join rekhta family!
sañgati bha.ī to kyā bhyā hirdā bhyā kaThor
nau nejā paanī chḌhai taū na bhījai kor
sangati bhai to kya bhya hirda bhya kaThor
nau neja pani chDhai tau na bhijai kor
kabīr sañgat saadh kī harai aur kī byādhi
sañgat burī asādh kī aaTho pahar upādhi
kabir sangat sadh ki harai aur ki byaadhi
sangat buri asadh ki aaTho pahar upadhi
'kabīr' mārag kaThin hai koī sakai na jaay
gayā jo so bahurai nahīñ kusal kahae ko jaai
'kabir' marag kaThin hai koi sakai na jay
gaya jo so bahurai nahin kusal kahae ko jai
hariyā jānai rūkhḌā jo paanī kā neh
sukhā kaaTh na jaan hī kethu buuḌā meh
hariya jaanai rukhDa jo pani ka neh
sukha kaTh na jaan hi kethu buDa meh
dur dur karin to bāhire tū tū karin to jaai
jayoñ gurū rākhaiñ tayoñ rahai jo devaiñ so khaay
dur dur karin to bahire tu tu karin to jai
jayon guru rakhain tayon rahai jo dewain so khay
dhartī ambar jāyañgaiñ binsaiñge kailas
ekmek hoi jāyañgaiñ tab kahāñ rahaiñge daas
dharti ambar jayangain binsainge kailas
ekmek hoi jayangain tab kahan rahainge das
nainan to jhari lā.iyā rahaT bahai nisu baas
papihā jayoñ piu piu raTai piyā milan kī aas
nainan to jhari laiya rahaT bahai nisu bas
papiha jayon piu piu raTai piya milan ki aas
ye man tā ko dījiye jo sāchā sevak hoai
sir uupar aarā sahai tahū na duujā joy
ye man ta ko dijiye jo sacha sewak hoai
sir upar aara sahai tahu na duja joy
'kabīr' naav to jhāñjhrī bharī birāne bhaar
khevaT se parichay nahīñ kyūñkar utrai paar
'kabir' naw to jhanjhri bhari birane bhaar
khewaT se parichay nahin kyunkar utrai par
raam bulāvā bhejiyā diyā 'kabīrā' roye
jo sukh sādhū sañg meñ so baikuñTh na hoy
ram bulawa bhejiya diya 'kabira' roye
jo sukh sadhu sang mein so baikunTh na hoy
sāthī ham re chali gaye ham bhī chālanhār
kāgad meñ baaqī rahī tā teñ laago baar
sathi hum re chali gaye hum bhi chaalanhaar
kagad mein baqi rahi ta ten lago bar
'kabīr' rekh sindur arū kājar diyā na jaai
nainan pirītam rami rahā duujā kahāñ samā.ae
'kabir' rekh sindur aru kajar diya na jai
nainan piritam rami raha duja kahan samaae
jā ghaT meñ sā.īñ basai so kyoñ chhānā hoai
jatan jatan kari dābiye tau uñjiyārā soai
ja ghaT mein sain basai so kyon chhana hoai
jatan jatan kari dabiye tau unjiyara soai
daas dukhī to hari dukhī aadi ant tihun kaal
palak ek meñ pargaT havai chhin meñ krai nihāl
das dukhi to hari dukhi aadi ant tihun kal
palak ek mein pargaT hawai chhin mein krai nihaal
sevak kuttā gurū kā motiyā vā kā naañv
Dorī laagī prem kī jit khaiñchai tit jaav
sewak kutta guru ka motiya wa ka nanw
Dori lagi prem ki jit khainchai tit jaw
parbat parbat mai phirī nain gañvāyo roye
so buuTī pāyoñ nahīñ jā teñ jīvan hoai
parbat parbat mai phiri nain ganwayo roye
so buTi payon nahin ja ten jiwan hoai
jab lag kathnī ham kathī duur rahā jagdīs
lav laagī kal nā parai ab bolat na hadīs
jab lag kathni hum kathi dur raha jagdis
law lagi kal na parai ab bolat na hadis
prem binā dhīraj nahīñ birah binā bairāg
satgurū bin jāvai nahīñ man mansā kā daaġh
prem bina dhiraj nahin birah bina bairag
satguru bin jawai nahin man mansa ka dagh
merā saañ.ī ek tū duujā aur na koy
duujā saañ.ī tau karauñ jo kul duujo hoai
mera sani ek tu duja aur na koy
duja sani tau karaun jo kul dujo hoai
maiñ ablā piu piu karauñ nirgun merā piiv
sunn sanehī gurū binu aur na dekhaun jiiv
main abla piu piu karaun nirgun mera piw
sunn sanehi guru binu aur na dekhaun jiw
ye jiv aayā duur teñ jaanā hai bahu duur
bich ke baase basi gayā kaal rahā sir puur
ye jiw aaya dur ten jaana hai bahu dur
bich ke base basi gaya kal raha sir pur
ambar kujjā kari liyā garji bhare sab taal
jin teñ pirītam bichhurā tin kā kaun havāl
ambar kujja kari liya garji bhare sab tal
jin ten piritam bichhura tin ka kaun hawal
birah bhuvañgam tan Dasā mantar na lāgai koy
naam biyogī nā jiyai jiyai to baaur hoai
birah bhuwangam tan Dasa mantar na lagai koy
nam biyogi na jiyai jiyai to baur hoai
ghāThi paanī sab bharai aughaT bharai na koy
aughaT ghaaT 'kabīr' kā bharai so nirmal hoy
ghaThi pani sab bharai aughaT bharai na koy
aughaT ghaT 'kabir' ka bharai so nirmal hoy
galoñ tumhāre naam par jayoñ aaTe meñ non
aisā birhā mel kari nit dukh pāvai kaun
galon tumhaare nam par jayon aaTe mein non
aisa birha mel kari nit dukh pawai kaun
bāsar sukh nahi rain sukh nā sukh supne māhiñ
sat-gurū se jo bīchhure tin ko dhuup na chhāñhi
basar sukh nahi rain sukh na sukh supne mahin
sat-guru se jo bichhure tin ko dhup na chhanhi
jab maiñ thā tab gurū nahīñ ab gurū hai ham nāhīñ
prem galī ati sañkrī tā meñ do na samāñhi
jab main tha tab guru nahin ab guru hai hum nahin
prem gali ati sankri ta mein do na samanhi
sat-gurū dīn-dayāl hai dayā karī mohiñ aay
koTi janam kā panth thā pal meñ pahuñchā jaai
sat-guru din-dayal hai daya kari mohin aay
koTi janam ka panth tha pal mein pahuncha jai
prem biktā maiñ sunā māthā saaTe haaT
būjhat bilañb na kījiye tat chhin dījai kaaT
prem bikta main suna matha saTe haT
bujhat bilanb na kijiye tat chhin dijai kaT
merā man to tujh se terā man kahuñ aur
kah kabīr kaise banai ek chitt dui Thaur
mera man to tujh se tera man kahun aur
kah kabir kaise banai ek chitt dui Thaur
naañv na jānai gaañv kā bin jaane kit jaañv
chalte chalte jug bhyā paav kos par gaañv
nanw na jaanai ganw ka bin jaane kit jaanw
chalte chalte jug bhya paw kos par ganw
aaTh pahar chauñsaTh ghaḌī mere aur na koy
nainā māñhīñ tū basai niiñd ko Thaur na hoai
aaTh pahar chaunsaTh ghaDi mere aur na koy
naina manhin tu basai nind ko Thaur na hoai
anrāte sukh sovnā raate niiñd na aay
jayo jal TuuTe māchhrī talfat rain bihāy
anraate sukh sowna raate nind na aay
jayo jal TuTe machhri talfat rain bihay
chalan chalan sab koi kahai mohiñ añdesā aur
sāhib se parichay nahīñ pahuñcheñge kehi Thaur
chalan chalan sab koi kahai mohin andesa aur
sahib se parichay nahin pahunchenge kehi Thaur
jiyrā yoñ lai goygā birah tapāy tapāy
añkhiyāñ prem basāiyā jani jaane dukhdāy
jiyra yon lai goyga birah tapay tapay
ankhiyan prem basaiya jani jaane dukhday
'kabīr' mārag kaThin hai sab muni baiThe thāki
tahāñ 'kabīrā' chaḌhi gayā gahi sat-gurū kī sākhi
'kabir' marag kaThin hai sab muni baiThe thaki
tahan 'kabira' chaDhi gaya gahi sat-guru ki sakhi
jab lagi marne se jarai tab lagi prem nāhiñ
baḌī duur hai prem ghar smujhi lehu man māhiñ
jab lagi marne se jarai tab lagi prem nahin
baDi dur hai prem ghar smujhi lehu man mahin
bahut dinan kī jovtī raTat tumhāro naam
jiv tarsai tuv milan ko man nāhīñ visrām
bahut dinan ki jowti raTat tumhaaro nam
jiw tarsai tuw milan ko man nahin wisram
'kabīr' jantar na baaj.ī TuuTi gayā sab taar
jantar bichāra kyā krai chalā bajāvanhār
'kabir' jantar na baji TuTi gaya sab tar
jantar bichaara kya krai chala bajawanhaar
daat dhanī yāchai nahīñ save krai din raat
kahae 'kabīr' tā sevakhiñ kaal krai nahi ghaat
dat dhani yachai nahin sawe krai din raat
kahae 'kabir' ta sewakhin kal krai nahi ghat
sabai rasāyan maiñ kiyā prem samān na koy
rati ik tan meñ sancharai sab tan kanchan hoai
sabai rasayan main kiya prem saman na koy
rati ek tan mein sancharai sab tan kanchan hoai
birhā mo se yoñ kahae gāḌhā pakḌo mohiñ
charan kamal kī mauj meñ lae pahuñchā.aun tohiñ
birha mo se yon kahae gaDha pakDo mohin
charan kamal ki mauj mein lae pahunchaaun tohin
'kabīr' pyāla prem kā antar liyā lagāy
rome rome meñ rami rahā aur amal bayā khaay
'kabir' pyala prem ka antar liya lagay
rome rome mein rami raha aur amal baya khay
jā ko rahnā utt ghar so kyoñ loḌai itt
jaise par ghar pāhunā rahai uThā۔ye chitt
ja ko rahna utt ghar so kyon loDai itt
jaise par ghar pahuna rahai uTha۔ye chitt
maañs gayā pinjar rahā tākan laage kaag
sāhib ajhuñ na aaiyā mañd hamāre bhaag
mans gaya pinjar raha takan lage kag
sahib ajhun na aaiya mand hamare bhag
so din kaisā goygā gurū gaheñge bāñhi
apnā kari baiThāvahīñ charan kañval kī chhāñhi
so din kaisa goyga guru gahenge banhi
apna kari baiThawahin charan kanwal ki chhanhi
sādhū siip samudr ke satgurū savāñtī band
trishā ga.ī ik buuñd se kyā le karauñ samund
sadhu sip samudr ke satguru sawanti band
trisha gai ek bund se kya le karaun samund
sādhun ke satsañg teñ tharhar kāñpai deñh
kabhuñ bhaav kubhāv teñ mat miT jaai saneh
sadhun ke satsang ten tharhar kanpai denh
kabhun bhaw kubhaw ten mat miT jai saneh
jo aavai to jaai nahi jaai to aavai nāhiñ
akath kahānī prem kī smujhi lehu man māhiñ
jo aawai to jai nahi jai to aawai nahin
akath kahani prem ki smujhi lehu man mahin