Ashaar of Gurbachan Singh Dayal
ḳhudā go zarra-zarra se 'ayāñ hai
magar zarra yahāñ kuchh bhī nahīñ hai
KHuda go zarra-zarra se 'ayan hai
magar zarra yahan kuchh bhi nahin hai
jahāñ ho bijliyoñ kā ḳhauf paiham
sukūn-e-āshiyāñ kuchh bhī nahīñ hai
jahan ho bijliyon ka KHauf paiham
sukun-e-ashiyan kuchh bhi nahin hai
shomī-e-qismat kaheñ yā ḳhaslat-e-insāñ ise
aa ke qābiz bazm-e-hastī par ye mehmāñ ho gayā
shomi-e-qismat kahen ya KHaslat-e-insan ise
aa ke qabiz bazm-e-hasti par ye mehman ho gaya
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere