Font by Mehr Nastaliq Web

ra.ngiiniyo.n kaa jalva-e-'uryaa.n basa.nt hai

Barq Dehlvi

MORE BYBarq Dehlvi

    ra.ngiiniyo.n kaa jalva-e-'uryaa.n basa.nt hai

    nazzaara-e-bahaar ba-daamaa.n basa.nt hai

    raushan hai shaaKH shaaKH shajar par charaaG-e-gul

    sahn-e-chaman me.n jashn-e-charaaGaa.n basa.nt hai

    afsurda-dil bhii jalva-e-gul se hai baaG-baaG

    dil-bastagii kaa dahr kii saamaa.n basa.nt hai

    kaif-aafrii.n hai jumbish-e-mauj-e-nasiim-e-sub.h

    mai-kHaana-e-bahaar-e-gulistaa.n basa.nt hai

    Garqaab jis kii ruu me.n hu.ii kashtii-e-KHizaa.n

    amvaaj-e-ra.ng-o-buu kaa vo tuufaa.n basa.nt hai

    naqsha jamaa rahii hai chaman me.n bahaar kaa

    fasl-e-KHizaa.n se dast-o-garebaa.n basa.nt hai

    sarso.n ke khet kyuu.n na bane.n kisht-e-za.afaraa.n

    josh-e-numuu kaa husn-e-numaayaa.n basa.nt hai

    kundan-saa ra.ng aur basantii ye saa.Diyaa.n

    vaj.h-e-faroG-e-husn-e-hasiinaa.n basa.nt hai

    ‘barq’ aur fasl-e-gul me.n bha.Dakte hai.n daaG-e-dil

    mere liye to baa'is-e-hirmaa.n basa.nt hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now