join rekhta family!
aadi achhar hī aagam hai tā ko sab bistār
sat-gurū dayā teñ pā.iye sattnām nij saar
aadi achhar hi aagam hai ta ko sab bistar
sat-guru daya ten paiye sattnam nij sar
jantar tantar sab jhūTh hai mat bharmo jag koy
satt sabad jaane binā kauvā hans na hoai
jantar tantar sab jhuTh hai mat bharmo jag koy
satt sabad jaane bina kauwa hans na hoai
tan kī aas sab chhūTaī man kā krai bichār
man chīnghe bin thit nahīñ sat-gurū kahiañ pukār
tan ki aas sab chhuTai man ka krai bichaar
man chinghe bin thit nahin sat-guru kahian pukar