yahi ek aarzu rahti hai bekal dil ki duniya mein
yahī ik aarzū rahtī hai bekal dil kī duniyā meñ
ki gum ho jā.ūñ 'ehsāñ' jalva-e-jān-e-tamnnā meñ
jahāñ ḳhauf-e-fanā kī tīrgī mafqūd hotī hai
jahāñ parvāz-e-fikr-e-shuq lā-mahdūd hotī hai
jahāñ hote nahīñ duniyā-e-ġham parvar ke nazzāre
jahāñ zarroñ ke dil meñ parvarish paate haiñ sayyāre
jahāñ chāroñ taraf tanvīr hī tanvīr hotī hai
'ibādat kī jahāñ bahjat fazā tafsīr hotī hai
jahāñ masrūf rahtī hai nazar ā.īna-bīnī meñ
jahāñ sūraj chamakte haiñ tabassum āfrīnī meñ
jahāñ pā-e-ḳhirad rahtā nahīñ zindāñ tā'at meñ
anal-haq hī anal-haq hai jahāñ bazm-e-samā’at meñ
jahāñ chhūtī nahīñ bād-e-fanā dāmān-e-hastī ko
jahāñ husn-parastish jānte haiñ ḳhud-parastī ko
jahāñ nāpaid bahr-e-be-niyāzī kā kināra hai
jahāñ taḳhlīq-e-'ālam ik taḳhayyul kā ishāra hai
jahāñ jhuktā hai sar zo'm-o-ġhurūr-e-āsmānī kā
ubaltā hai jahāñ shaffāf chashma zindagānī kā
vahīñ darbār hai us kunto kanzan kahne vaale kā
mirī āñkhoñ se ojhal mere dil meñ rahne vaale kā
yahi ek aarzu rahti hai bekal dil ki duniya mein
ki gum ho jaun 'ehsan' jalwa-e-jaan-e-tamnna mein
jahan KHauf-e-fana ki tirgi mafqud hoti hai
jahan parwaz-e-fikr-e-shuq la-mahdud hoti hai
jahan hote nahin duniya-e-gham parwar ke nazzare
jahan zarron ke dil mein parwarish pate hain sayyare
jahan chaaron taraf tanwir hi tanwir hoti hai
'ibaadat ki jahan bahjat faza tafsir hoti hai
jahan masruf rahti hai nazar aaina-bini mein
jahan suraj chamakte hain tabassum aafrini mein
jahan pa-e-KHirad rahta nahin zindan ta'at mein
anal-haq hi anal-haq hai jahan bazm-e-sama’at mein
jahan chhuti nahin baad-e-fana daman-e-hasti ko
jahan husn-parastish jaante hain KHud-parasti ko
jahan napaid bahr-e-be-niyazi ka kinara hai
jahan taKHliq-e-'alam ek taKHayyul ka ishaara hai
jahan jhukta hai sar zo'm-o-ghurur-e-asmani ka
ubalta hai jahan shaffaf chashma zindagani ka
wahin darbar hai us kunto kanzan kahne wale ka
meri aankhon se ojhal mere dil mein rahne wale ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.