Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama
Aughat Shah Warsi's Photo'

Aughat Shah Warsi

1874 - 1952 | Moradabad, India

Haji Waris Ali Shah's disciple and famous for his Sufi poetry

Haji Waris Ali Shah's disciple and famous for his Sufi poetry

Dohe of Aughat Shah Warsi

138
Favorite

SORT BY

sajnī paatī tab likhūñ jo pītam ho pardes

tan meñ man meñ piyā birājain bhejūñ kise sañdes

sajni pati tab likhun jo pitam ho pardes

tan mein man mein piya birajain bhejun kise sandes

dayā barābar dharm nahīñ parpañch barābar paap

prem barābar jog nahīñ guru-mantr barābar jaap

daya barabar dharm nahin parpanch barabar pap

prem barabar jog nahin guru-mantr barabar jap

jaap jog tap thīrth se nirgun huā na koī

'aughat' guru dayā kareñ to pal meñ nirgun hoī

jap jog tap thirth se nirgun hua na koi

'aughat' guru daya karen to pal mein nirgun hoi

dayā guru din duunī aur guru na chhoḌe haath

guru base sansār meñ aur guru hamāre saath

daya guru ki din duni aur guru na chhoDe hath

guru base sansar mein aur guru hamare sath

'aughaT' pūjā-pāT tajo lagā prem rog

satt-gurū dhyān rahe yahī hai apnā jog

'aughaT' puja-paT tajo laga prem ka rog

satt-guru ka dhyan rahe yahī hai apna jog

kaan khol 'aughat' suno piyā milan laag

tan tambūra saañs ke tāroñ baaje har raag

kan khol 'aughat' suno piya milan ki lag

tan tambura sans ke taron baje har ka rag

sā.īñ aisā magan karo rahe na soñch-bichār

dukh meñ sukh meñ klesh meñ gā.ūñ bhajan tihār

sain aisa magan karo rahe na sonch-bichaar

dukh mein sukh mein klesh mein gaun bhajan tihaar

har har meñ 'aughaT' har baseñ har har ko har aas

har ko har har DhūñD phirā aur har haiñ har ke paas

har har mein 'aughaT' har basen har har ko har ki aas

har ko har har DhunD phira aur har hain har ke pas

haath na aatā pīTte 'aughat' sadā lakīr

sadqe apne piir ke jis ne kiyā faqīr

hath na aata piTte 'aughat' sada lakir

sadqe apne pir ke jis ne kiya faqir

pītam tumre sañg hai apnā raaj suhāg

tum nahīñ to kuchh nahīñ tum mile to jaage bhaag

pitam tumre sang hai apna raj suhag

tum nahin to kuchh nahin tum mile to jage bhag

paatī likhnā bhuul hai sajnī chatur haiñ dīn-dayāl

aas gyānī dūsar nahīñ ki jāneñ man haal

pati likhna bhul hai sajni chatur hain din-dayal

aas gyani dusar nahin ki jaanen man ka haal

har kahīñ aur kahīñ nahīñ aur badle pal-pal bhes

aise piyā harjā.ī ko bhejūñ kahāñ sandes

har kahin aur kahin nahin aur badle pal-pal bhes

aise piya harjai ko bhejun kahan sandes

guru hamārā janm rāja-guru hamārā aadi

'aughat' guru-mantr ko jaapo guru rākho yaad

guru hamara janm ka raja-guru hamara aadi

'aughat' guru-mantr ko japo guru ki rakho yaad

raam milan lekhāsan le haath guru thaam

jag mamtā man se chhūTe mileñge 'aughaT' raam

ram milan ka lekhasan le hath guru ka tham

jag mamta man se chhuTe milenge 'aughaT' ram

roke kaam kāmnā indarī rākhe saadh

sundar ke tab darshan kare nahīñ to hai aprādh

roke kaam kaamna indari rakhe sadh

sundar ke tab darshan kare nahin to hai apradh

sādhū 'aughaT' sabad ko sādhe jogī kare sab jog

is Dagriyā mileñ gosā.īñ nadī naav sanjog

sadhu 'aughaT' sabad ko sadhe jogi kare sab jog

is Dagriya milen gosain nadi naw sanjog

jogī bhog vah kare jo bin māñge mil jaaye

'aughat' duniyā yuuñ taje ki man meñ lobh na aa.e

jogi bhog wah kare jo bin mange mil jaye

'aughat' duniya yun taje ki man mein lobh na aae

agam samandar paap bojhā naav phañsī mañjdhār

'aughaT' guru dhyān rahe kareñge beḌā paar

agam samandar pap ka bojha naw phansi manjdhaar

'aughaT' guru ka dhyan rahe karenge beDa par

sā.īñ ghar duur hai aur sā.īñ man ke tiir

sā.īñ se bayauhār kare 'aughaT' vahī faqīr

sain ka ghar dur hai aur sain man ke tir

sain se bayauhaar kare 'aughaT' wahi faqir

chelā nain jot guru gyānī bachan ye buujh

bin jot nain āñdhar augun bin gur paḌe na suujh

chela nain jot guru gyani bachan ye bujh

bin jot nain aandhar augun bin gur paDe na sujh

baañh gahī mujh pāpan tab ek bachan sun le.o

nis din biptā paḌe gosā.īñ apnā darshan de.o

banh gahi mujh papan ki tab ek bachan sun leo

nis din bipta paDe gosain apna darshan deo

'aughat' chelā vah gunī jo bin guru tajai na saañs

sote jagte dhyān rahe guru ko rākhe paas

'aughat' chela wah guni jo bin guru tajai na sans

sote jagte dhyan rahe guru ko rakhe pas

guru-gobind ko ek bichārau dubidhā dukh nikāl

guru ko 'aughaT' aur na-jāno guru-dhan dīn-dayāl

guru-gobind ko ek bichaarau dubidha dukh nikal

guru ko 'aughaT' aur na-jaano guru-dhan din-dayal

rain añdherī baaT na samjhī taak meñ haiñ har baar

'aughat' dharm ye rākhnā guru kareñ nistār

rain andheri baT na samjhi tak mein hain har bar

'aughat' dharm ye rakhna guru karen nistar

pītam saut sundar sahī par hameñ bhī tumre aas

bhūle-bhaTke aao gosā.īñ kabhī to hamre paas

pitam saut sundar sahi par hamein bhi tumre aas

bhule-bhaTke aao gosain kabhī to hamre pas

guru hamārā ek hai aur bachan hamārā ek

kareñge sevā ek guru jo rākhe Tek

guru hamara ek hai aur bachan hamara ek

karenge sewa ek ki guru jo rakhe Tek

nārāyan ant na paayā maalā jap kiin

raam milan budh sun 'aughat' pahle gur ko chīnh

narayan ka ant na paya mala jap ka kin

ram milan ki budh sun 'aughat' pahle gur ko chinh

mukti hove klesh kaTe chhuTe janm paap

satt-gurū ke naam 'aughat' hirdai maalā jaap

mukti howe klesh kaTe chhuTe janm ka pap

satt-guru ke nam ka 'aughat' hirdai mala jap

'aughat' ghaT meñ parān base aur parān beach ik chor

jo pakḌe us chor ko vo jogī bar jor

'aughat' ghaT mein paran base aur paran beach ek chor

jo pakDe us chor ko wo jogi bar jor

'aughat' bājeñ raam ke bājan sun lo siis jhukāy

aasan maaro sabad ko sādhū man se dhyān lagāy

'aughat' bajen ram ke bajan sun lo sis jhukay

aasan maro sabad ko sadhu man se dhyan lagay

kaayā mamtā tajau aur apnī sudh bisrāo

mohan murlī aan sunā.eñ aisā dhyān jamāo

kaya ki mamta tajau aur apnī sudh bisrao

mohan murli aan sunaen aisa dhyan jamao

'aughat' masjid mandir bhītar ek dhyān samā.e

pīchhe deveñ raam daras jo pahle dubidhā jaaye

'aughat' masjid mandir bhitar ek dhyan samae

pichhe dewen ram daras jo pahle dubidha jaye

nainan niir bahā.e ke pūñjī ga.e sab haar

'aughat' haath pasār chale sā.īñ ke darbār

nainan nir bahae ke punji gae sab haar

'aughat' hath pasar chale sain ke darbar

sote saarī rain kaTī bhor bha.e ab chet

'aughaT' chiḌiyā kaal chugegī terā khet

sote sari rain kaTi bhor bhae ab chet

'aughaT' chiDiya kal ki chugegi terā khet

sakhī na paayā Thaur Thikānā peg phirā chahū-des

sājan ghar dvaar nahīñ bhejūñ kahāñ sandes

sakhi na paya Thaur Thikana peg phira chahu-des

sajan ka ghar dwar nahin bhejun kahan sandes

paatī likhūñ to bhuul baḌī bithā kahe agyān

jānat haiñ vo bin kahe pītam chatur sujān

pati likhun to bhul baDi bitha kahe agyan

jaanat hain wo bin kahe pitam chatur sujaan

'aughat' gayā prayāg meñ milā na vo kartār

gur dayā se dikh paḌā TaTTī oTh shikār

'aughat' gaya prayag mein mila na wo kartar

gur ki daya se dikh paDa TaTTi oTh shikar

dukhiyā rahai prem bhagTī nainan niir bahā.e

bhūle bhī sukh paas na aave man piir kalpā.e

dukhiya rahai prem ka bhagTi nainan nir bahae

bhule bhi sukh pas na aawe man ki pir kalpae

dekhe panDit sādhū jogī santa-sādh malañg

prem bhagTī ek na paayā 'aughat' chaar alañg

dekhe panDit sadhu jogi santa-sadh malang

prem ka bhagTi ek na paya 'aughat' chaar alang

'aughat' janam meñ ek ber satī hot hai naar

prem agan meñ jale premī din meñ sau sau baar

'aughat' janam mein ek ber sati hot hai nar

prem agan mein jale premi din mein sau sau bar

'aughat' jogī vo bane bāñdhai vahī lañgoT

tajī kuTum māmtā aur hoy man khoT

'aughat' jogi wo bane bandhai wahi langoT

taji kuTum ki mamta aur hoy man ki khoT

būḌhī mūrat piir kahāve merā piir javān

'aughaT' apne piir sūrat ko pahchān

buDhi murat pir kahawe mera pir jawan

'aughaT' apne pir ki surat ko pahchan

madhu piyo prem ban meñ kaaro asthān

man-mohan ke darmiyān meñ 'aughat' tajo parān

madhu piyo prem ka ban mein karo asthan

man-mohan ke darmiyan mein 'aughat' tajo paran

an-honī ke soñch meñ bisri har yaad

janm amuul likh apnā 'aughat' huā barbād

an-honi ke sonch mein bisri har ki yaad

janm amul likh apna 'aughat' hua barbaad

apnī gāñTh kauḌī nahīñ pirohnī haiñ dīn-dayāl

'aughat' jag meñ dhanī daasī hot nahīñ kañgāl

apnī ganTh kauDi nahin pirohni hain din-dayal

'aughat' jag mein dhani ka dasi hot nahin kangal

'aughaT' sāñch ko aañch na laage jānat hai sansār

sā.īñ dhanī hai dukh na aave sāñchā rahe behvār

'aughaT' sanch ko aanch na lage jaanat hai sansar

sain dhani hai dukh na aawe sancha rahe behwar

'aughaT' har ko chaar alañg DhūñDhat hai sansār

baġhal meñ bachchā nagar DhiñDhorā us nahīñ bichār

'aughaT' har ko chaar alang DhunDhat hai sansar

baghal mein bachcha nagar DhinDhora us ka nahin bichaar

'aughat' jog jogī kare raam milan aas

prem dhyān vo jog hai jo kare dharm naas

'aughat' jog jogi kare ram milan ki aas

prem dhyan wo jog hai jo kare dharm nas

gyānī panDit yuuñ kaheñ suurj dekho dhuup

sundar triyā suDaul puttr nārāyan ruup

gyani panDit yun kahen surj ki dekho dhup

sundar triya suDaul puttr narayan ka rup

aasan maaro dubidhā chhāñḌo apnī sudh bisrāo

mileñge kāyā-koT meñ prabhu 'aughaT' kahīñ na-jāo

aasan maro dubidha chhanDo apnī sudh bisrao

milenge kaya-koT mein prabhu 'aughaT' kahin na-jao

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now