kyā pūchhte ho mujh se mire dil kī aarzū
ab merī har ḳhushī hai tumhārī ḳhushī ke saath
kya puchhte ho mujh se mere dil ki aarzu
ab meri har KHushi hai tumhaari KHushi ke sath
ḳhushī se duur huuñ nā-āshnā-e-bazm-e-ishrat huuñ
sarāpā dard huuñ vābasta-e-zanjēr-e-qismat huuñ
KHushi se dur hun na-ashna-e-bazm-e-ishrat hun
sarapa dard hun wabasta-e-zanjeer-e-qismat hun
har-chand faqat muḳhtār nahīñ har-chand faqat majbūr nahīñ
ik aah to bhar luuñ apnī ḳhushī itnā bhī mujhe maqdūr nahīñ
har-chand faqat muKHtar nahin har-chand faqat majbur nahin
ek aah to bhar lun apnī KHushi itna bhi mujhe maqdur nahin
vo mujh se milne ko aa.e haiñ merī maut ke bad
ḳhushī bhī mere liye ġham hai kiyā kiyā jaa.e
wo mujh se milne ko aae hain meri maut ke bad
KHushi bhi mere liye gham hai kiya kiya jae
hai yahī shart bandagī ke liye
sar jhukā.ūñ terī ḳhushī ke liye
hai yahi shart bandagi ke liye
sar jhukaun teri KHushi ke liye
huā ishq se ye hameñ istifādā maze meñ vahī hai jo hai be-irāda
unhīñ kī ḳhushī meñ maze-dāriyāñ haiñ nahīñ to baḌā dukh uThānā paḌegā
hua ishq se ye hamein istifada maze mein wahi hai jo hai be-irada
unhin ki KHushi mein maze-dariyan hain nahin to baDa dukh uThana paDega
ham vasl meñ aise kho.e ga.e furqat kā zamānā bhuul ga.e
sāhil kī ḳhushī meñ maujoñ kā tūfān uThānā bhuul ga.e
hum wasl mein aise khoe gae furqat ka zamana bhul gae
sahil ki KHushi mein maujon ka tufan uThana bhul gae
dahr-e-fānī meñ hañsī kaisī ḳhushī kyā chiiz hai
rone aa.e the yahāñ do-chār din ko ro ga.e
dahr-e-fani mein hansi kaisi KHushi kya chiz hai
rone aae the yahan do-chaar din ko ro gae
hasrat-o-armāñ kā dil se har nishāñ jaatā rahe
jis meñ ho terī razā merī ḳhushī aisī to ho
hasrat-o-arman ka dil se har nishan jata rahe
jis mein ho teri raza meri KHushi aisi to ho
tamannā do diloñ kī ek hī ma.alūm hotī hai
ab un kī har ḳhushī apnī ḳhushī ma.alūm hotī hai
tamanna do dilon ki ek hi malum hoti hai
ab un ki har KHushi apnī KHushi malum hoti hai
ġham-e-jānāñ se dil mānūs jab se ho gayā mujh ko
hañsī achchhī nahīñ lagtī ḳhushī achchhī nahīñ lagtī
gham-e-jaanan se dil manus jab se ho gaya mujh ko
hansi achchhi nahin lagti KHushi achchhi nahin lagti
kahīñ raushnī kahīñ tīrgī jo kahīñ ḳhushī to kahīñ ġhamī
terī bazm meñ hameñ daḳhl kyā tire ehtimām kī baat hai
kahin raushni kahin tirgi jo kahin KHushi to kahin ghami
teri bazm mein hamein daKHl kya tere ehtimam ki baat hai
milne kī hai ḳhushī to bichhaḌne kā hai malāl
dil mutma.in bhī aap se hai be-qarār bhī
milne ki hai KHushi to bichhaDne ka hai malal
dil mutmain bhi aap se hai be-qarar bhi
ḳhushī hai zāhid kī varna saaqī ḳhayāl-e-tauba rahegā kab tak
ki terā rind-e-ḳharāb 'afqar' valī nahīñ pārsā nahīñ hai
KHushi hai zahid ki warna saqi KHayal-e-tauba rahega kab tak
ki tera rind-e-KHarab 'afqar' wali nahin parsa nahin hai
ḳhushī hai sab ko roz-e-īd kī yaañ
hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush
ḳhushī hai sab ko roz-e-īd kī yañ
hue haiñ mil ke bāham āshnā ḳhush
nahīñ detā jo mai achchhā na de terī ḳhushī saaqī
pyāle kuchh hamesha taaq par rakhe nahīñ rahte
nahin deta jo mai achchha na de teri KHushi saqi
pyale kuchh hamesha taq par rakhe nahin rahte
vo bahr-e-husn shāyad baaġh meñ āvegā ai 'ehsā۔n'
ki favvāra ḳhushī se aaj do do gaz uchhaltā hai
wo bahr-e-husn shāyad baġh meñ āwegā ai 'ehsā۔n'
ki fawwāra ḳhushī se aaj do do gaz uchhaltā hai
maiñ jiyā bhī duniyā meñ aur jaan bhī de dī
ye na khul sakā lekin aap kī ḳhushī kyā thī
main jiya bhi duniya mein aur jaan bhi de di
ye na khul saka lekin aap ki KHushi kya thi
ha.sī kahāñ mazāq kahāñ dil-lagī kahāñ
vo josh-e-irtibāt kahāñ vo ḳhushī kahāñ
hasi kahan mazaq kahan dil-lagi kahan
wo josh-e-irtibaat kahan wo KHushi kahan
garche kaifiyat ḳhushī meñ us kī hotī hai do-chand
par qayāmat lutf rakhtī hai ye jhuñjhlāne kī tarah
garche kaifiyat KHushi mein us ki hoti hai do-chand
par qayamat lutf rakhti hai ye jhunjhlane ki tarah
vo kaun hai duniyā meñ jise ġham nahīñ hotā
kis ghar meñ ḳhushī hotī hai mātam nahīñ hotā
wo kaun hai duniya mein jise gham nahin hota
kis ghar mein KHushi hoti hai matam nahin hota
hamārī turbat pe tum jo aanā to saath aġhyār ko na laanā
ḳhushī ke sadme hameñ na denā hamāre ġham kī ḳhushī na karnā
hamari turbat pe tum jo aana to sath aghyar ko na lana
KHushi ke sadme hamein na dena hamare gham ki KHushi na karna
tire karam kā sazā-vār to nahīñ 'hasrat'
ab aage terī ḳhushī hai sarfarāz kare
tere karam ka saza-war to nahin 'hasrat'
ab aage teri KHushi hai sarfaraaz kare
raat thoḌī sī hai bas jaane de mil hañs kar bol
nā-ḳhushī tā-ba-kujā sub.h huī jaatī hai
raat thoḌī sī hai bas jaane de mil hañs kar bol
nā-ḳhushī tā-ba-kujā subh huī jatī hai
ḳhushī se paañv phailāte haiñ kyā kyā kunj-e-turbat meñ
ajab lazzat hai tire haath se qātil shahādat meñ
KHushi se panw phailate hain kya kya kunj-e-turbat mein
ajab lazzat hai tere hath se qatil shahadat mein
bār-e-ajal uThā.e jo koī ḳhushī ḳhushī
tāqat ye kis meñ hai tere bīmār ke sivā
bar-e-ajal uThae jo koi KHushi KHushi
taqat ye kis mein hai tere bimar ke siwa
be-ḳhudī gar ho ḳhud to aa ke mile
ai ḳhudā be-ḳhudī ajab shai hai
be-ḳhudī gar ho ḳhud to aa ke mile
ai ḳhudā be-ḳhudī ajab shai hai
jab aag dhadaktī ho us par mat chīTiyo tel ḳhudā rā tum
kyā dil kī ḳhushī ko pūchho ho ai yaaro ik nāshād satī
jab aag dhadakti ho us par mat chiTiyo tel KHuda ra tum
kya dil ki KHushi ko puchho ho ai yaro ek nashad sati
aish-o-ishrat vasl-o-rāhat sab ḳhushī meñ sharīk
be-kasī meñ aah koī pūchhne vaalā nahīñ
aish-o-ishrat wasl-o-rahat sab KHushi mein sharik
be-kasi mein aah koi puchhne wala nahin
zamāna hech hai apnī nazar meñ
zamāne kī ḳhushī kyā aur ġham kyā
zamana hech hai apni nazar mein
zamane ki KHushi kya aur gham kya
shaad ke naam se har rañj-o-ḳhushī ho ke 'riyāz'
sadr-e-āzam ko shab-o-roz duā detā hai
shad ke nam se har ranj-o-KHushi ho ke 'riyaz'
sadr-e-azam ko shab-o-roz dua deta hai
iid se bhī kahīñ baḌh kar hai ḳhushī aalam meñ
jab se mash.hūr huī hai ḳhabar-e-āmad-e-yār
id se bhi kahin baDh kar hai KHushi aalam mein
jab se mashhur hui hai KHabar-e-amad-e-yar
ḳhushī se ḳhatm kar le saḳhtiyāñ qaid-e-farañg apnī
ki ham āzād haiñ begāna-e-ranj-e-dil-āzārī
KHushi se KHatm kar le saKHtiyan qaid-e-farang apni
ki hum aazad hain begana-e-ranj-e-dil-azari
bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis vāste
gar bure ham haiñ to ho jiye aur se jā āshnā
bad-mizājī nā-ḳhushī āzurdagī kis wāste
gar bure hum haiñ to ho jiye aur se jā āshnā
tirī ḳhushī se agar ġham meñ bhī ḳhushī na huī
vo zindagī to mohabbat kī zindagī na huī
teri KHushi se agar gham mein bhi KHushi na hui
wo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui
aag lagī vo ishaq kī sar se maiñ paañv tak jalā
fart-e-ḳhushī se dil mirā kahne lagā jo ho so ho
aag lagi wo ishaq ki sar se main panw tak jala
fart-e-KHushi se dil mera kahne laga jo ho so ho
kuchh fikr tumheñ uqbā kī nahīñ 'ahqar' ye baḌī nādānī hai
duniyā kī ḳhushī kyā iizā kyā ye hādis hai vo faanī hai
kuchh fikr tumhein uqba ki nahin 'ahqar' ye baDi nadani hai
duniya ki KHushi kya iza kya ye hadis hai wo fani hai
ḳhushī se choT khāne kā mazā yā kaif-e-jāñ-sozī
koī jāñ-soz pervāva yā koī dil-jalā jaane
KHushi se choT khane ka maza ya kaif-e-jaan-sozi
koi jaan-soz perwawa ya koi dil-jala jaane
ġham-e-jānāñ se dil mānūs jab se ho gayā mujh ko
hañsī achchhī nahīñ lagtī ḳhushī achchhī nahīñ lagtī
gham-e-jaanan se dil manus jab se ho gaya mujh ko
hansi achchhi nahin lagti KHushi achchhi nahin lagti
kidhar kī ḳhushī kahāñ kī shādī
jab dil se havas hī sab uḌā dī
kidhar ki KHushi kahan ki shadi
jab dil se hawas hi sab uDa di
ḳhushī se vo hamārī har ḳhushī pāmāl kar Dāleñ
jahāñ tak hai ḳhushī un kī vahāñ tak hai ḳhushī apnī
KHushi se wo hamari har KHushi pamal kar Dalen
jahan tak hai KHushi un ki wahan tak hai KHushi apni
pahle to ḳhuun merā bahāyā ḳhushī ḳhushī
phir kyā vo ḳhud hī soche ki pachhtā ke rah ga.e
pahle to KHun mera bahaya KHushi KHushi
phir kya wo KHud hi soche ki pachhta ke rah gae
tere mizāj meñ ek din bhī barhamī na huī
ḳhushī kī baat thī lekin mujhe ḳhushī na huī
tere mizaj mein ek din bhi barhami na hui
KHushi ki baat thi lekin mujhe KHushi na hui
hinā kī tarah agar dastaras mujhe hotī
to kis ḳhushī se tire paañv meñ lagā kartā
hinā kī tarah agar dastaras mujhe hotī
to kis ḳhushī se tere pañw meñ lagā kartā
merī ḳhushī ḳhushī nahīñ merā alam alam nahīñ
mujh ko hañsā gayā koī mujh ko rulā gayā koī
meri KHushi KHushi nahin mera alam alam nahin
mujh ko hansa gaya koi mujh ko rula gaya koi
dil meñ jigar meñ āñkhoñ meñ rahiye ḳhushī se aap
phir ye na kahiyegā koī miltā makāñ nahīñ
dil mein jigar mein aankhon mein rahiye KHushi se aap
phir ye na kahiyega koi milta makan nahin
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere