Dohe of Charandas Ji
satgurū ke maare mue bahuri na upjai aay
chaurāsī bandhan chhuTaiñ haripad pahuñchai jaai
satguru ke mare mue bahuri na upjai aay
chaurasi bandhan chhuTain haripad pahunchai jai
apnā kari sevan karin tiin bhāñti gur dev
panja pachchhī kunj man kachhuvā drishTi ju bhev
apna kari sewan karin tin bhanti gur dew
panja pachchhi kunj man kachhuwa drishTi ju bhew
aisī maarī kaiñch kar lagī vaar ga.i paar
jinkā aapā nā rahā bhaye ruup tatsār
aisi mari kainch kar lagi war gai par
jinka aapa na raha bhaye rup tatsar
hari rūThaiñ kuchh Dar nahīñ tū bhī de chhuTkāy
gurū ko rākhau siis par sab bidhi karin sahāy
hari ruThain kuchh Dar nahin tu bhi de chhuTkay
guru ko rakhau sis par sab bidhi karin sahay
satgurū DhūñDhā pā۔iye nahīñ suhelā hoy
sish bhī puurā koi ho saanī maaTī joy
satguru DhunDha pa۔iye nahin suhela hoy
sish bhi pura koi ho sani maTi joy
anDā jab aage girai tab gurū levaiñ se.ī
karai barābar aapnī sikh ko nissandeh
anDa jab aage girai tab guru lewain sei
karai barabar aapni sikh ko nissandeh
jit jit indrī jaat hai tit man kuuñ le jaat
budhi bhī sañghi jaat hai ye nischay kari baat
jit jit indri jat hai tit man kun le jat
budhi bhi sanghi jat hai ye nischay kari baat
satgurū shabdī teġh hai lāgat do kari dehī
piiTh pheri kāyer bhajai suura sanmukh lehi
satguru shabdi tegh hai lagat do kari dehi
piTh pheri kayer bhajai sura sanmukh lehi
durjan ke phūTe binā terī hoai na jiit
'charanhidās' bichāri kari aisī kahiye riit
durjan ke phuTe bina teri hoai na jit
'charanhidas' bichaari kari aisi kahiye rit
satgurū shabdī māriyā puurā aayā vaar
premī jujhai khet meñ lagā na rākhā taar
satguru shabdi mariya pura aaya war
premi jujhai khet mein laga na rakha tar
jit indrī man huuñ gayā rahī kahāñ suuñ budhdi
'charandās' yauñ kahat haiñ kari dekho tum sudhdi
jit indri man hun gaya rahi kahan sun budhdi
'charandas' yaun kahat hain kari dekho tum sudhdi
nyāre nyāre chakhat hai apne apne svaad
in pāñchau meñ priit hai kachhu na ba.ad bibād
nyare nyare chakhat hai apne apne swad
in panchau mein prit hai kachhu na baad bibaad
jau ve bichhuraiñ ghaḌī bhī tau gañdā hoi jaai
'charandās' yauñ kahat haiñ gurū ko rākhi rijhāy
jau we bichhurain ghaDi bhi tau ganda hoi jai
'charandas' yaun kahat hain guru ko rakhi rijhay
chalau karai thir nā rahai koTi jatan kari raakh
ye jabhīñ bas goygā indrin ke rasnākh
chalau karai thir na rahai koTi jatan kari rakh
ye jabhin bas goyga indrin ke rasnakh
ye aapā tum kuuñ diyā jit chāhau tit rākhi
'charandās' dvāre paro bhāvai jhiḌkau lākhi
ye aapa tum kun diya jit chahau tit rakhi
'charandas' dware paro bhawai jhiDkau lakhi
judī judī pāñchau kahūñ ek ek kā bhed
jo koi in kuuñ bas karai sabhīñ chhūTaiñ khed
judi judi panchau kahun ek ek ka bhed
jo koi in kun bas karai sabhin chhuTain khed
satgurū merā sūrmā karai shabd kī choT
mārai golā prem kā Dhahai bharam kā coat
satguru mera surma karai shabd ki choT
marai gola prem ka Dhahai bharam ka coat
mukh setī bolan thakā sunai thakā jo kaan
pāvan suuñ phirvā thakā satgurū maarā baan
mukh seti bolan thaka sunai thaka jo kan
pawan sun phirwa thaka satguru mara ban
satgurū shabdī tiir hai tan man kiiyo chhed
bedardī samjhai nahīñ birhi pāvai bhed
satguru shabdi tir hai tan man kiyo chhed
bedardi samjhai nahin birhi pawai bhed
jaati baran-kul āsram maan baḌā.ī khoy
jab satgurū ke pag lagai sāñch shishy haive soai
jati baran-kul aasram man baDai khoy
jab satguru ke pag lagai sanch shishy haiwe soai
maatā suuñ hari sau gunā jin se sau gurūdev
pyaar karin augun haraiñ 'charandās' sukdev
mata sun hari sau guna jin se sau gurudew
pyar karin augun harain 'charandas' sukdew
satgurū shabdī sel hai sahai dhamūkā saadh
kāyer uupar jo chalai tau jāvai barbād
satguru shabdi sel hai sahai dhamuka sadh
kayer upar jo chalai tau jawai barbaad
jab satgurū kirpā karin kholi dikhāvaiñ nain
jag jhūThā dīkhan lagai deh pare kī sain
jab satguru kirpa karin kholi dikhawain nain
jag jhuTha dikhan lagai deh pare ki sain
gurū ke aage jaai kari aise bolai bol
kachhū kapaT rākhai nahīñ araj karai man khol
guru ke aage jai kari aise bolai bol
kachhu kapaT rakhai nahin araj karai man khol
dayā hoai gurūdev kī bhajai maan arū man
bhog vāsnā sab chhuTai pāvai ati hī chain
daya hoai gurudew ki bhajai man aru man
bhog wasna sab chhuTai pawai ati hi chain
drishTi paḌai gurūdev kī dekhat kareñ nihāl
auraiñ mati paTaiñ tavai kaagā hot marāl
drishTi paDai gurudew ki dekhat karen nihaal
aurain mati paTain tawai kaga hot maral
indrī man ke bas karai man karai budhi ke sañg
budhi rākhai hari pad jahāñ lāgai dhyān abhañg
indri man ke bas karai man karai budhi ke sang
budhi rakhai hari pad jahan lagai dhyan abhang
pitu suuñ maatā saugunā sut ko rākhai pyaar
man setī sevan karai tan suuñ DaañT urū gaar
pitu sun mata sauguna sut ko rakhai pyar
man seti sewan karai tan sun DanT uru gar
satgurū shabdī lāgiyā nāvak kā sā tiir
kaskat hai nikasat nahīñ hot prem kī piir
satguru shabdi lagiya nawak ka sa tir
kaskat hai nikasat nahin hot prem ki pir
shabd baan mohiñ māriyā lagī kaleje māhiñ
maari hañse sukdev jī baaqī chhoḌī nāhiñ
shabd ban mohin mariya lagi kaleje mahin
mari hanse sukdew ji baqi chhoDi nahin
indrin suuñ man judā kari surti nirti kari sodh
upjai nā bish bāsnā 'charandās' kar bodh
indrin sun man juda kari surti nirti kari sodh
upjai na bish basna 'charandas' kar bodh
indrī roke te rukaiñ aur jatan nahi koy
man chanchal rijhvār hai rasik svādī hoy
indri roke te rukain aur jatan nahi koy
man chanchal rijhwar hai rasik swadi hoy
kāñche bhāñDe suuñ rahai jayoñ kumhār kā neh
bhītar suuñ ichchhā karai bāhar chāTai deh
kanche bhanDe sun rahai jayon kumhaar ka neh
bhitar sun ichchha karai bahar chaTai deh
maiñ mirgā gurū pārghī shabd lagāyo baan
'charandās' ghāyal gire tan man bīdhe parān
main mirga guru parghi shabd lagayo ban
'charandas' ghayal gire tan man bidhe paran
satgurū shabdī baan hai añg añg Daare toḌ
prem khet ghāyal gire Tāñkā lagai na joḌ
satguru shabdi ban hai ang ang Dare toD
prem khet ghayal gire Tanka lagai na joD
jo jānai yā bhed kū aur krai parbes
so abināsī hot hai chhūTaiñ sakal kales
jo jaanai ya bhed ku aur krai parbes
so abinasi hot hai chhuTain sakal kales
indrī man mili hot hai bishya bāsnā chaah
upjai jaise kaam hiiñ naarī mili arū naah
indri man mili hot hai bishya basna chah
upjai jaise kaam hin nari mili aru nah
apne ghar kā dukh bhalā par ghar kā sukh chhār
aise jānai kul badh.ū so satvantī naar
apne ghar ka dukh bhala par ghar ka sukh chhaar
aise jaanai kul badhu so satwanti nar
duudh madhya jayo ghiiv hai mehñdī māñhīñ rañg
jatan binā niksai nahii. 'charandās' so Dhañg
dudh madhya jayo ghiw hai mehndi manhin rang
jatan bina niksai nahi 'charandas' so Dhang
rañg hoy tau piiv ko aan purūsh bish ruup
chhāñh burī par gharan kī apnī bhalī ju dhuup
rang hoy tau piw ko aan purush bish rup
chhanh buri par gharan ki apni bhali ju dhup
जिन हीं के उपदेस कूँ, राखै अपनो चित्त
ता कूँ मनन सदा करै, भूलै नहिं नित प्रित्त
चरनदास यों कहत है इन्द्री जीतन ठान
जग भूलै हरि कूं मिलै पावै पद निर्बान
नाम ब्रह्म का है नहीं है तो वह ओंकार
जानै आपन को वहीं मैं हौं तत्व अपार
पहिले साधै बचन कूँ, दूजे साधै देह
तीजे मन कूँ साधिये, उर सूँ राखै नेह
चरनदास यों कहत हैं, सुनो गुरू सुकदेव
ज्योँ करि होवहिं कर्म हूँ, ता कूँ कहिये भेव
गगन मध्य जो कंवल है बाजत अनहद तूर
दल हजार को कमल है पहुंचै गुरू मत सूर
एक कोन मेवा मिलै, एक चने भी नाहिं
कारन कौन दिखाइये, करि चरनन की छाँहिं
करी न हरि करी भक्ति हीं गुरू सेवा तजि दीन्ह
सुनी न हरि की गुन कथा सत संगति नहिं कीन्ह
अभिमानी मींजे गये लूट लिये धन बाम
निरअभिमानी हो चले पहुँचे हरि के धाम
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere