ALL
Ghazal35
sher14
Profile
Kalaam8
Doha51
Persian Kalam1
Naat-o-Manqabat10
Salam6
Krishn Bhakti Sufi Kalaam4
Krishn Bhakti Sant Kavya1
Dohe of Aughat Shah Warsi
sajnī paatī tab likhūñ jo pītam ho pardes
tan meñ man meñ piyā birājain bhejūñ kise sañdes
sajni pati tab likhun jo pitam ho pardes
tan mein man mein piya birajain bhejun kise sandes
dayā barābar dharm nahīñ parpañch barābar paap
prem barābar jog nahīñ guru-mantr barābar jaap
daya barabar dharm nahin parpanch barabar pap
prem barabar jog nahin guru-mantr barabar jap
jaap jog tap thīrth se nirgun huā na koī
'aughat' guru dayā kareñ to pal meñ nirgun hoī
jap jog tap thirth se nirgun hua na koi
'aughat' guru daya karen to pal mein nirgun hoi
dayā guru kī din duunī aur guru na chhoḌe haath
guru base sansār meñ aur guru hamāre saath
daya guru ki din duni aur guru na chhoDe hath
guru base sansar mein aur guru hamare sath
'aughaT' pūjā-pāT tajo lagā prem kā rog
satt-gurū kā dhyān rahe yahī hai apnā jog
'aughaT' puja-paT tajo laga prem ka rog
satt-guru ka dhyan rahe yahī hai apna jog
kaan khol 'aughat' suno piyā milan kī laag
tan tambūra saañs ke tāroñ baaje har kā raag
kan khol 'aughat' suno piya milan ki lag
tan tambura sans ke taron baje har ka rag
sā.īñ aisā magan karo rahe na soñch-bichār
dukh meñ sukh meñ klesh meñ gā.ūñ bhajan tihār
sain aisa magan karo rahe na sonch-bichaar
dukh mein sukh mein klesh mein gaun bhajan tihaar
har har meñ 'aughaT' har baseñ har har ko har kī aas
har ko har har DhūñD phirā aur har haiñ har ke paas
har har mein 'aughaT' har basen har har ko har ki aas
har ko har har DhunD phira aur har hain har ke pas
haath na aatā pīTte 'aughat' sadā lakīr
sadqe apne piir ke jis ne kiyā faqīr
hath na aata piTte 'aughat' sada lakir
sadqe apne pir ke jis ne kiya faqir
pītam tumre sañg hai apnā raaj suhāg
tum nahīñ to kuchh nahīñ tum mile to jaage bhaag
pitam tumre sang hai apna raj suhag
tum nahin to kuchh nahin tum mile to jage bhag
paatī likhnā bhuul hai sajnī chatur haiñ dīn-dayāl
aas gyānī dūsar nahīñ ki jāneñ man kā haal
pati likhna bhul hai sajni chatur hain din-dayal
aas gyani dusar nahin ki jaanen man ka haal
har kahīñ aur kahīñ nahīñ aur badle pal-pal bhes
aise piyā harjā.ī ko bhejūñ kahāñ sandes
har kahin aur kahin nahin aur badle pal-pal bhes
aise piya harjai ko bhejun kahan sandes
guru hamārā janm kā rāja-guru hamārā aadi
'aughat' guru-mantr ko jaapo guru kī rākho yaad
guru hamara janm ka raja-guru hamara aadi
'aughat' guru-mantr ko japo guru ki rakho yaad
raam milan kā lekhāsan le haath guru kā thaam
jag kī mamtā man se chhūTe mileñge 'aughaT' raam
ram milan ka lekhasan le hath guru ka tham
jag kī mamta man se chhuTe milenge 'aughaT' ram
roke kaam kāmnā indarī rākhe saadh
sundar ke tab darshan kare nahīñ to hai aprādh
roke kaam kaamna indari rakhe sadh
sundar ke tab darshan kare nahin to hai apradh
sādhū 'aughaT' sabad ko sādhe jogī kare sab jog
is Dagriyā mileñ gosā.īñ nadī naav sanjog
sadhu 'aughaT' sabad ko sadhe jogi kare sab jog
is Dagriya milen gosain nadi naw sanjog
jogī bhog vah kare jo bin māñge mil jaaye
'aughat' duniyā yuuñ taje ki man meñ lobh na aa.e
jogi bhog wah kare jo bin mange mil jaye
'aughat' duniya yun taje ki man mein lobh na aae
agam samandar paap kā bojhā naav phañsī mañjdhār
'aughaT' guru kā dhyān rahe kareñge beḌā paar
agam samandar pap ka bojha naw phansi manjdhaar
'aughaT' guru ka dhyan rahe karenge beDa par
sā.īñ kā ghar duur hai aur sā.īñ man ke tiir
sā.īñ se bayauhār kare 'aughaT' vahī faqīr
sain ka ghar dur hai aur sain man ke tir
sain se bayauhaar kare 'aughaT' wahi faqir
chelā nain jot guru gyānī bachan ye buujh
bin jot nain āñdhar augun bin gur paḌe na suujh
chela nain jot guru gyani bachan ye bujh
bin jot nain aandhar augun bin gur paDe na sujh
baañh gahī mujh pāpan kī tab ek bachan sun le.o
nis din biptā paḌe gosā.īñ apnā darshan de.o
banh gahi mujh papan ki tab ek bachan sun leo
nis din bipta paDe gosain apna darshan deo
'aughat' chelā vah gunī jo bin guru tajai na saañs
sote jagte dhyān rahe guru ko rākhe paas
'aughat' chela wah guni jo bin guru tajai na sans
sote jagte dhyan rahe guru ko rakhe pas
guru-gobind ko ek bichārau dubidhā dukh nikāl
guru ko 'aughaT' aur na-jāno guru-dhan dīn-dayāl
guru-gobind ko ek bichaarau dubidha dukh nikal
guru ko 'aughaT' aur na-jaano guru-dhan din-dayal
rain añdherī baaT na samjhī taak meñ haiñ har baar
'aughat' dharm ye rākhnā guru kareñ nistār
rain andheri baT na samjhi tak mein hain har bar
'aughat' dharm ye rakhna guru karen nistar
pītam saut sundar sahī par hameñ bhī tumre aas
bhūle-bhaTke aao gosā.īñ kabhī to hamre paas
pitam saut sundar sahi par hamein bhi tumre aas
bhule-bhaTke aao gosain kabhī to hamre pas
guru hamārā ek hai aur bachan hamārā ek
kareñge sevā ek kī guru jo rākhe Tek
guru hamara ek hai aur bachan hamara ek
karenge sewa ek ki guru jo rakhe Tek
nārāyan kā ant na paayā maalā jap kā kiin
raam milan kī budh sun 'aughat' pahle gur ko chīnh
narayan ka ant na paya mala jap ka kin
ram milan ki budh sun 'aughat' pahle gur ko chinh
mukti hove klesh kaTe chhuTe janm kā paap
satt-gurū ke naam kā 'aughat' hirdai maalā jaap
mukti howe klesh kaTe chhuTe janm ka pap
satt-guru ke nam ka 'aughat' hirdai mala jap
'aughat' ghaT meñ parān base aur parān beach ik chor
jo pakḌe us chor ko vo jogī bar jor
'aughat' ghaT mein paran base aur paran beach ek chor
jo pakDe us chor ko wo jogi bar jor
'aughat' bājeñ raam ke bājan sun lo siis jhukāy
aasan maaro sabad ko sādhū man se dhyān lagāy
'aughat' bajen ram ke bajan sun lo sis jhukay
aasan maro sabad ko sadhu man se dhyan lagay
kaayā kī mamtā tajau aur apnī sudh bisrāo
mohan murlī aan sunā.eñ aisā dhyān jamāo
kaya ki mamta tajau aur apnī sudh bisrao
mohan murli aan sunaen aisa dhyan jamao
'aughat' masjid mandir bhītar ek dhyān samā.e
pīchhe deveñ raam daras jo pahle dubidhā jaaye
'aughat' masjid mandir bhitar ek dhyan samae
pichhe dewen ram daras jo pahle dubidha jaye
nainan niir bahā.e ke pūñjī ga.e sab haar
'aughat' haath pasār chale sā.īñ ke darbār
nainan nir bahae ke punji gae sab haar
'aughat' hath pasar chale sain ke darbar
sote saarī rain kaTī bhor bha.e ab chet
'aughaT' chiḌiyā kaal kī chugegī terā khet
sote sari rain kaTi bhor bhae ab chet
'aughaT' chiDiya kal ki chugegi terā khet
sakhī na paayā Thaur Thikānā peg phirā chahū-des
sājan kā ghar dvaar nahīñ bhejūñ kahāñ sandes
sakhi na paya Thaur Thikana peg phira chahu-des
sajan ka ghar dwar nahin bhejun kahan sandes
paatī likhūñ to bhuul baḌī bithā kahe agyān
jānat haiñ vo bin kahe pītam chatur sujān
pati likhun to bhul baDi bitha kahe agyan
jaanat hain wo bin kahe pitam chatur sujaan
'aughat' gayā prayāg meñ milā na vo kartār
gur kī dayā se dikh paḌā TaTTī oTh shikār
'aughat' gaya prayag mein mila na wo kartar
gur ki daya se dikh paDa TaTTi oTh shikar
dukhiyā rahai prem kā bhagTī nainan niir bahā.e
bhūle bhī sukh paas na aave man kī piir kalpā.e
dukhiya rahai prem ka bhagTi nainan nir bahae
bhule bhi sukh pas na aawe man ki pir kalpae
dekhe panDit sādhū jogī santa-sādh malañg
prem kā bhagTī ek na paayā 'aughat' chaar alañg
dekhe panDit sadhu jogi santa-sadh malang
prem ka bhagTi ek na paya 'aughat' chaar alang
'aughat' janam meñ ek ber satī hot hai naar
prem agan meñ jale premī din meñ sau sau baar
'aughat' janam mein ek ber sati hot hai nar
prem agan mein jale premi din mein sau sau bar
'aughat' jogī vo bane bāñdhai vahī lañgoT
tajī kuTum kī māmtā aur hoy man kī khoT
'aughat' jogi wo bane bandhai wahi langoT
taji kuTum ki mamta aur hoy man ki khoT
būḌhī mūrat piir kahāve merā piir javān
'aughaT' apne piir kī sūrat ko pahchān
buDhi murat pir kahawe mera pir jawan
'aughaT' apne pir ki surat ko pahchan
madhu piyo prem kā ban meñ kaaro asthān
man-mohan ke darmiyān meñ 'aughat' tajo parān
madhu piyo prem ka ban mein karo asthan
man-mohan ke darmiyan mein 'aughat' tajo paran
an-honī ke soñch meñ bisri har kī yaad
janm amuul likh apnā 'aughat' huā barbād
an-honi ke sonch mein bisri har ki yaad
janm amul likh apna 'aughat' hua barbaad
apnī gāñTh kauḌī nahīñ pirohnī haiñ dīn-dayāl
'aughat' jag meñ dhanī kā daasī hot nahīñ kañgāl
apnī ganTh kauDi nahin pirohni hain din-dayal
'aughat' jag mein dhani ka dasi hot nahin kangal
'aughaT' sāñch ko aañch na laage jānat hai sansār
sā.īñ dhanī hai dukh na aave sāñchā rahe behvār
'aughaT' sanch ko aanch na lage jaanat hai sansar
sain dhani hai dukh na aawe sancha rahe behwar
'aughaT' har ko chaar alañg DhūñDhat hai sansār
baġhal meñ bachchā nagar DhiñDhorā us kā nahīñ bichār
'aughaT' har ko chaar alang DhunDhat hai sansar
baghal mein bachcha nagar DhinDhora us ka nahin bichaar
'aughat' jog jogī kare raam milan kī aas
prem dhyān vo jog hai jo kare dharm kī naas
'aughat' jog jogi kare ram milan ki aas
prem dhyan wo jog hai jo kare dharm kī nas
gyānī panDit yuuñ kaheñ suurj kī dekho dhuup
sundar triyā suDaul puttr nārāyan kā ruup
gyani panDit yun kahen surj ki dekho dhup
sundar triya suDaul puttr narayan ka rup
aasan maaro dubidhā chhāñḌo apnī sudh bisrāo
mileñge kāyā-koT meñ prabhu 'aughaT' kahīñ na-jāo
aasan maro dubidha chhanDo apnī sudh bisrao
milenge kaya-koT mein prabhu 'aughaT' kahin na-jao
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere