ye haal ho gayaa hai miraa hijr-e-yaar me.n

taar-e-nafas rahaa hai faqat jism-e-zaar me.n
sabr-o-qaraar le ke vo phir aa.e Dhuu.nDte
ab kyaa dharaa hu.aa hai dil-e-be-qaraar me.n
'nashtar' nahii.n hai go dil-e-viiraa.n kii un ko qadr
saaraa jahaa.n hai usii uj.De dayaar me.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.