1717 - 1878 | Mauja Chhudani, India
satvādī sab sant haiñ aap aapne dhaam
aajiz ki ardās hai sakal sant parnām
satwadi sab sant hain aap aapne dham
aajiz ki ardas hai sakal sant parnam
panchhī uḌai ākās kuuñ kit kuuñ kinhā gaun
ye man aise jaat hai jaise budbud paun
panchhi uDai aakas kun kit kun kinha gaun
ye man aise jat hai jaise budbud paun
is maaTī ke mahal meñ nātar kījai mod
rav rañk sab chaleñge aape kuuñ le sodh
is maTi ke mahal mein natar kijai mod
raw rank sab chalenge aape kun le sodh
lae kā laahā lījiye lae ki bhar le bhaar
lae ki banijī kījiye lae kā sāhūkār
lae ka laha lijiye lae ki bhar le bhaar
lae ki baniji kijiye lae ka sahukar
naam abhai pad nirmalā aTal anūpam ek
ye saudā sat kījiye banijī banij alekh
nam abhai pad nirmala aTal anupam ek
ye sauda sat kijiye baniji banij alekh
nirgun nirmal naam hai avigat naam abanch
naam rate so dhanpatī aur sakal parpanch
nirgun nirmal nam hai awigat nam abanch
nam rate so dhanpati aur sakal parpanch
You have exhausted 5 free content pages per year. Register and enjoy UNLIMITED access to the whole universe of Urdu Poetry, Rare Books, Language Learning, Sufi Mysticism, and more.
Devoted to the preservation & promotion of Urdu
Urdu poetry, urdu shayari, shayari in urdu, poetry in urdu
A Trilingual Treasure of Urdu Words
World of Hindi language and literature
The best way to learn Urdu online
Best of Urdu & Hindi Books