parastish se ziyaada naz-bardari gawahon ki
parastish se ziyāda nāz-bardārī gavāhoñ kī
gunahgāroñ kī ye tauhīn tauba hai gunāhoñ kī
use dekhā hai jis andāz se allāh shāhid hai
balā.eñ ḳhud mujhe lenī paḌīñ apnī nigāhoñ kī
ilāhī band muTThī kā bharam rakh le qiyāmat meñ
na khulvā dushmanoñ ke sāmne gaThḌī gunāhoñ kī
qiyāmat meñ sazā hī kā na rakho Dar gunah-gāro
tumheñ ḳhushiyāñ bhī us din dekhnī haiñ be-gunāhoñ kī
gunahgāroñ ke chehroñ par ye kaisā ḳhuun dauḌ aayā
tire jalve ne sūrat hī badal dī rūsiyāhoñ kī
itā.at karke dil qaabū meñ lā alla vāloñ kā
yahāñ chaltī nahīñ hai bādshāhī bādshāhoñ kī
manāo ḳhair apnī ho jahāñ jamghaT hasīnoñ kā
vahāñ sambhlo jahāñ chaltī hoñ talvāreñ nigāhoñ kī
mai-o-māshūq de jaate haiñ rañg apnā javānī meñ
mirī dānist meñ ik umr hotī hai gunāhoñ kī
'safī' hamdard bhī merī tarah āshiq tabī.at haiñ
jo sūrat mudda.ī kī hai vahī sūrat gavāhoñ kī
parastish se ziyaada naz-bardari gawahon ki
gunahgaron ki ye tauhin tauba hai gunahon ki
use dekha hai jis andaz se allah shahid hai
balaen KHud mujhe leni paDin apni nigahon ki
ilahi band muTThi ka bharam rakh le qiyamat mein
na khulwa dushmanon ke samne gaThDi gunahon ki
qiyamat mein saza hi ka na rakho Dar gunah-garo
tumhein KHushiyan bhi us din dekhni hain be-gunahon ki
gunahgaron ke chehron par ye kaisa KHun dauD aaya
tere jalwe ne surat hi badal di rusiyahon ki
itaat karke dil qabu mein la alla walon ka
yahan chalti nahin hai baadshahi baadshahon ki
manao KHair apni ho jahan jamghaT hasinon ka
wahan sambhlo jahan chalti hon talwaren nigahon ki
mai-o-mashuq de jate hain rang apna jawani mein
meri danist mein ek umr hoti hai gunahon ki
'safi' hamdard bhi meri tarah aashiq tabiat hain
jo surat muddai ki hai wahi surat gawahon ki
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 220)
- Author : Safi Aurangabad
- Publication : Golden Press, Hyderabad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.