jab tak nigah-e-shauq rahi iKHtiyar mein
jab tak nigāh-e-shauq rahī iḳhtiyār meñ
vo raat din rahe haiñ mere intizār meñ
chāleñ na.ī na.ī sī haiñ raftār-e-yār meñ
paḌ jā.egā ḳhalal ravish-e-rozgār meñ
rahnā hai chaar din chaman-e-rozgār meñ
do din ḳhizāñ meñ jā.eñge do din bahār meñ
jo ek rañg par ho ḳhizāñ-o-bahār meñ
vo phuul hī nahīñ chaman-e-rozgār meñ
saarī bahār us se hai fasl-e-bahār meñ
bas ek phuul hai chaman-e-rozgār meñ
dhoka huā ki hañste hue aa rahe haiñ aap
bijlī chamak ga.ī jo shab-e-intizār meñ
duniyā ko log chhoḌ ke uqbā pe kyuuñ mareñ
jo naqd meñ mazā hai kahāñ hai udhār meñ
haiñ vaqt ke ġhulām zamīñ aur āsmāñ
ye kyā sharīk hoñge mere kār-o-bār meñ
majbūr-e-bandagī meñ kahāñ shān-e-bandagī
rahne do kuchh na kuchh to mere iḳhtiyār meñ
piirī meñ hogā ġhaflat-e-yād-e-ḳhudā kā dard
ubhregī ye bhī choT lahū ke utaar meñ
ik taaza vārdāt hai ik taaza dam ke saath
mere irāde aa nahīñ sakte shumār meñ
koī na pūchhe ḳhair nakīrain hī sahī
parde kī baat jā ke kahūñgā mazār meñ
aao to is tarah mere mehmāñ rahā kaaro
ummīd jis tarah dil-e-ummīd-vār meñ
maiñ jabr-o-iḳhtiyār kī uljhan meñ paḌ gayā
kyā kah ga.e vo ik nigah-e-sharmsār meñ
apnī agar nahīñ hai to apnoñ kī fikr hai
har aadmī hai ek na ik ḳhalfashār meñ
naala ḳhilāf-e-va.ada kiyā haaye kyā kiyā
vo sun chuke to farq paḌā e'tibār meñ
kahte haiñ log maut se bad-tar hai intizār
merī tamām umr kaTī intizār meñ
majnūñ agar nahīñ na sahī kohkan to ban
itnā to ho ki maut rahe iḳhtiyār meñ
vo ḳhuun hī hamārī ragoñ meñ nahīñ rahā
dīvāngī kā ḳhauf ho jis se bahār meñ
sau mehrbāniyoñ ke evaz muskurā diyā
sarkār ne kamāl kiyā iḳhtisār meñ
aise ki intizār kī ghaḌiyāñ na pūchhiye
jis kā koī sharīk na huā intizār meñ
paidā kaaro kisī bhī tarah dil pe iḳhtiyār
dil iḳhtiyār meñ hai to sab iḳhtiyār meñ
kyuuñ nā-ummīd aap kā umīd-vār ho
sab kuchh hai kyā nahīñ nigah-e-sharmsār meñ
yā maut aa.egī mujhe yā niiñd aa.egī
ik aur shab guzār to duuñ intizār meñ
ishq aur aap vaah 'Safī' vaah vaah vaah
ġham aur hā-e-zindagī musta.ār meñ
jab tak nigah-e-shauq rahi iKHtiyar mein
wo raat din rahe hain mere intizar mein
chaalen nai nai si hain raftar-e-yar mein
paD jaega KHalal rawish-e-rozgar mein
rahna hai chaar din chaman-e-rozgar mein
do din KHizan mein jaenge do din bahaar mein
jo ek rang par ho KHizan-o-bahaar mein
wo phul hi nahin chaman-e-rozgar mein
sari bahaar us se hai fasl-e-bahaar mein
bas ek phul hai chaman-e-rozgar mein
dhoka hua ki hanste hue aa rahe hain aap
bijli chamak gai jo shab-e-intizar mein
duniya ko log chhoD ke uqba pe kyun maren
jo naqd mein maza hai kahan hai udhaar mein
hain waqt ke ghulam zamin aur aasman
ye kya sharik honge mere kar-o-bar mein
majbur-e-bandagi mein kahan shan-e-bandagi
rahne do kuchh na kuchh to mere iKHtiyar mein
piri mein hoga ghaflat-e-yaad-e-KHuda ka dard
ubhregi ye bhi choT lahu ke utar mein
ek taza wardat hai ek taza dam ke sath
mere irade aa nahin sakte shumar mein
koi na puchhe KHair nakirain hi sahi
parde ki baat ja ke kahunga mazar mein
aao to is tarah mere mehman raha karo
ummid jis tarah dil-e-ummid-war mein
main jabr-o-iKHtiyar ki uljhan mein paD gaya
kya kah gae wo ek nigah-e-sharmsar mein
apni agar nahin hai to apnon ki fikr hai
har aadmi hai ek na ek KHalfashaar mein
nala KHilaf-e-wada kiya haye kya kiya
wo sun chuke to farq paDa e'tibar mein
kahte hain log maut se bad-tar hai intizar
meri tamam umr kaTi intizar mein
majnun agar nahin na sahi kohkan to ban
itna to ho ki maut rahe iKHtiyar mein
wo KHun hi hamari ragon mein nahin raha
diwangi ka KHauf ho jis se bahaar mein
sau mehrbaniyon ke ewaz muskura diya
sarkar ne kamal kiya iKHtisar mein
aise ki intizar ki ghaDiyan na pūchhiye
jis ka koi sharik na hua intizar mein
paida karo kisi bhi tarah dil pe iKHtiyar
dil iKHtiyar mein hai to sab iKHtiyar mein
kyun na-ummid aap ka umid-war ho
sab kuchh hai kya nahin nigah-e-sharmsar mein
ya maut aaegi mujhe ya nind aaegi
ek aur shab guzar to dun intizar mein
ishq aur aap wah 'Safi' wah wah wah
gham aur ha-e-zindagi mustaar mein
- Book : Gulzar-e-Safi (Pg. 82)
- Author : Safi Aurangabadi
- Publication : Golden Press, Hyderabad (1987)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.