na rota zar zar itna na karata shor-o-shar itna
na rotā zaar zaar itnā na karatā shor-o-shar itnā
ilāhī kyā karūñ dard-e-jigar itnā jigar itnā
hamāre vāste ta.ane sunā karte ho ġhairoñ ke
tumhārā bhī dil itnā hausla itnā jigar itnā
taḌap jaane lagā dil ab to har ik shai kī ḳhūbī par
na de dushman ke dushman ko ḳhudā zauq-e-nazar itnā
tire āshiq kī sūrat ab to pahchānī nahīñ jaatī
satāte haiñ bhalā is tarah aisā is qadar itnā
ḳhudā ke vāste insāf kar o rūThne vaale
taġhāful sheva-e-mā'shūq hai zālim magar itnā
hameñ ma.alūm hai ye bhī tujhe ma.alūm hai sab kuchh
hameñ us kī ḳhabar bhī hai nahīñ tū be-ḳhabar itnā
nahīñ milte to kah do aur milnā hai to mil jaao
koī kab tak phire kūcha ba-kūcha dar badar itnā
'safī' kyuuñ qadr kā tālib huā hai is zamāne meñ
are kam-baḳht tere paas kab hai māl-o-zar itnā
na rota zar zar itna na karata shor-o-shar itna
ilahi kya karun dard-e-jigar itna jigar itna
hamare waste tane suna karte ho ghairon ke
tumhaara bhi dil itna hausla itna jigar itna
taDap jaane laga dil ab to har ek shai ki KHubi par
na de dushman ke dushman ko KHuda zauq-e-nazar itna
tere aashiq ki surat ab to pahchani nahin jati
satate hain bhala is tarah aisa is qadar itna
KHuda ke waste insaf kar o ruThne wale
taghaful shewa-e-ma'shuq hai zalim magar itna
hamein malum hai ye bhi tujhe malum hai sab kuchh
hamein us ki KHabar bhi hai nahin tu be-KHabar itna
nahin milte to kah do aur milna hai to mil jao
koi kab tak phire kucha ba-kucha dar badar itna
'safi' kyun qadr ka talib hua hai is zamane mein
are kam-baKHt tere pas kab hai mal-o-zar itna
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 18)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.