rañg-e-gul phīkā hai jis ke sāmne
itnā rañgīñ yaar kā ruḳhsār hai
rang-e-gul phika hai jis ke samne
itna rangin yar ka ruKHsar hai
bāġh-e-jahāñ ke gul haiñ yā ḳhaar haiñ to ham haiñ
gar yaar haiñ to ham haiñ aġhyār haiñ to ham haiñ
bāġh-e-jahāñ ke gul haiñ yā ḳhaar haiñ to hum haiñ
gar yar haiñ to hum haiñ aġhyār haiñ to hum haiñ
sūrat-e-gul meñ khilkhilā ke hañsā
shakl-e-bulbul meñ chahchahā dekhā
surat-e-gul mein khilkhila ke hansa
shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha
bulbul ko mubārak ho havā-e-gul-o-gulshan
parvāne ko soz-e-dil-e-parvāna mubārak
bulbul ko mubarak ho hawa-e-gul-o-gulshan
parwane ko soz-e-dil-e-parwana mubarak
maiñ vo gul huuñ na fursat dī ḳhizāñ ne jis ko hañsne kī
charāġh-e-qabr bhī jal kar na apnā gul-fishāñ hogā
main wo gul hun na fursat di KHizan ne jis ko hansne ki
charagh-e-qabr bhi jal kar na apna gul-fishan hoga
jaan dī bulbuloñ ne jab gul per
tab vo gulzār meñ nazar aa.yā
jaan di bulbulon ne jab gul per
tab wo gulzar mein nazar aaya
jaan jaatī hai chalī dekh ke ye mausam-e-gul
hijar-o-furqat kā mirī jaan ye gulfām nahīñ
jaan jati hai chali dekh ke ye mausam-e-gul
hijar-o-furqat ka meri jaan ye gulfam nahin
gul kā kiyā jo chaak garebāñ bahār ne
dast-e-junūñ lage mire kapḌe utārne
gul ka kiya jo chaak gareban bahaar ne
dast-e-junun lage mere kapDe utarne
saare aalam meñ terī ḳhushbū hai
ai mere rashk-e-gul kahāñ tū hai
sare aalam mein teri KHushbu hai
ai mere rashk-e-gul kahan tu hai
sambhal jaao chaman vaalo ḳhatar hai ham na kahte the
jamāl-e-gul ke parde meñ sharar hai ham na kahte the
sambhal jao chaman walo KHatar hai hum na kahte the
jamal-e-gul ke parde mein sharar hai hum na kahte the
kuchh aisā dard shor-e-qalb-e-bulbul se nikal aayā
ki vo ḳhud rañg ban kar chehra-e-gul se nikal aayā
kuchh aisa dard shor-e-qalb-e-bulbul se nikal aaya
ki wo KHud rang ban kar chehra-e-gul se nikal aaya
shaidā-e-rū-e-gul na hai shaidā-e-qad-e-sarv
sayyād ke shikār haiñ is bostāñ meñ ham
shaida-e-ru-e-gul na hai shaida-e-qad-e-sarw
sayyaad ke shikar hain is bostan mein hum
gul-rūyoñ ke ḳhayāl ne gulshan banā diyā
siina kabhī madīna kabhī karbalā huā
gul-ruyon ke KHayal ne gulshan bana diya
sina kabhi madina kabhi karbala hua
vo fasl-e-gul meñ dil ko jalā kar chale gaye
is martaba to aag lagā dī bahār ne
wo fasl-e-gul mein dil ko jala kar chale gaye
is martaba to aag laga di bahaar ne
'āsī'-e-giryāñ milā mahbūb se
gul se shabnam jis tarah ro kar mile
'asi'-e-giryan mila mahbub se
gul se shabnam jis tarah ro kar mile
fasl-e-gul aa.ī yā ajl aa.ī kyuuñ dar-e-zindāñ khultā hai
yā koī vahshī aur aa pahuñchā yā koī qaidī chuuT gayā
fasl-e-gul aai ya ajl aai kyun dar-e-zindan khulta hai
ya koi wahshi aur aa pahuncha ya koi qaidi chuT gaya
kiyā sair sab ham ne gulzār-e-duniyā
gul-e-dostī meñ ajab rañg-o-bū hai
kiyā sair sab hum ne gulzār-e-duniyā
gul-e-dostī meñ ajab rañg-o-bū hai
ne gul ko hai sabāt na ham ko hai e'tibār
kis baat par chaman havas-e-rañg-o-bū kareñ
ne gul ko hai sabāt na hum ko hai e'tibār
kis baat par chaman hawas-e-rañg-o-bū kareñ
muntazir hai aapke jalve kī nargis baaġh meñ
gul garebāñ-chāk shabnam ik tarf nam-dīd hia
muntazir hai aapke jalwe ki nargis bagh mein
gul gareban-chaak shabnam ek tarf nam-did hia
hameñ to baaġh tujh bin ḳhāna-e-mātam nazar aayā
idhar gul phāḌte the jaib rotī thī udhar shabnam
hameñ to baġh tujh bin ḳhāna-e-mātam nazar aayā
idhar gul phāḌte the jaib rotī thī udhar shabnam
koī tabsira bhī kare to kyā tire pur-ḳhulūs shi.ār par
jo nasīb-e-gul hai tirā karam to nigāh-e-lutf hai ḳhaar par
koi tabsira bhi kare to kya tere pur-KHulus shiar par
jo nasib-e-gul hai tera karam to nigah-e-lutf hai KHar par
har gul hai chāk-dāman har ġhuncha dil-e-girafta
ai bāġhbān-e-qudrat fasl-e-bahār kyā hai
har gul hai chaak-daman har ghuncha dil-e-girafta
ai baghban-e-qudrat fasl-e-bahaar kya hai
koī us kā ho garebāñ-gīr ye kahtā nahīñ
bāġhbāñ dāmān-e-gul ko gul pe kyuuñ khīñche haiñ aap
koi us ka ho gareban-gir ye kahta nahin
baghban daman-e-gul ko gul pe kyun khinche hain aap
shāḳh-e-gul hiltī nahīñ ye bulbuloñ ko baaġh meñ
haath apne ke ishāre se bulātī hai bahār
shāḳh-e-gul hiltī nahīñ ye bulbuloñ ko baġh meñ
hath apne ke ishāre se bulātī hai bahār
kisī kā saath sonā yaad aatā hai to rotā huuñ
mire ashkoñ kī shiddat se sadā gul-takiya galtā hai
kisī kā sath sonā yaad aatā hai to rotā huñ
mere ashkoñ kī shiddat se sadā gul-takiya galtā hai
mire gul ko lā ye apne phuul le jā andalīb
aise kāñToñ se nahīñ fāñseñ nikalvānī mujhe
mere gul ko la ye apne phul le ja andalib
aise kanTon se nahin fansen nikalwani mujhe
samajh kar saañp us ko vo gale se mere aa lipTā
jo shab bistar pe dekhā gul-badan ne haar kā saayā
samajh kar sanp us ko wo gale se mere aa lipTa
jo shab bistar pe dekha gul-badan ne haar ka saya
dekhte the taḳhta-e-gul-hā-e-ātish kī bahār
jis tarah yaaro ḳhalīlullāh payambar aag meñ
dekhte the taKHta-e-gul-ha-e-atish ki bahaar
jis tarah yaro KHalilullah payambar aag mein
sabā kī tarah rahā meñ bhī kū-ba-kū phirtā
hamāre dil se bhī us gul kī justujū na ga.ī
saba ki tarah raha mein bhi ku-ba-ku phirta
hamare dil se bhi us gul ki justuju na gai
tirā vojūd hai jān-e-bahār-e-gulshan-e-chisht
tujhī se nikhat-e-har gul hai yā ġharībnavāz
tera wojud hai jaan-e-bahaar-e-gulshan-e-chisht
tujhi se nikhat-e-har gul hai ya gharibnawaz
kyuuñ na rashk aa.e gul-e-surḳh pe shabnam ko dekh
ki merā ashk terī kaan kā gauhar na huā
kyun na rashk aae gul-e-surKH pe shabnam ko dekh
ki mera ashk teri kan ka gauhar na hua
is gul-e-ra.anā ne hañs kar baat kī
ġhuncha-e-ḳhātir hamārā khil gayā
is gul-e-rana ne hans kar baat ki
ghuncha-e-KHatir hamara khil gaya
kahāñ dāman-e-husn āshiq se aTkā
gul-e-dāġh-e-ulfat meñ kāñTā nahīñ hai
kahan daman-e-husn aashiq se aTka
gul-e-dagh-e-ulfat mein kanTa nahin hai
shīshe meñ hasīñ bāda-e-gul-fām hasīñ hai
mai-ḳhāna-e-islām kā har jaam hasīñ hai
shishe mein hasin baada-e-gul-fam hasin hai
mai-KHana-e-islam ka har jam hasin hai
is chaman kī sair meñ ai gul-ezār
'ishq' kī āñkhoñ meñ tūfāñ yā-nasīb
is chaman ki sair mein ai gul-ezar
'ishq' ki aankhon mein tufan ya-nasib
joñ gul tū hañse hai khil-khilā kar
shabnam kī tarah mujhe rulā kar
jon gul tu hanse hai khil-khila kar
shabnam ki tarah mujhe rula kar
un ko gul kā muqaddar milā
mujh ko shabnam kī qismat milī
un ko gul ka muqaddar mila
mujh ko shabnam ki qismat mili
duur ho gar shāmma se tere ġhaflat kā zukām
tū usī kī bū ko paave har gul-o-sausan ke biich
dur ho gar shamma se tere ghaflat ka zukaam
tu usi ki bu ko pawe har gul-o-sausan ke bich
aane do us gul-badan ko mujh meñ puure husn se
andalīb-e-dil huuñ aalam mujh par nālāñ to sahī
aane do us gul-badan ko mujh mein pure husn se
andalib-e-dil hun aalam mujh par nalan to sahi
bazm-e-gul meñ vo gul-e-'izār nahīñ
fasl-e-gul hai magar bahār nahīñ
bazm-e-gul mein wo gul-e-'izar nahin
fasl-e-gul hai magar bahaar nahin
ubhāre se ubhre na gul tere aage
chahakne ko chahke anā dil hazāroñ
ubhaare se ubhre na gul tere aage
chahakne ko chahke ana dil hazaron
ai gul-badan merā tuuñ chaman se na jā na jā
ruuhī fidāka ya.anī vatan se na jā na jā
ai gul-badan mera tun chaman se na ja na ja
ruhi fidaka yani watan se na ja na ja
āh-e-sozāñ o ashk-e-gul-gūñ se
kār-e-barq-o-sahāb kartā huuñ
aah-e-sozan o ashk-e-gul-gun se
kar-e-barq-o-sahab karta hun
saaf yā durd-e-bāda-e-gul-gūñ
sāqī-e-lāla-fām kuchh bhī hai
saf yā durd-e-bāda-e-gul-gūñ
sāqī-e-lāla-fām kuchh bhī hai
tū vo gul-e-ra.anā hai jo aa jaa.e chaman meñ
jhūmā kareñ ik vajd ke aalam meñ shajar bhī
tu wo gul-e-rana hai jo aa jae chaman mein
jhuma karen ek wajd ke aalam mein shajar bhi
bane pañkhuḌī naqsh-e-pā kab lahad par
tujhe ai sabā gul katarnā na aayā
bane pankhuDi naqsh-e-pa kab lahad par
tujhe ai saba gul katarna na aaya
ġhair ke ghar meñ bhī 'rāqim' aaj tum hote chalo
ek chhachhūñdar chhoḌ kar kuchh gul khilāte jā.iye
ghair ke ghar mein bhi 'raqim' aaj tum hote chalo
ek chhachhundar chhoD kar kuchh gul khilate jaiye
lūTegā sab bahār tirī shahna-e-ḳhizāñ
bulbul par kar le tū zar-e-gul ko nisār shāḳh
luTega sab bahaar teri shahna-e-KHizan
bulbul par kar le tu zar-e-gul ko nisar shaKH
dekh ai chaman-e-husn tujhe baaġh meñ ḳhandāñ
shabnam nahīñ ye gul pe ḳhajālat se araq hai
dekh ai chaman-e-husn tujhe bagh mein KHandan
shabnam nahin ye gul pe KHajalat se araq hai
kam nahīñ gulshan meñ shabnam gul-badan gul-pairahan
ġhusl kar mal-mal ke gar āb-e-ravāñ miltā nahīñ
kam nahin gulshan mein shabnam gul-badan gul-pairahan
ghusl kar mal-mal ke gar aab-e-rawan milta nahin