zaa.iro pesh karo jab shah-e-ziishaa.n ko salaam

Hameed Siddiqui Lakhnavi
MORE BYHameed Siddiqui Lakhnavi
zaa.iro pesh karo jab shah-e-ziishaa.n ko salaam
ham Gariibo.n kaa bhii sultaan-e-Gariibaa.n ko salaam
yaad rakhnaa haram-e-paak ke jaane vaalo
is gunahgaar kaa bhii rahmat-e-yazdaa.n ko salaam
kHvaab-gaah-e-shah-e-kaunain ye har lahza daruud
sahar-o-shaam mere haasil-e-iimaa.n ko salaam
jis se hotii hai.n merii hijr kii raate.n raushan
haram-e-quds kii us sham'-e-shabistaa.n ko salaam
gumbad-e-kHazraa kaa har roz jo kartii hai.n tavaaf
un shu’aa.o.n ko aur us mehr-e-daraKHshaa.n ko salaam
dar-e-aqdas pe jo masruuf-e-guhar-baarii ho
nigah-e-shauq kaa us diida-e-giryaa.n ko salaam
nigah-e-sarvar-e-kaunain pa.Dii hai jis par
us rah-e-manzil-o-kohsaar-o-bayaabaa.n ko salaam
mahv-e-aaraam hai.n jis KHaak pe as.haab-e-uhad
ek mahjuur kaa us ganj-e-shahiidaa.n ko salaam
jis me.n hai KHuld dar-e-aaGosh-e-qabaa kii masjid
us KHayaabaa.n ko salaam us chamanistaa.n ko salaam
in kii rahmat se muyassar ho.n vo din kaash 'hamiid'
KHud kare.n ’arz shahanshaah-e-rasuulaa.n ko salaam

- Book : Guldasta-e-Naat (Pg. 75)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.