nīstī hastī hai yaaro aur hastī kuchh nahīñ
be-ḳhudī mastī hai yaaro aur mastī kuchh nahīñ
nisti hasti hai yaro aur hasti kuchh nahin
be-KHudi masti hai yaro aur masti kuchh nahin
jab talak merī ḳhudī baaqī rahī sab kuchh thā
rah gayā phir to faqat nām-e-ḳhudā mere bad
jab talak meri KHudi baqi rahi sab kuchh tha
rah gaya phir to faqat nam-e-KHuda mere bad
vo urūj-e-māh vo chāñdnī vo ḳhamosh raat vo be-ḳhudī
vo tasavvurāt kī sarḳhushī tire saath rāz-o-niyāz meñ
wo uruj-e-mah wo chandni wo KHamosh raat wo be-KHudi
wo tasawwuraat ki sarKHushi tere sath raaz-o-niyaz mein
kabhī dair-o-ka.aba batā diyā kabhī lā-makāñ kā patā diyā
jo ḳhudī ko ham ne miTā diyā to vo apne-āp meñ pā ga.e
kabhi dair-o-kaba bata diya kabhi la-makan ka pata diya
jo KHudi ko hum ne miTa diya to wo apne-ap mein pa gae
zindagī ko bech Daalā be-ḳhudī ke jaam per
ek hī sāġhar se dil kī tishnagī jaatī rahī
zindagi ko bech Dala be-KHudi ke jam per
ek hi saghar se dil ki tishnagi jati rahi
maslahat ye hai ḳhudī kī ġhaflateñ taarī rahaiñ
jab ḳhudī miT jā.egī banda ḳhudā ho jā.egā
maslahat ye hai KHudi ki ghaflaten tari rahain
jab KHudi miT jaegi banda KHuda ho jaega
be-ḳhudī meñ bhī tirā naam liye jaate haiñ
rog ye kaisā lagā hai tire mastāne ko
be-ḳhudī meñ bhī tirā nam liye jate haiñ
rog ye kaisā lagā hai tere mastāne ko
jab ḳhudī ahadiyat ne duur kiyā
nūr-e-vahdat ne tab zuhūr kiyā
jab KHudi ahadiyat ne dur kiya
nur-e-wahdat ne tab zuhur kiya
nashīlī nigāhoñ ke maare huoñ ko bas ik be-ḳhudī meñ guzāre huon ko
terī mast-āñkhoñ ke qurbān saaqī unheñ sāġharoñ se pilānā paḌegā
nashili nigahon ke mare huon ko bas ek be-KHudi mein guzare huon ko
teri mast-ankhon ke qurban saqi unhen sagharon se pilana paDega
junūñ zāhir huā ruḳh par ḳhudī par be-ḳhudī chhā.ī
ba-qaid-e-hosh maiñ jab bhī qarīb-e-āstāñ pahuñchā
junūñ zāhir huā ruḳh par ḳhudī par be-ḳhudī chhāī
ba-qaid-e-hosh maiñ jab bhī qarīb-e-āstāñ pahuñchā
ḳhirad hai majbūr aql hairāñ pata kahīñ hosh kā nahīñ hai
abhī se aalam hai be-ḳhudī kā abhī to parda uThā nahīñ ha
KHirad hai majbur aql hairan pata kahin hosh ka nahin hai
abhi se aalam hai be-KHudi ka abhi to parda uTha nahin ha
guzar jā manzil-e-ehsās kī had se bhī ai 'afqar'
kamāl-e-be-ḳhudī hai be-niyāz-e-hosh ho jaanā
guzar ja manzil-e-ehsas ki had se bhi ai 'afqar'
kamal-e-be-KHudi hai be-niyaz-e-hosh ho jaana
kisī kī mast-nigāhī ne haath thaam liyā
sharīk-e-hāl jahāñ merī be-ḳhudī na huī
kisi ki mast-nigahi ne hath tham liya
sharik-e-haal jahan meri be-KHudi na hui
tere nain-e-pur-ḳhumār kuuñ sarmast-e-bāda-nāz
yā be-ḳhudī kā jaam yā sahar-e-balā kahūñ
tere nain-e-pur-KHumar kun sarmast-e-baada-naz
ya be-KHudi ka jam ya sahar-e-bala kahun
ḳhudī ḳhud-e'timādī meñ badn jaa.e to bañdo ko
ḳhudā se sarkashī karne kī naubat aa hī jaatī hai
KHudi KHud-e'timadi mein badn jae to bando ko
KHuda se sarkashi karne ki naubat aa hi jati hai
tū ne apnā jalva dikhāne ko jo naqāb muñh se uThā diyā
vahīñ hairat-e-be-ḳhudī ne mujhe ā.īna sā dikhā diyā
tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya
wahin hairat-e-be-KHudi ne mujhe aaina sa dikha diya
nahīñ banda haqīqat meñ samajh asrār ma.anī kā
