salaam likhtaa huu.n shaah-e-dii.n kaa shariik-e-Gam jin kaa do-jahaa.n hai

Shah Mahmood-ul-Hassan
MORE BYShah Mahmood-ul-Hassan
Interesting Fact
سلام در شان شہیدِ کربلا حضرت امام حسین (کربلا-ایران)
salaam likhtaa huu.n shaah-e-dii.n kaa shariik-e-Gam jin kaa do-jahaa.n hai
zamii.n maatam-kada banii hai alam se dil chaak-e-aasmaa.n hai
Gariib-e-tishna-dahan musaafir ko aab-e-KHanjar pilaa ke maaraa
Gazab hai be-dard zaalimo.n ne na samjhaa itnaa ki mehmaa.n hai
shahiid-e-ibn-e-’alii ke hote hu.ii hai be-nuur kitnii duniyaa
chhupaa hai badlii me.n chaa.nd jab se nazar me.n vo chaa.ndnii kahaa.n hai
hue hai.n sajjaad Gam se laaGar rago.n me.n iimaan kii hai taaqat
qadam hai laGzish me.n chashm-purnam jo dil ko dekho to naujavaa.n hai
jigar me.n laala ke daaG dekhaa phaTe hue pairaahan gulo.n ke
husain ibn-e-'alii ke Gam me.n ye saaraa Gamgiin gulistaa.n hai
pahnaayaa gardan me.n tauq bhaarii janaab-e-’aabid kii zaalimo.n ne
kisii ke mu.nh se na itnaa niklaa bahut ye biimaar-e-naa-tavaa.n hai
hai martaba mash.had-e-muqaddas kaa kitnaa uu.nchaa na puuchho 'mahmuud'
jahaa.n qadam pa.D ga.e hai.n un ke vahaa.n kaa har zarra aasmaa.n hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.