zeb hai tujh ko mire chaa.nd se pur-zar sehraa

Afzal Hussain Asdaqui
MORE BYAfzal Hussain Asdaqui
zeb hai tujh ko mire chaa.nd se pur-zar sehraa
aaj chamkaa hai tiraa auj pe aKHtar sehraa
chashm-e-bad-duur 'ajab ra.ng 'ajab hai saamaa.n
kHuub hai salle-'alaa sar pe munavvar sehraa
dosto tum ko mubaarak ho hamaaraa nausha
aaj baa.ndhaa hai pyaare ne jo sar par sehraa
baap maa.n ko ho mubaarak ye suhaanaa dilbar
phuul shaadii kaa khilaataa hai ye dil par sehraa
ho KHusr ko bhii mubaarak ki bar aayaa maqsuud
naqd-e-jaa.n hai tire uupar se nichhaavar sehraa
laa.o mahtaab jalaa kar ke ye nausha dekho
KHuub saa dekh lo tum aaj nazar bhar sehraa
KHuub sehraa ye 'faqiir' aaj banaayaa tuu ne
shaad kar de dil-e-'ushshaaq ko pa.Dh kar sehraa

- Book : Diwan-e-Afzal (Pg. 11)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.