Ashaar of Ameer Bakhsh Sabri
jab se lagī hai aañkh bhī merī lagī nahīñ
ye ātish-e-firāq hai rahtī dabī nahīñ
jab se lagi hai aankh bhi meri lagi nahin
ye aatish-e-firaq hai rahti dabi nahin
kisī kī teġh-e-adā ne qazā kā kaam kiyā
hameñ tamām kiyā apnā ḳhuub naam kiyā
kisi ki tegh-e-ada ne qaza ka kaam kiya
hamein tamam kiya apna KHub nam kiya
nirāle kī nirālī har adā hai
jidhar dekho udhar jalva-numā hai
nirale ki nirali har ada hai
jidhar dekho udhar jalwa-numa hai
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere