Dohe of Barkatullah Pemi
tū maiñ maiñ tū ek haiñ aur na duujā koy
maiñ to kahnā jab chhuTe vahī vahī sab hoai
tu main main tu ek hain aur na duja koy
main to kahna jab chhuTe wahi wahi sab hoai
likheñ saba.ī līkheñ nahīñ mohan parān sahāy
alakh lakhai ka.u laakh muuñ likhā lakhā to kaay
likhen sabai likhen nahin mohan paran sahay
alakh lakhai kau lakh mun likha lakha to kay
man bhaTko chhuñ or teñ aayo saran tihār
karunā kar ke naañv kī kariye laaj murār
man bhaTko chhun or ten aayo saran tihaar
karuna kar ke nanw ki kariye laj murar
biij birchh nahiñ doy haiñ ruuī chiir nahīñ doy
dadh tarañg nahīñ doy haiñ būjho gyānī loy
bij birchh nahin doy hain rui chir nahin doy
dadh tarang nahin doy hain bujho gyani loy
man jogī tan ki maḌhī set gūdri dhyān
naināñ jal birah dho.eñ bichchhā darsan jaan
man jogi tan ki maDhi set gudri dhyan
nainan jal birah dhoen bichchha darsan jaan
maiñyyahadillāho koñ falā-muzilla-lahū koy
nihachyañ ke man jāniyo aur na duujā koy
mainyyahadillaho kon fala-muzilla-lahu koy
nihachyan ke man jaaniyo aur na duja koy
sat jo jaa.e to rahai kyā nīatī ga.e sab jaa.e
lajiyā binā nilajj hai bin bidya na aghāy
sat jo jae to rahai kya niati gae sab jae
lajiya bina nilajj hai bin bidya na aghay
tum jaanī kachhu 'pem' mag bātan bātan jaay
panth miit ko kaThin hai khelo phaag banāy
tum jaani kachhu 'pem' mag baatan baatan jay
panth mit ko kaThin hai khelo phag banay
tan nirmal kar būjhiye man kī adhikai siikh
vahova ma.akum ke bhed soñ phir phir aapae dekh
tan nirmal kar bujhiye man ki adhikai sikh
wahowa makum ke bhed son phir phir aapae dekh
dadhi-man det tarañg nit rañg rañg bistār
ko.u tarañg motī sahit kaahu sañg sevār
dadhi-man det tarang nit rang rang bistar
kou tarang moti sahit kahu sang sewar
yominūna bil-ġhaib kuuñ aañkh muuñd man piil
sīkho gurū soñ ye jugat āñkh-michaunī khel
yominuna bil-ghaib kun aankh mund man pil
sikho guru son ye jugat aankh-michauni khel
alakh lakhe jab aap koñ lakhe na rākhe moh
likheñ paḌheñ kachhu hot nahiñ kahe to likh devñ toh
alakh lakhe jab aap kon lakhe na rakhe moh
likhen paDhen kachhu hot nahin kahe to likh dewn toh
'pemī' tan ke nagar meñ jo man pahrā dey
sove sadā anand soñ chor na maayā hoai
'pemi' tan ke nagar mein jo man pahra dey
sowe sada anand son chor na maya hoai
be-had kī had miim soñ bha.ī 'pem' mad hoy
bilā miim ahmad kahae au kaakī had hoai
be-had ki had mim son bhai 'pem' mad hoy
bila mim ahmad kahae au kaki had hoai
abi-bakar aur umar pun usmān alī bakhān
sat neti aur laaj atī bidya buujh sujān
abi-bakar aur umar pun usman ali bakhan
sat neti aur laj ati bidya bujh sujaan
maiyyuz-lilho ju har bhayo paap kī moT
falā-hādiya-lahu hoai nahiñ kaaro jatan kin coat
maiyyuz-lilho ju har bhayo pap ki moT
fala-hadiya-lahu hoai nahin karo jatan kin coat
gat tihārī adhik hai mo mat sake na gaa.e
jayoñ katān sam chand ke Tūk-Tūk ho jaa.e
gat tihaari adhik hai mo mat sake na gae
jayon katan sam chand ke Tuk-Tuk ho jae
'pemī' hindū turak moñ har-rañg raho samāy
deval aur masīt moñ diip ek hiiñ bhaay
'pemi' hindu turak mon har-rang raho samay
dewal aur masit mon dip ek hin bhay
na.ī riiti yā piit kī pahleñ sab sukh deh
pāchiañ dukh kī jiil meñ Daar krai tan kheh
nai riti ya pit ki pahlen sab sukh deh
pachian dukh ki jil mein Dar krai tan kheh
pāñchau pāñchau pāñchiyo nabī chaar hū naañh
bāchoge dukh paap teñ nāñcho baikuñTh maañh
panchau panchau panchiyo nabi chaar hu nanh
bachoge dukh pap ten nancho baikunTh manh
aurañgjeb ke raaj meñ bha.ī granth kī aas
'pemī' naañv bichār ke dharā pem-prakāsh
aurangjeb ke raj mein bhai granth ki aas
'pemi' nanw bichaar ke dhara pem-prakash
mūrakh log na būjhi haiñ dharm-karm kī chhīn
ek to chāhaiñ adhik kai ik to dekheñ hiin
murakh log na bujhi hain dharm-karm ki chhin
ek to chahain adhik kai ek to dekhen hin
mukh sukh ko sas nirmalo hot paap tam duur
dhyān dhareñ ati pā.iye 'pemī' man kī muur
mukh sukh ko sas nirmalo hot pap tam dur
dhyan dharen ati paiye 'pemi' man ki mur
harijan hari ke panth jiai aiseñ det miloy
nidharak lobhai chhāḌ ke jam-sudh hī nā hoy
harijan hari ke panth jiai aisen det miloy
nidharak lobhai chhaD ke jam-sudh hi na hoy
tohiñ tohiñ tab kahae hauñhīñ hauñhīñ jaay
jal gañgā meñ mill gayo sir kī ga.ī balāy
tohin tohin tab kahae haunhin haunhin jay
jal ganga mein mill gayo sir ki gai balay
tāla-kalla dou kahae beora būjho koy
ik baqā ek fanā hai 'pem' purāne loy
tala-kalla dou kahae beora bujho koy
ek baqa ek fana hai 'pem' purane loy
ham baasī vā des ke jahāñ na paap na punn
bidishā disā na hot hai 'pemī' sanai sunn
hum basi wa des ke jahan na pap na punn
bidisha disa na hot hai 'pemi' sanai sunn
paar kahaiñ tai vaar haiñ vaar kahaiñ nahīñ paar
yā mag ār-na-pār hai tan-man Daaro vaar
par kahain tai war hain war kahain nahin par
ya mag aar-na-par hai tan-man Daro war
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere