Font by Mehr Nastaliq Web
noImage

Bahr Lakhnavi

Ashaar of Bahr Lakhnavi

jabīn-e-yār se afshāñ kī dekhī zarra-e-afshānī

ḳhushī ke phuul jhaḌte haiñ charāġh-e-anvar se

jabin-e-yar se afshan ki dekhi zarra-e-afshani

KHushi ke phul jhaDte hain charagh-e-anwar se

ġhazab meñ jaan hai har-dam duā kartā huuñ dāvar se

mohabbat jaaye dil se ye balā nikle mire ghar se

ghazab mein jaan hai har-dam dua karta hun dawar se

mohabbat jaye dil se ye bala nikle mere ghar se

ḳhudā ko yaad kar kyuuñ multajī hai kīmiyā-gar se

ki sonā ḳhaak se hotā hai paidā laa'l patthar se

KHuda ko yaad kar kyun multaji hai kimiya-gar se

ki sona KHak se hota hai paida la'l patthar se

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

Recitation

Speak Now