yaa.n bazm-e-zikr-e-maulid-e-kHairul-varaa hai aaj

Syed Tajuddin Shakir
MORE BYSyed Tajuddin Shakir
yaa.n bazm-e-zikr-e-maulid-e-kHairul-varaa hai aaj
jis kaa karam muhtamim hu.aa KHud kibriyaa hai aaj
kyuu.n kar na ho ki us ke hai mahbuub kaa ye zikr
sun.ne ko jis ke KHud hii vo rauza-numaa hai aaj
jibriil aur malaa.ik-o-arvaah-e-ambiyaa
haazir hai.n shor-e-salle-'alaa yaa-nabii hai aaj
'aajiz hai jis ke dekhne se chashm-e-har-bashar
husn-e-habiib me.n hu.aa vo ruunumaa hai aaj
taabaa.n hai aaj nayyar-e-rukHsaar-e-mustafaa
har ik far'a ko asl kii apne baqaa hai aaj
'irfaan apne nafs kaa 'aarif ko aaj hai
nafs-un-nufuus KHalq hu.aa rahnumaa hai aaj
'shaakir' pe bhii ho aaj nigaah-e-karam shahaa
tere hii aasare pe kha.Daa ye gadaa hai aaj

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.