Ashaar of Josh Malihabadi
kal āte-āte mire ghar ga.e raqīb ke paas
huzūr aap hī kah deñ ye chaal hai ki nahīñ
kal aate-ate mere ghar gae raqib ke pas
huzur aap hi kah den ye chaal hai ki nahin
ḳharāb donoñ jahāñ meñ hai mubtalā us kā
ḳhudā kā qahr butoñ kā jamāl hai ki nahīñ
KHarab donon jahan mein hai mubtala us ka
KHuda ka qahr buton ka jamal hai ki nahin
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere