yaa-nabii nazar-e-karam farmaanaa ai hasnain ke naanaa

zahraa paak ke sadqe ham ko taiba me.n bulaanaa
saj ga.ii hai miilaad kii mahfil kyaa hai KHuub nazaara
kaif-o-mastii me.n Duubaa hai dekho 'aalam saaraa
Dhuu.nDh rahii hai aap kii rahmat baKHshish kaa bahaanaa
be-maaya hai lekin do jag par hai aap kaa saaya
’arsh-e-mu’allaa banaa mohalla diid ko rab ne bulaayaa
hashr talak na hogaa kasii kaa aisaa aanaa jaanaa
aap ke dar kaa mai.n bhikaarii aap hai.n mere daataa
saare rishto.n naato.n se hai pyaaraa apnaa naataa
kartaa hai mujh pe naaz zamaana mai.n ausaaf-e-'alii huu.n
aap kii aal kaa mai.n naukar KHaadim huu.n puraanaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.