madum hue jate hain ab tab-o-tawan aur
ma.adūm hue jaate haiñ ab tāb-o-tavāñ aur
kuchh gul na khilā.e kahīñ ye dard-e-nihāñ aur
ghul ghul ke tire ġham meñ huā jī kā ziyāñ aur
jab tū hī na pūchhe to bhalā jā۔ūñ kahāñ aur
hai dil kī zabāñ aur dahan kī hai zabāñ aur
phir tū hī batā kyuuñ na baḌhe merā gumāñ aur
yuuñ to haiñ zamāne meñ bahut mujh se javāñ aur
jo shān-e-tajmmul hai tirī hai vo kahāñ aur
ai sabr tujhe sabr paḌe merī fuġhāñ kā
kuchh rose to rahne de mujhe mahv-e-fuġhāñ aur
dil gardish-e-ayyām se pis-pis ke huā ḳhaak
ab ḳhaak uḌāte ho uḌaao merī jaañ aur
shākir hai tirā bazm meñ ghar par tirā shākī
hai fitrat-e-dil ḳhuub vahāñ aur yahāñ aur
ham jannat-e-vā.iz kī haqīqat se hoñ munkir
mil jaa.e agar tere mohalle meñ makāñ aur
is daur-e-za.īfī meñ 'asar' laaj bachānā
ye aur zamāna hai ye din aur samāñ aur
madum hue jate hain ab tab-o-tawan aur
kuchh gul na khilae kahin ye dard-e-nihan aur
ghul ghul ke tere gham mein hua ji ka ziyan aur
jab tu hi na puchhe to bhala ja۔un kahan aur
hai dil ki zaban aur dahan ki hai zaban aur
phir tu hi bata kyun na baDhe mera guman aur
yun to hain zamane mein bahut mujh se jawan aur
jo shan-e-tajmmul hai teri hai wo kahan aur
ai sabr tujhe sabr paDe meri fughan ka
kuchh rose to rahne de mujhe mahw-e-fughan aur
dil gardish-e-ayyam se pis-pis ke hua KHak
ab KHak uDate ho uDao meri jaan aur
shakir hai tera bazm mein ghar par tera shaki
hai fitrat-e-dil KHub wahan aur yahan aur
hum jannat-e-waiz ki haqiqat se hon munkir
mil jae agar tere mohalle mein makan aur
is daur-e-zaifi mein 'asar' laj bachana
ye aur zamana hai ye din aur saman aur
- Book : Tazkira-e-Hindu Shora-e-Bihar (Pg. 145)
- Author : Mohammad Faseehuddin Balkhi
- Publication : National Book Center Daltanganj, Plamu (1961)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.