apni barbaadi ka shikwa dil-e-nashad na kar
apnī barbādī kā shikva dil-e-nāshād na kar
us ne toḌe haiñ sitam bhuul bhī jā yaad na kar
maiñ to uThā huuñ tamannāoñ kā tūfāñ lekar
aarzū kahtī hai chup ho yahāñ fariyād na kar
yaad ā.eñge bahut ahl-e-qafas ai sayyād
hāfiza chhīn le par noch yā āzād na kar
maiñ ne gum-nāmī kā oḌhā hai libāda ai dost
log pahchān leñ aisī koī bedād na kar
DabDabā aa.ī āñkheñ dam-e-ruḳhsat 'qaisar'
kitnā dil-doz thā vo sāneha ab yaad na kar
apni barbaadi ka shikwa dil-e-nashad na kar
us ne toDe hain sitam bhul bhi ja yaad na kar
main to uTha hun tamannaon ka tufan lekar
aarzu kahti hai chup ho yahan fariyaad na kar
yaad aaenge bahut ahl-e-qafas ai sayyaad
hafiza chhin le par noch ya aazad na kar
main ne gum-nami ka oDha hai libaada ai dost
log pahchan len aisi koi bedad na kar
DabDaba aai aankhen dam-e-ruKHsat 'qaisar'
kitna dil-doz tha wo saneha ab yaad na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.