Font by Mehr Nastaliq Web

ruuh-e-ravaa.n madiina rashk-e-jinaa.n madiina

Masood Lakhimpuri

MORE BYMasood Lakhimpuri

    ruuh-e-ravaa.n madiina rashk-e-jinaa.n madiina

    sayyaah-e-do-jahaa.n hai tujh me.n nihaa.n madiina

    dil ’arsh-e-kibriyaa hai dil me.n 'ayaa.n madiina

    hai laa-makaa.n ke ghar se behtar makaa.n madiina

    mahbuub-e-haq tiraa hai KHud mehmaa.n madiina

    har ek ahl-e-iimaa.n qurbaan horahaa hai

    dil sadqe kar rahaa hai jaan apnii kho rahaa hai

    tujh par nuzuul-e-rahmat har vaqt ho rahaa hai

    qur.aa.n hai KHulq jis kaa vo tujh me.n so rahaa hai

    KHulq-e-’aziim kaa hai be-shak nishaa.n madiina

    jab zulmate.n ghaTaane vo aaftaab aayaa

    rahmat kii chhaa.ii badlii ghir kar sahaab aayaa

    tai kar ke aasmaa.n ke laakho.n hijaab aayaa

    vaa.n ik jhalak dikhaa dii yaa.n be-naqaab aayaa

    vaadii kahaa.n vo aiman kii aur kahaa.n madiina

    kahf-ul-varaa hai tuuhii allaah re teraa rutba

    qudsii falak se aakar dete hai.n dar pe pheraa

    ai maz.har-e-risaalat aa.iina-e-tajallii

    ai jalva-gaah-e-sidq-o-’adl hayaa-o-ittiqaa

    ai bosa-gaah-e-tifl-o-piir-o-javaa.n madiina

    is darja kyuu.n pareshaa.n mas'uud aaj tuu hai

    jalva nabii kaa paiham aa.nkho.n ke ruu-ba-ruu hai

    maKHluuq kii zabaa.n par aavaaz-e-haa-e-huu hai

    shor-e-nushuur barpaa 'navvaab' chaar-suu hai

    kuchh Gam nahii.n hai apnaa kahf-e-amaa.n madiina

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 286)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now