Ashaar of Faqeer Qadri
ḳhudī ḳhud-e'timādī meñ badn jaa.e to bañdo ko
ḳhudā se sarkashī karne kī naubat aa hī jaatī hai
KHudi KHud-e'timadi mein badn jae to bando ko
KHuda se sarkashi karne ki naubat aa hi jati hai
umūman ḳhāna-e-dil meñ mohabbat aa hī jaatī hai
ḳhudī ḳhud-e'timādī meñ badal jaa.e to bandoñ ko
umuman KHana-e-dil mein mohabbat aa hi jati hai
KHudi KHud-e'timadi mein badal jae to bandon ko
hastī kī is kitāb ke manoñ pe ḳhuub ġhaur kar
lākhoñ qurān haiñ nihāñ rind kī kā۔ināt meñ
hasti ki is kitab ke manon pe KHub ghaur kar
lakhon quran hain nihan rind ki ka۔inat mein
faqīr-e-'qādrī' jo dekhte chashm-e-bīnā se
to bañde ko ḳhudā kahne kī jurat aa hī jaatī hai
faqir-e-'qadri' jo dekhte chashm-e-bina se
to bande ko KHuda kahne ki jurat aa hi jati hai
na.ī hai bilkul na.ī hai sāhab ye dāstāñ jo sunā rahā huuñ
abhī abhī hī banī huuñ bañdā pahle maiñ bhi ḳhudā rahā huuñ
nai hai bilkul nai hai sahab ye dastan jo suna raha hun
abhi abhi hi bani hun banda pahle main bhi KHuda raha hun
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere