zāda-e-rāh-e-baqā ġhair az fanā miltā nahīñ
hai ḳhudī jab tak ki insān meñ ḳhudā miltā nahīñ
justujū rahtī hai daulat kā patā miltā nahīñ
sar phirā karatā hai par zill-e-humā miltā nahīñ
hai tajassus shart yahāñ malne ko kyā miltā nahīñ
par kahīñ duniyā meñ sādiq āshnā miltā nahīñ
chashm-e-nai kī muddatoñ gardish to paayā ek til
rizq insāñ ko muqaddar se sivā miltā nahīñ
al-madad mauqa' madad kā hai ye ai bād-e-murād
Dūbtī hai apnī kashtī nā-ḳhudā miltā nahīñ
gumrahī ḳhud manzil-e-maqsūd kī hai rahnumā
ḳhizr mil jaate haiñ jis ko rāstā miltā nahīñ
shā'irān-e-hāl kyā mazmūn-e-nau paa.eñ 'asīr'
DhūñDhte haiñ ye taḳhallus bhī nayā miltā nahīñ
zada-e-rah-e-baqa ghair az fana milta nahin
hai KHudi jab tak ki insan mein KHuda milta nahin
justuju rahti hai daulat ka pata milta nahin
sar phira karata hai par zill-e-huma milta nahin
hai tajassus shart yahan malne ko kya milta nahin
par kahin duniya mein sadiq aashna milta nahin
chashm-e-nai ki muddaton gardish to paya ek til
rizq insan ko muqaddar se siwa milta nahin
al-madad mauqa' madad ka hai ye ai baad-e-murad
Dubti hai apni kashti na-KHuda milta nahin
gumrahi KHud manzil-e-maqsud ki hai rahnuma
KHizr mil jate hain jis ko rasta milta nahin
sha'iran-e-haal kya mazmun-e-nau paen 'asir'
DhunDhte hain ye taKHallus bhi naya milta nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.