Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama
Kabir's Photo'

Kabir

1440 - 1518 | Lahartara, India

Prominent 15th century Sufi poet and saint, best known for his Dohas, considered the greatest poet of the Bhakti movement.

Prominent 15th century Sufi poet and saint, best known for his Dohas, considered the greatest poet of the Bhakti movement.

Saakhi of Kabir

319
Favorite

SORT BY

kabīr sañgat saadh harai aur byādhi

sañgat burī asādh aaTho pahar upādhi

kabir sangat sadh ki harai aur ki byaadhi

sangat buri asadh ki aaTho pahar upadhi

jab maiñ thā tab gurū nahīñ ab gurū hai ham nāhīñ

prem galī ati sañkrī meñ do na samāñhi

jab main tha tab guru nahin ab guru hai hum nahin

prem gali ati sankri ta mein do na samanhi

sañgati bha.ī to kyā bhyā hirdā bhyā kaThor

nau nejā paanī chḌhai taū na bhījai kor

sangati bhai to kya bhya hirda bhya kaThor

nau neja pani chDhai tau na bhijai kor

raam bulāvā bhejiyā diyā 'kabīrā' roye

jo sukh sādhū sañg meñ so baikuñTh na hoy

ram bulawa bhejiya diya 'kabira' roye

jo sukh sadhu sang mein so baikunTh na hoy

pirītam ko patiyāñ likhūñ jo kahuñ hoai bides

tan meñ man meñ nain meñ ko kahā sandes

piritam ko patiyan likhun jo kahun hoai bides

tan mein man mein nain mein ta ko kaha sandes

sukhiyā sab sansār hai khāvai au sovai

dukhiyā daas 'kabīr' hai jāgai au rovai

sukhiya sab sansar hai khawai au sowai

dukhiya das 'kabir' hai jagai au rowai

aaTh pahar chauñsaTh ghaḌī mere aur na koy

nainā māñhīñ basai niiñd ko Thaur na hoai

aaTh pahar chaunsaTh ghaDi mere aur na koy

naina manhin tu basai nind ko Thaur na hoai

preñm chhipāyā chhipai ghaT parghaT hoai

jo pai mukh bolai nahīñ to nain det haiñ roye

prenm chhipaya na chhipai ja ghaT parghaT hoai

jo pai mukh bolai nahin to nain det hain roye

prem binā dhīraj nahīñ birah binā bairāg

satgurū bin jāvai nahīñ man mansā daaġh

prem bina dhiraj nahin birah bina bairag

satguru bin jawai nahin man mansa ka dagh

aayā bagūla prem tinkā uḌā akaas

tinkā tinkā se milā tinkā tinke paas

aaya bagula prem ka tinka uDa akas

tinka tinka se mila tinka tinke pas

jo aavai to jaai nahi jaai to aavai nāhiñ

akath kahānī prem smujhi lehu man māhiñ

jo aawai to jai nahi jai to aawai nahin

akath kahani prem ki smujhi lehu man mahin

ek siis mānvā kartā bahutak hiis

lañkāpti rāvan gayā biis bhujā das siis

ek sis ka manwa karta bahutak his

lankapti rawan gaya bis bhuja das sis

prem to aisā kījiye jaise chand chakor

ghīñch TuuTi bhuiñ maañ girai chitvai vaahī or

prem to aisa kijiye jaise chand chakor

ghinch TuTi bhuin man girai chitwai wahi or

aayā prem kahāñ gayā dekhā thā sab koy

chhin rovai chhin meñ hañsai so to prem na hoai

aaya prem kahan gaya dekha tha sab koy

chhin rowai chhin mein hansai so to prem na hoai

bin pāñvan raah hai bin bastī des

binā pinD purūsh hai kahae 'kabīr' sañdes

bin panwan ki rah hai bin basti ka des

bina pinD ka purush hai kahae 'kabir' sandes

jal meñ basai kamodinī chandā basai akaas

jo hai bhāvtā so taahī ke paas

jal mein basai kamodini chanda basai akas

jo hai ja ka bhawta so tahi ke pas

prīti jo laagī ghuli ga.i paiThi ga.ī man maahi

rome rome piu piu krai mukh sirdhā nāhiñ

priti jo lagi ghuli gai paiThi gai man mahi

rome rome piu piu krai mukh ki sirdha nahin

dhartī ambar jāyañgaiñ binsaiñge kailas

ekmek hoi jāyañgaiñ tab kahāñ rahaiñge daas

dharti ambar jayangain binsainge kailas

ekmek hoi jayangain tab kahan rahainge das

merā man to tujh se terā man kahuñ aur

kah kabīr kaise banai ek chitt dui Thaur

mera man to tujh se tera man kahun aur

kah kabir kaise banai ek chitt dui Thaur

so din kaisā goygā gurū gaheñge bāñhi

apnā kari baiThāvahīñ charan kañval chhāñhi

so din kaisa goyga guru gahenge banhi

apna kari baiThawahin charan kanwal ki chhanhi

sādhun ke satsañg teñ tharhar kāñpai deñh

kabhuñ bhaav kubhāv teñ mat miT jaai saneh

sadhun ke satsang ten tharhar kanpai denh

kabhun bhaw kubhaw ten mat miT jai saneh

'kabīr' rekh sindur arū kājar diyā na jaai

nainan pirītam rami rahā duujā kahāñ samā.ae

'kabir' rekh sindur aru kajar diya na jai

nainan piritam rami raha duja kahan samaae

ghaT prem na sancharai so ghaT jaanu samān

jaise khaal lohār saañs let bin parān

ja ghaT prem na sancharai so ghaT jaanu saman

jaise khaal lohaar ki sans let bin paran

jo ye ekai jāniyā tau jānau sab jaan

jo ye ek na jāniyā tau sabhī jaan ajaan

jo ye ekai jaaniya tau jaanau sab jaan

jo ye ek na jaaniya tau sabhi jaan ajaan

hirde bhītar dav balaiñ dhuāñ na pargaT hoai

ke laagī so lakhai jin laa.ī soai

hirde bhitar daw balain dhuan na pargaT hoai

ja ke lagi so lakhai ki jin lai soai

sabai rasāyan maiñ kiyā prem samān na koy

rati ik tan meñ sancharai sab tan kanchan hoai

sabai rasayan main kiya prem saman na koy

rati ek tan mein sancharai sab tan kanchan hoai

'kabīr' pyāla prem antar liyā lagāy

rome rome meñ rami rahā aur amal bayā khaay

'kabir' pyala prem ka antar liya lagay

rome rome mein rami raha aur amal baya khay

anrāte sukh sovnā raate niiñd na aay

jayo jal TuuTe māchhrī talfat rain bihāy

anraate sukh sowna raate nind na aay

jayo jal TuTe machhri talfat rain bihay

jab lagi marne se jarai tab lagi prem nāhiñ

baḌī duur hai prem ghar smujhi lehu man māhiñ

jab lagi marne se jarai tab lagi prem nahin

baDi dur hai prem ghar smujhi lehu man mahin

'kabīr' jantar na baaj.ī TuuTi gayā sab taar

jantar bichāra kyā krai chalā bajāvanhār

'kabir' jantar na baji TuTi gaya sab tar

jantar bichaara kya krai chala bajawanhaar

ghāThi paanī sab bharai aughaT bharai na koy

aughaT ghaaT 'kabīr' bharai so nirmal hoy

ghaThi pani sab bharai aughaT bharai na koy

aughaT ghaT 'kabir' ka bharai so nirmal hoy

ye jiv aayā duur teñ jaanā hai bahu duur

bich ke baase basi gayā kaal rahā sir puur

ye jiw aaya dur ten jaana hai bahu dur

bich ke base basi gaya kal raha sir pur

daas dukhī to hari dukhī aadi ant tihun kaal

palak ek meñ pargaT havai chhin meñ krai nihāl

das dukhi to hari dukhi aadi ant tihun kal

palak ek mein pargaT hawai chhin mein krai nihaal

jab lag kathnī ham kathī duur rahā jagdīs

lav laagī kal parai ab bolat na hadīs

jab lag kathni hum kathi dur raha jagdis

law lagi kal na parai ab bolat na hadis

sab aay us ek meñ Daar paat phal phuul

ab kaho pāchhe kyā rahā gahi pakḌā jab muul

sab aay us ek mein Dar pat phal phul

ab kaho pachhe kya raha gahi pakDa jab mul

añkhiyan to jhāñīñ parī panth nihār nihār

jibhyā to chhālā parā naam pukār pukār

ankhiyan to jhanin pari panth nihaar nihaar

jibhya to chhaala para nam pukar pukar

mariye to mari jā.iye chuTi parai janjār

aisā marnā ko marai din meñ sau sau baar

mariye to mari jaiye chuTi parai janjar

aisa marna ko marai din mein sau sau bar

prem bhaav ik chāhiye bhesh anek banāy

bhāve girah meñ baas kar bhāve ban meñ jaai

prem bhaw ek chahiye bhesh anek banay

bhawe girah mein bas kar bhawe ban mein jai

sab kachhu gurū ke paas hai pa.iye apne bhaag

sevak man se pyaar hai nisu din charnan laag

sab kachhu guru ke pas hai paiye apne bhag

sewak man se pyar hai nisu din charnan lag

uttam priti so jāniye satgurū se jo hoai

gunvantā au darbay priti krai sab koy

uttam priti so jaaniye satguru se jo hoai

gunwanta au darbay ki priti krai sab koy

dekhat dekhat din gayā nis bhī dekhat jaai

birahin piya pāvai nahīñ bekal jiai ghabrā.e

dekhat dekhat din gaya nis bhi dekhat jai

birahin piya pawai nahin bekal jiai ghabrae

ptabarta bibhichārinī ek mandir meñ baas

vah rañg-rātī piiv ke ye ghar ghar phirai udaas

ptabarta bibhichaarini ek mandir mein bas

wah rang-raati piw ke ye ghar ghar phirai udas

piiyā jāhai prem ras rākhā chāhai maan

ek myaan meñ do khaḌag dekhā sunā na kaan

piya jahai prem ras rakha chahai man

ek myan mein do khaDag dekha suna na kan

lab laagī tab jāniye chūTi kabhūñ nahi jaay

jīvat lav laagī rahai muue tahñhi samā.ae

lab lagi tab jaaniye chuTi kabhun nahi jay

jiwat law lagi rahai mue tahnhi samaae

jahāñ prem tahñ nem nahi tahāñ na budhi bayauhār

prem magan jab man bhyā tab kaun ginai tithi baar

jahan prem tahn nem nahi tahan na budhi bayauhaar

prem magan jab man bhya tab kaun ginai tithi bar

prem prem sab koi kahae prem na chīnahai koy

aaTh pahar bhīnā rahai prem kahāvai soye

prem prem sab koi kahae prem na chinahai koy

aaTh pahar bhina rahai prem kahawai soye

prem piyāre laal soñ man de kījai bhaav

satgurū ke parsād se bhalā banā hai daav

prem piyare lal son man de kijai bhaw

satguru ke parsad se bhala bana hai daw

piir purānī birah pinjar piir na jaai

ek piir hai prīti rahī kaleje chhāy

pir purani birah ki pinjar pir na jai

ek pir hai priti ki rahi kaleje chhay

jo jāgat so svapn meñ jayoñ ghaT bhītar svaas

jo jan ko bhāvtā so jantā ke paas

jo jagat so swapn mein jayon ghaT bhitar swas

jo jan ja ko bhawta so janta ke pas

jayo merā man tujh se yoñ terā jo hoai

ahran taatā loh jayoñ sañdhi lakhai koy

jayo mera man tujh se yon tera jo hoai

ahran tata loh jayon sandhi lakhai na koy

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Speak Now