ḳhudī kā vahm barham zan pichhe be-ḳhud ḳhudā.ī kar
nahin banda haqiqat mein samajh asrar mani ka
KHudi ka wahm barham zan pichhe be-KHud KHudai kar
aanā hai jo bazm-e-jānāñ meñ pindār-e-ḳhudī ko toḌ ke aa
ai hosh-o-ḳhirad ke dīvāne yaañ hosh-o-ḳhirad kā kaam nahīñ
aana hai jo bazm-e-jaanan mein pindar-e-KHudi ko toD ke aa
ai hosh-o-KHirad ke diwane yan hosh-o-KHirad ka kaam nahin
'zafar' us se chhūT ke jo jast kī to ye jaanā ham ne ki vāqa.ī
faqat ek qaid ḳhudī kī thī na qafas thā koī na jaal thā
'zafar' us se chhuT ke jo jast ki to ye jaana hum ne ki waqai
faqat ek qaid KHudi ki thi na qafas tha koi na jal tha
joī avval soī āḳhir joī zāhir soī bātin
ḳhudī ke tark meñ jaldī se maḳhfī sab ayaañ hogā
joi awwal soi aaKHir joi zahir soi baatin
KHudi ke tark mein jaldi se maKHfi sab ayan hoga
ki ḳhirad kī fitnagarī vahī luTe hosh chhā ga.ī be-ḳhudī
vo nigāh-e-mast jahāñ uThī mirā jām-e-zindagī bhar gayā
ki KHirad ki fitnagari wahi luTe hosh chha gai be-KHudi
wo nigah-e-mast jahan uThi mera jam-e-zindagi bhar gaya
us ke hote ḳhudī se paak huuñ maiñ
ḳhuub hai be-ḳhudī nahīñ jaatī
us ke hote KHudi se pak hun main
KHub hai be-KHudi nahin jati
umūman ḳhāna-e-dil meñ mohabbat aa hī jaatī hai
ḳhudī ḳhud-e'timādī meñ badal jaa.e to bandoñ ko
umuman KHana-e-dil mein mohabbat aa hi jati hai
KHudi KHud-e'timadi mein badal jae to bandon ko
be-ḳhudī kī yahī takmīl hai shāyad ai dost
tū jo aatā hai to maiñ hosh meñ aa jaatā huuñ
be-KHudi ki yahi takmil hai shayad ai dost
tu jo aata hai to main hosh mein aa jata hun
vafūr-e-be-ḳhudī-e-bazm-e-mai na pūchho raat
koī ba-juz nigah-e-yār hoshiyār na thā
wafūr-e-be-ḳhudī-e-bazm-e-mai na puchho raat
koi ba-juz nigah-e-yar hoshiyar na tha
'bedam'-e-ḳhasta hai kahāñ asl meñ koī aur hai
zamzama-sanj be-ḳhudī naġhma-tarāz sāz-e-ishq
'bedam'-e-KHasta hai kahan asl mein koi aur hai
zamzama-sanj be-KHudi naghma-taraaz saz-e-ishq
tū ai mohabbat gavāh rahnā ki tere 'muztar' ko vaqt-e-āḳhir
ḳhayāl-e-tark-e-ḳhudī rahā hai to dil meñ yād-e-ḳhudā rahī hai
tu ai mohabbat gawah rahna ki tere 'muztar' ko waqt-e-aKHir
KHayal-e-tark-e-KHudi raha hai to dil mein yaad-e-KHuda rahi hai
ham to apnī be-ḳhudī-e-shauq meñ sarshār the
aap se kis ne kahā thā ḳhud-numā ho jā.iye
hum to apnī be-KHudi-e-shauq mein sarshaar the
aap se kis ne kaha tha KHud-numa ho jaiye
ab na apnā hosh hai mujhko n kuchh us kā ḳhayāl
be-ḳhudī taarī hai jab se ho ga.ī raftār aur
ab na apna hosh hai mujhko n kuchh us ka KHayal
be-KHudi tari hai jab se ho gai raftar aur
na chheḌ ai ham-nashīñ kaifiyat-e-sahbā ke afsāne
sharāb-e-be-ḳhudī ke mujh ko sāġhar yaad aate haiñ
na chheD ai ham-nashin kaifiyat-e-sahba ke afsane
sharab-e-be-KHudi ke mujh ko saghar yaad aate hain
kyā kahūñ kyā lā-makāñ meñ umr 'muztar' kaaT dī
be-ḳhudī ne jis jagah rakhā vahāñ rahnā paḌā
kya kahun kya la-makan mein umr 'muztar' kaT di
be-KHudi ne jis jagah rakha wahan rahna paDa
vasl ain duurī hai be-ḳhudī zarūrī hai
kuchh bhī kah nahīñ saktā mājrā judā.ī kā
wasl ain duri hai be-KHudi zaruri hai
kuchh bhi kah nahin sakta majra judai ka
jahān-e-be-ḳhudī meñ mastī-e-vahdat jo le jaaye
farishte leñ qadam mere vo huuñ maiñ riñd-e-mastāna
jahan-e-be-KHudi mein masti-e-wahdat jo le jaye
farishte len qadam mere wo hun main rind-e-mastana
qadam qadam pe rahī ek yaad dāman-gīr
tumhārī bazm meñ ye mujh ko be-ḳhudī na huī
qadam qadam pe rahi ek yaad daman-gir
tumhaari bazm mein ye mujh ko be-KHudi na hui
sar jab se jhukāyā hai dar-e-yār pe maiñ ne
mehrāb-e-ḳhudī jalva-gah-e-sham-e-haram hai
sar jab se jhukāyā hai dar-e-yār pe maiñ ne
mehrāb-e-ḳhudī jalwa-gah-e-sham-e-haram hai
dekh ke be-ḳhudī mirī aaj vo muskurā diyā
ishq-e-junūñ-mizāj ne husn ko gudgudā diyā
dekh ke be-KHudi meri aaj wo muskura diya
ishq-e-junun-mizaj ne husn ko gudguda diya
ye narm-o-nātavāñ maujeñ ḳhudī kā raaz kyā jāneñ
qadam lete haiñ tūfāñ azmat-e-sāhil samajhte haiñ
ye narm-o-natawan maujen KHudi ka raaz kya jaanen
qadam lete hain tufan azmat-e-sahil samajhte hain
mai-ḳhāna meñ ḳhudī ko nahīñ daḳhl shaiḳh-jī
be-ḳhudī huā hai jin ne piyā hai vo jām-e-ḳhās
mai-KHana mein KHudi ko nahin daKHl shaiKH-ji
be-KHudi hua hai jin ne piya hai wo jam-e-KHas
'sīmāb' koī martaba mansūr kā na thā
lafz-e-ḳhudī kī sharh na mash.hūr kar diyā
'sīmāb' koī martaba mansūr kā na thā
lafz-e-ḳhudī kī sharh na mashhūr kar diyā
kah diyā fir.aun ne bhī maiñ ḳhudā kar ke ḳhudī
ho ke be-ḳhud jab kahe inkār kī hājat nahīñ
kah diya firaun ne bhi main KHuda kar ke KHudi
ho ke be-KHud jab kahe inkar ki hajat nahin
'Mardāñ' jo koī Duube dariyā-e-ishq meñ vo
chhūTe ḳhudī se apne hubb-e-vatan se nikle
'Mardan' jo koi Dube dariya-e-ishq mein wo
chhuTe KHudi se apne hubb-e-watan se nikle
nigāh-e-yār mirī samt phir uThī hogī
sambhal sakūñgā na maiñ aisī ye be-ḳhudī hogī
nigāh-e-yār mirī samt phir uThī hogī
sambhal sakūñgā na maiñ aisī ye be-ḳhudī hogī
shah-e-be-ḳhudī ne atā kiyā mujhe ab libās-e-barhangī
na ḳhird kī baḳhiyā-garī rahī na junūñ kī parda-darī rahī
shah-e-be-KHudi ne ata kiya mujhe ab libas-e-barhangi
na KHird ki baKHiya-gari rahi na junun ki parda-dari rahi
na vo hosh hai na vo be-ḳhudī na ḳhirad rahī na junūñ rahā
ye tirī nazar kī haiñ shoḳhiyāñ ye kamāl hai tire naaz meñ
na wo hosh hai na wo be-KHudi na KHirad rahi na junun raha
ye teri nazar ki hain shoKHiyan ye kamal hai tere naz mein
doī jā ke rañg-e-safā rah gayā
ḳhudī miTte miTte ḳhudā rah gayā
doi ja ke rang-e-safa rah gaya
KHudi miTte miTte KHuda rah gaya
kahāñ 'shams' bañdā kahāñ tū ḳhudāyā
ḳhudā-o-ḳhudī ham bhulā.e hue haiñ
kahan 'shams' banda kahan tu KHudaya
KHuda-o-KHudi hum bhulae hue hain
kyuuñ ye ḳhudā ke DhūñDne vaale haiñ nā-murād
guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā
kyuñ ye ḳhudā ke DhūñDne wale haiñ nā-murād
guzrā maiñ jab hudūd-e-ḳhudī se ḳhudā milā
ye kis ne nigāhoñ se sāġhar pilā.e ḳhudī per merī be-ḳhudī banke chhā.e
ḳhabardār ai dil maqām-e-adab hai kahīñ bādā-noshī pe dhabbbā n aa.e
ye kis ne nigahon se saghar pilae KHudi per meri be-KHudi banke chhae
KHabardar ai dil maqam-e-adab hai kahin baada-noshi pe dhabbba n aae
mushkil hai tā ki hastī hai jāvai ḳhudī kā shirk
tār-e-nafas nahīñ hai ye zunnār saath hai
mushkil hai ta ki hasti hai jawai KHudi ka shirk
tar-e-nafas nahin hai ye zunnar sath hai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere