Saakhi of Dadu Dayal
daadū maiñ bhishyārī mangitā darsan dehu dayāl
tum daatā dukh-bhañjitā merī karhu sambhāl
dadu main bhishyari mangita darsan dehu dayal
tum data dukh-bhanjita meri karhu sambhaal
bhore bhore tan krai vanDai kari kurbān
mīThā kauḌā nā lagai daadū tauhū saan
bhore bhore tan krai wanDai kari kurban
miTha kauDa na lagai dadu tauhu san
aagyā aparampār kī basi ambar bhartār
hare paTambar pahiri kari dhartī krai siñgār
aagya aparampar ki basi ambar bhartar
hare paTambar pahiri kari dharti krai singar
daadū aasik rabb dā sir bhī devai laahī
allāh kārni aap kauñ sāñDai añdri bhāhi
dadu aasik rabb da sir bhi dewai lahi
allah karni aap kaun sanDai andri bhahi
muue piiḌ pukārtāñ baid na miliyā aa.i
daadū thoḌī baat thī je Tuk daras dikhāi
mue piD pukartan baid na miliya aai
dadu thoDi baat thi je Tuk daras dikhai
daadū darūnai dardvand yahu dil dard na jaai
ham dukhiyā dīdār ke mirahbān dikhlā.i
dadu darunai dardwand yahu dil dard na jai
hum dukhiya didar ke mirahban dikhlai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere