bolii taqdiir ba.ndhaa dekh ke sar par sehraa

kaamyaabii kaa hamesha ho tire sar sehraa
dil-e-ahbaab ko detaa thaa KHushii kaa paiGaam
sar ba-dbii ke liye ban gayaa KHanjar sehraa
nashsha-e-baada-e-'ishrat se bas aahii to gayaa
jhuum ke gosha-e-daaman ke baraabar sehraa
kabhii naushaah kii qismat kii qasam khaataa hai
dekhtaa hai kabhii KHud apnaa muqaddar sehraa
farq se taa-ba-qadam dekhiye sehre kii bahaar
nuur se kaahkashaa.n rah gayaa bun kar sehraa
har kalii josh-e-masarrat se khilii jaatii hai
phuul jaame me.n samaate nahii.n bun kar sehraa
shaad-o-aabaad rahe.n taariq-o-salmaa yaa-rab
lab-e-KHaamosh se kahtaa hai ye ba.ndh kar sehraa

- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 305)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.