Font by Mehr Nastaliq Web

koi puchhe na humse kya hua dil

Riyaz Khairabadi

koi puchhe na humse kya hua dil

Riyaz Khairabadi

MORE BYRiyaz Khairabadi

    koī pūchhe na ham se kyā huā dil

    huā kyā luT gayā dil miT gayā dil

    ye kah kar de diyā mujh ko mirā dil

    hameñ kosegā degā bad-du'ā dil

    qayāmat shoḳh-e-āfat chulbulā dil

    mirā dil aur phir kaisā mirā dil

    uThegā lutf-e-sohbat abhī to

    na.e tum ho na.e ham haiñ nayā dil

    mazā de jā.egī mujh ko tirī aañkh

    mazā de jā.egā mujh ko mirā dil

    kisī se yuuñ daġhā karte nahīñ haiñ

    are o be-muravvat be-vafā dil

    hamārā dil hamāre kaam hai

    kahāñ paa.eñ tumhāre kaam dil

    bahut hai jam ko apne jaam par naaz

    zarā laanā mirā TuuTā huā dil

    use kis muñh se kahte ho burā tum

    tumheñ kis muñh se detā hai du'ā dil

    ubhar kar daaġh laayā hai nayā rañg

    barābar dil ke hai ik dosrā dil

    hasīnoñ ko samajhtā nahīñ kuchh

    'ajab ḳhud-bīñ 'ajab hai ḳhud-numā dil

    mileñge hashr meñ dil lene vaale

    milegā hashr meñ bichhḌā huā dil

    husain is ko burā samjhe bachchī jaan

    burā ho kar bahut achchhā rahā dil

    gayā vo daaġh de kar daaġh le kar

    nishānī de gayā dil le gayā dil

    vahī achchhā thā is chhātī sil se

    kisī but se badal detā ḳhudā dil

    ḳhudā ko jaan sauñpī dil butoñ ko

    hamāre paas thā kyā jaan dil

    qayāmat hai tumhārī chulbulī shakl

    qayāmat hai hamārā chulbulā dil

    tumhārī raah meñ vo bhī paḌā hai

    zarā dekhe hue TuuTā huā dil

    tire gesū se bill le rahā hai

    bahut o zulfoñ vaale baḌh chalā dil

    koī ab muft bhī ḳhvāhāñ nahīñ haiñ

    'riyāz' aisā gayā guzrā huā dil

    'riyāz' āñkhoñ meñ phirtī haiñ vo shakleñ

    ki miT jaane se jin ke miT gayā dil

    koi puchhe na hum se kya hua dil

    hua kya luT gaya dil miT gaya dil

    ye kah kar de diya mujh ko mera dil

    hamein kosega dega bad-du'a dil

    qayamat shoKH-e-afat chulbula dil

    mera dil aur phir kaisa mera dil

    uThega lutf-e-sohbat ka abhi to

    nae tum ho nae hum hain naya dil

    maza de jaegi mujh ko teri aankh

    maza de jaega mujh ko mera dil

    kisi se yun dagha karte nahin hain

    are o be-murawwat be-wafa dil

    hamara dil hamare kaam ka hai

    kahan paen tumhaare kaam ka dil

    bahut hai jam ko apne jam par naz

    zara lana mera TuTa hua dil

    use kis munh se kahte ho bura tum

    tumhein kis munh se deta hai du'a dil

    ubhar kar dagh laya hai naya rang

    barabar dil ke hai ek dosra dil

    hasinon ko samajhta hi nahin kuchh

    'ajab KHud-bin 'ajab hai KHud-numa dil

    milenge hashr mein dil lene wale

    milega hashr mein bichhDa hua dil

    husain is ko bura samjhe bachchi jaan

    bura ho kar bahut achchha raha dil

    gaya wo dagh de kar dagh le kar

    nishani de gaya dil le gaya dil

    wahi achchha tha is chhati ki sil se

    kisi but se badal deta KHuda dil

    KHuda ko jaan saunpi dil buton ko

    hamare pas tha kya jaan ya dil

    qayamat hai tumhaari chulbuli shakl

    qayamat hai hamara chulbula dil

    tumhaari rah mein wo bhi paDa hai

    zara dekhe hue TuTa hua dil

    tere gesu se bill ki le raha hai

    bahut o zulfon wale baDh chala dil

    koi ab muft bhi KHwahan nahin hain

    'riyaz' aisa gaya guzra hua dil

    'riyaz' aankhon mein phirti hain wo shaklen

    ki miT jaane se jin ke miT gaya dil

    Source :
    • Book : Nairang-e-Khayaal (Pg. 63)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now