Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Ustad Shayari

jo tumhārī baat hai hai vo zamāna se judā

shoḳhiyāñ ījād karte ho baḌe ustād ho

jo tumhaari baat hai hai wo zamana se juda

shoKHiyan ijad karte ho baDe ustad ho

Akbar Warsi Meerthi
  • Share this
  • Critique

bhūlegā na ai 'akbar' ustād ye misra.a

saaqī diye sāġhar jab tak na ho be-hoshī

bhulega na ai 'akbar' ustad ka ye misra

saqi diye ja saghar jab tak na ho be-hoshi

Shah Akbar Danapuri
  • Share this
  • Critique

vahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh

haq ye hai baap se afzūñ rahe ustād haq

wahī insān hai 'ehsāñ' ki jise ilm hai kuchh

haq ye hai bap se afzūñ rahe ustād haq

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi
  • Share this
  • Critique

shā.erān-e-dahr ko ab hai pareshānī nasīb

karte haiñ ustād 'akmal' jam.a dīvāñ in dinoñ

shaeran-e-dahr ko ab hai pareshani nasib

karte hain ustad 'akmal' jama diwan in dinon

Ibrahim Aajiz
  • Share this
  • Critique

āñkhoñ āñkhoñ meñ khul jaate haiñ lākhoñ asrār

dars-e-ulfat ke liye hājat-e-ustād nahīñ

aankhon aankhon hi mein khul jate hain lakhon asrar

dars-e-ulfat ke liye hajat-e-ustad nahin

Wali Warsi
  • Share this
  • Critique

ahl-e-ālam kahte haiñ jas kau shahanshāh-e-suḳhan

maiñ bhī huuñ shāgird 'kausar' as jagat ustād

ahl-e-alam kahte hain jas kau shahanshah-e-suKHan

main bhi hun shagird 'kausar' as jagat ustad ka

Kausar Khairabadi
  • Share this
  • Critique

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Related Tags

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now