ALL
Ghazal4
sher2
Video8
Profile
Kalaam38
Persian Sufi Poetry8
Rubai2
Naat-o-Manqabat19
Qita1
Salam3
Ashaar of Mahirul Qadri
leke dil meñ mohabbat kī pākīzgī ghar se nikle the dair-o-haram ke liye
ham junūñ meñ na jaane kahāñ aa ga.e māh-o-anjum ne bose qadam ke liye
leke dil mein mohabbat ki pakizgi ghar se nikle the dair-o-haram ke liye
hum junun mein na jaane kahan aa gae mah-o-anjum ne bose qadam ke liye
kitne kam-zarf duniyā meñ vo log haiñ ik zarā ġham milā aañkh nam ho ga.ī
ġham bhī allāh kī ik baḌī den hai hauslā chāhiye zabt-e-ġham ke liye
kitne kam-zarf duniya mein wo log hain ek zara gham mila aankh nam ho gai
gham bhi allah ki ek baDi den hai hausla chahiye zabt-e-gham ke liye
aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair
jis ke hote hue hote the zamāne mere