
maujzan maujzan maujzan ho gaya
chalo aao 'kāvish' ki kāñdhā lagā.eñ
alī kī ḳhudā ne uThā.ī hai Dolī
chalo aao 'kawish' ki kandha lagaen
ali ki KHuda ne uThai hai Doli
tumhārā dard hai sarmāyā-e-hayāt mirā
ḳhudā kare ki ye ho lā-davā ġharībnavāz
tumhaara dard hai sarmaya-e-hayat mera
KHuda kare ki ye ho la-dawa gharibnawaz
Tuk samajh kar to lagāo laat haañ bahr-e-ḳhudā
ye kunisht dil hai dekho ai butāñ bahr-e-ḳhudā
Tuk samajh kar to lagao lat han bahr-e-KHuda
ye kunisht dil hai dekho ai butan bahr-e-KHuda
ḳhudā shāhid hai is sham'-e-farauzāñ kī ziyā tum ho
mañ hargiz ye nahīñ kahtā tumheñ mere ḳhudā tum ho
KHuda shahid hai is sham'-e-farauzan ki ziya tum ho
man hargiz ye nahin kahta tumhein mere KHuda tum ho
ḳhudā bhī usī kī taraf hogā beshak
qayāmat meñ kiyā jaane se hāsil
KHuda bhi usi ki taraf hoga beshak
qayamat mein kiya jaane se hasil
kisī but kī adā ne maar Daalā
bahāne se ḳhudā ne maar Daalā
kisi but ki ada ne mar Dala
bahane se KHuda ne mar Dala
jab ḳhudā se lo lagā.ī jā.egī
phir duā kab koī ḳhālī jā.egī
jab KHuda se lo lagai jaegi
phir dua kab koi KHali jaegi
mardān-e-ḳhudā jo haiñ vo haiñ aarif billāh
tafrīq nahīñ meñ hai ke kuchh pīr-o-javāñ meñ
mardan-e-KHuda jo hain wo hain aarif billah
tafriq nahin mein hai ke kuchh pir-o-jawan mein
ḳhudā jaane mirī miTTī Thikāne kab lage 'muztar'
bahut din se janāza kūcha-e-qātil meñ rakkhā hai
KHuda jaane meri miTTi Thikane kab lage 'muztar'
bahut din se janaza kucha-e-qatil mein rakkha hai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere