mubaarak ho ki shaadii kaa hasii.n paiGaam hai sehraa

Anwar Farrukhabadi
MORE BYAnwar Farrukhabadi
mubaarak ho ki shaadii kaa hasii.n paiGaam hai sehraa
milaa de do dilo.n ko jo usii kaa naam hai sehraa
vo rishta jis kaa har aaGaaz hotaa hai mohabbat se
usii aaGaaz kaa ik KHushnumaa anjaam hai sehraa
dulhan ke vaaste hai ye agar shaadii kaa nazraana
to duulhaa ke liye taqdiir kaa in'aam hai sehraa
chhalaktii hai sharaab-e-husn phuulo.n ke kaToro.n se
gumaa.n hotaa hai armaan-e-dil-e-KHayyaam hai sehraa
jo baabaa ke liye hai shaadii-e-farzand kaa haasil
to maa.n ke vaaste allaah kaa in'aam hai sehraa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.