Ashaar of Hari Chand Akhtar
sukūn-e-mustaqil dil be-tamannā shaiḳh kī sohbat
ye jannat hai to is jannat se dozaḳh kyā burā hogā
sukūn-e-mustaqil dil be-tamannā shaiḳh kī sohbat
ye jannat hai to is jannat se dozaḳh kyā burā hogā
baroz-e-hashr hākim qādir-e-mutlaq ḳhudā hogā
farishtoñ ke likhe aur shaiḳh kī bātoñ se kyā hogā
baroz-e-hashr hakim qadir-e-mutlaq KHuda hoga
farishton ke likhe aur shaiKH ki baaton se kya hoga
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere