KHvaaja liijo khabariyaa hamaarii re
Interesting Fact
دادرا۔
KHvaaja liijo khabariyaa hamaarii re
kar liije aaj vaa'da to diidaar yaar kaa
dil to.Dte ho kyuu.n kisii ummiid-vaar kaa
guzarii jaa.e umariyaa hamaarii re
puuchhaa ki haal kyaa hai dil-e-be-qaraar kaa
ham ne kahaa ki shukr hai parvardigaar kaa
suunii rah ga.ii aTariyaa hamaarii re
aate hii bole vaqt hai ab sair-e-baaG kaa
mu.nh dekh luu.n mai.n aise mohabbat-shi'aar kaa
saj ga.ii saj ga.ii sajariyaa hamaarii re
jis gul se thii ummiid charaaG-e-mazaar kii
gul kar gayaa charaaG hamaare mazaar kaa
phir na lenii khabariyaa hamaarii re
tum nekii aur badii kii jo baato.n ko ginte ho
ye raat vasl kii hai ki hai din bahaar kaa
ab to sun lo sa.variyaa hamaarii re
'akbar' KHudaa ke saamne yuu.nhii chale chalo
fariyaad lab pe haath me.n daaman ho yaar kaa
yuu.n na hogii guzar hamaarii re

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.