Font by Mehr Nastaliq Web

dil buton par fida kiya maine

Safi Lakhnavi

dil buton par fida kiya maine

Safi Lakhnavi

MORE BYSafi Lakhnavi

    dil butoñ par fidā kiyā maiñ ne

    baar ilāha ye kyā kiyā meñ nai

    ḳhuuñ na thamnā thā aañkh se na thamā

    'uqda-e-dil jo kiyā maiñ ne

    dil ne dard-āshnā kiyā mujh ko

    dil ko sabr-āzmā kiyā maiñ ne

    ashk-e-ġham tere qatra-qatra ko

    gauhar-e-mudda’ā kiyā meñ ne

    mar gayā dil rah ga.iiñ dil meñ

    zabt be-intihā kyā meñ ne

    naza.a meñ aa ke chheḌ ye kaisī

    ab to vā'da vafā kiyā meñ ne

    ḳhār-e-gum dil se yuuñ nikal na sakā

    resha resha judā kiyā meñ ne

    mai-kada se chalā gayā masjid

    are tauba ye kyā kiyā maiñ ne

    sūrat-e-shabnam apne dil ko 'safī'

    mast-e-zauq-e-fanā kiyā maiñ ne

    dil buton par fida kiya main ne

    bar ilaha ye kya kiya mein nai

    KHun na thamna tha aankh se na thama

    'uqda-e-dil jo wa kiya main ne

    dil ne dard-ashna kiya mujh ko

    dil ko sabr-azma kiya main ne

    ashk-e-gham tere qatra-qatra ko

    gauhar-e-mudda’a kiya mein ne

    mar gaya dil ki rah gain dil mein

    zabt be-intiha kya mein ne

    naza mein aa ke chheD ye kaisi

    ab to wa'da wafa kiya mein ne

    KHar-e-gum dil se yun nikal na saka

    resha resha juda kiya mein ne

    mai-kada se chala gaya masjid

    are tauba ye kya kiya main ne

    surat-e-shabnam apne dil ko 'safi'

    mast-e-zauq-e-fana kiya main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now