sab sharf KHatm hai.n tujh par nasabii-o-hasbii

Muzaiyab Akbarabadi
MORE BYMuzaiyab Akbarabadi
Interesting Fact
خمسہ بر غزل جان محمد قدسیؔ
sab sharf KHatm hai.n tujh par nasabii-o-hasbii
hai tire naam pe mauquuf shafaa.at talabii
mai.n to kyaa kahuu.n ye hii kahte hai.n valii aur nabii
marhabaa sayyad-e-makkii madnii al-'arabii
dil-o-jaa.n baad fidaayat che 'ajab KHush-laqabii
dekh kar husn-e-KHudaa-daad kaa tere 'aalam
yuu.n to sau jaan se 'aashiq hu.aa saaraa 'aalam
yuusuf-e-misr magar kahte the khaa-khaa ke qasam
man-e-be-dil ba-jamaal-e-tuu 'ajab hairaanam
allah-allaah che jamaalast badii.n bul-'ajabii
ek din aap ne allaah se yuu.n 'arz kiyaa
diyaa muusaa ko 'asaa tuune mujhe kyaa baKHshaa
pas nidaa aa.ii ki muusaa kaa to yaa.n zikr hai kyaa
nisbat-e-niist ba-zaat-e-tu banii-aadam raa
bartar az 'aalam-o-aadam tu che 'aalii-nasabii
KHalq kartaa na agar nuur teraa rabb-e-Gafuur
to na ye arz-o-samaa bante na ye huur-o-qusuur
hu.ii ḳhātir tirii yaa.n tak to KHudaa ko manzuur
zaat-e-paak-e-tuu ki dar mulk-e-'arab kard zuhuur
zaa.n sabab aamada qur.aa.n ba-zabaan-e-'arabii
dekhaa muusaa ne faqat tuur ko baadvaa yak dasht
aur suu-e-naar KHaliil aa.e baraa-e-gulgasht
hu.aa manzuur jo tujh ko karuu.n mai.n bhii gasht
shab-e-me'raaj 'uruuj tu za-aflaak guzasht
ba-maqaame ki rasiidii na-rasad hech nabii
suntaa huu.n hai nazar lutf me.n terii ye asar
jaa.e jannat me.n bache aatish-e-dozaKH se bashar
huu.n gunahgaar shahaa aayaa huu.n tere dar par
chashm-e-rahmat ba-kushaa suu-e-man andaaz-e-nazar
ai quraishii-laqbii haashmii-o-muttalabii
ba.Dii taqsiir hu.ii sarvar-e-dii.n shaah-e-umam
apnii gustaaKHii pe hai mujh ko nadaamat har-dam
baKHsh de ab to KHataa bahr-e-KHudaa-e-akram
nisbat-e-KHud ba-sagat kardam-o-bas munfa'ilam
zaa.n-ki nisbat ba-sag-e-kuu-e-tu shud be-adabii
ek dil ek jigar tiisrii hai merii zaat
tiino.n ham tishna-e-diidaar hai.n ai nek sifaat
na kahe.n tujh se to kis se kahe.n ab ham ye baat
maa-hama tishna-labaanem tu.ii aab-e-hayaat
lutf farmaa ki za-had mii-guzrad tishna-labii
kaamyaab aap ke dar se hai.n sabhii KHaas aur 'aam
haif hai baaG-e-jahaa.n mai.n rahuu.n ek me.n naakaam
gul-e-ummiid khile meraa bhii ai shaah-e-anaam
naKHl-e-bustaan-e-madiina za-tu sarsabz mudaam
zaa.n shuda shohra-e-aafaaq ba-shiirii.n ratabii
dard furqat se thaa betaab vo mard-e-'ajamii
kisii suurat se qaraar us ko na aataa thaa zarii
jab 'muzayyab' se terii us ne ye taa'riif sunii
sayyadii anta habiibii-o-tayyab qalbii
aamada suu-e-tu qudsii pai-e-darmaa.n talabii

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.